Didi aayi bhaag ke Sai ki complaint karne!!
Didi ne room ka mauhal nahi pada aur Devi Tai ke whereabouts bata diye!!
Didi ko kaku se padi daant!! Didi darr gayi, bohot time se kaku aise nahi bhadki na didi par!
Didi ne apni maturity mein bol diya ki Devi Tai ko kamre mein lock karke rakhne ko toh aap hi ne bola tha badi mami!! unhe samajh nahi aya, badi mami aisi kyun bhadki, unhe laga woh khush hoti...
Aur C-gang ke chehre ka rang udd gaya!!
Tabhi kehtein hain hamesha aapne saare sathiyon ko raaz bataya karo, kya pata kaun sa raaz kab khuljaye!!
Bechari didi ki kya galti thi, woh toh chugli karne aa rahi thi!! Ab khud pareshan hogayi, yeh tak notice nahi kiya ki koi naya insaan room mein hain!
Waise sonali aur omkar ke expression keh rahe hain, hey deva kisse pala padgaya hamara, bilkul akal nahi hai isseh. Poore plan par paani phira diya..
🤣🤣🤣🤣🤣
Aaj ka mera favorite scene!
Thanks for this. 








