ye sab share kiya tha kisi se main ne, 1 eyse insaan ko jis ko hum dono ka pata hai,
onhon ne kaha ansar band kar do ye sab, tum har time os ki yadon me rehte ho to kese nikal sakoge,
ye ho nahi sakta, july se oct tak main gayeb raha, main ne WA open nahi kiya lekin wo sab batain meri yadon me is tarhan se hain ke mujhe har pal yaad hai.. pagal ho chuka hoon na is liye, bus fark itna hai ke jab bina WA dekhe wo sab batain yaad ati hain to or feel hota hai, dard feel hota hai, or jab WA pe dekh kar on yadon ko yaad karta hoon to eysa lagta hai jese kuch galat hova he nahi, eysa lagta hai jese zindagi khubsurat hai, bus ye samjh lo main 2015 me chala jata hoon. mujhe ye ehsaas he nahi hota ke itna kuch ho chuka hai. to wo sab yaad karna meri addat nahi hai. main jo bus sans le raha hoon ye shayed on yadon ki waja se he hai, warna mere paas jeene ka reason to hai he nahi koi.. ager koi insaan mujh se ye yadain cheen le to ye sans bhe chalna band ho jayegi,
main jab zarorat se zeyada beemar ho jaon wo to phir doc he dekhte hain, lekin wese jab thora bohot ho jaon to os ki waja se he theek hota hoon, ya to yadon se ya dreams me a kar wo theek kar deti hai mujhe,
to main ne on se keh diya tha ke ye mere liye na mumkin hai ke main on yadon ka na dekhon, to onhon ne kaha ok dekho lekin os se thora door raho wo tumhain or dukh degi jese ye diya, lol
abhe is baat pe main kya kahon, main to kabhe paas tha he nahi os naagin ke, jab tha to wo as toy tha, main bus on ka khilona tha jo on ke timepaas karne ke kaam ata tha, paas to main tab hota jab wo dil se mujhe chahti :P

9