" Main jaanti hoon ke aapka ateet Kuch theek nahi jis ki wajah se aap apni beti ko nazarandaaj kar rahe hai. Uss ke sache pyar ko dekh nahi rahe hai"....
" Wajah jo bhi Abir ji bacchi hai woh. Ek 5 saal ki baachi se itni berukhi kyun? Wo bacchi baar baar apke pyaar ko tarasti hai. Yeh kabhi nahi dekha aapne? Ussey aapke dil ka haal kya pata? Maasoom hai woh? Ussey itna bada dard kyun de rahe hai? "
" Abir Ji... Aditi ko apna lijiye. Ussey woh baap ka pyar dijiye jisse paane ke liye woh taras rahi hai. Please meri aapse itni guzaarish hai. Meri itni si khwaish ko Suwikar kar lijiye.Aditi ko uske hisse ka pyar dijiye. Sab hokar bhi woh anaadon ki tarah rehti. Aur anaad hona kaise hota hai yeh Mujhse se behtar aur koi jaan sakta... ".... I literally pleaded him with tears.
I went to Pooja. She was alone.
"Ha Pooja kaho kya kehna chahti ho? Baat karni thi nah tumhe mujhse? Batao kya kehna chahti ho?" I asked her.