Originally posted by: Manisha_Vankar
VR : Ridhu...kaha ho tum ?
Ridz : baby...aa rahi hu...
VR : Ridhu...kaha thi tum ? Me kabse tumhe aawaz laga raha hu...
Ridz : kahi nahi...bas yahi bahar hi thi...baby ab batao to sahi kya kam tha ? Kyu aawaz laga rahe the ?
VR : wo meri tie nahi mil rahi blue wali...
Ridz : itna bada business tycoon ek tie nahi dhund pa raha...baby kya ho gaya he tumhe ?
Hamesha to tumhe apni sari cheeze apne aap mil jati thi...
VR : kuch nahi hua he...yeh to bas zariya tha apni khoobsurat biwi ko apne pas bulane ka...
Ridz : baby tum bhi na...ab me kya kahu ?