Vanita ne deal final kardi aur Sam ko boli payment aur mera 2% commission tayyar rakhna phir aap hamare pakke padosi ban jaayenge aur naye padosiyon ki jaasoosi karni thi isliye jaldi nikal gayi.
Pushpa ka phone aaya ( isko koi batao iss ke chakkar mein hamain kitna maansik torture jhelna pada TanAdi ka)
Pandit ki awaaz bujhi bujhi hai kyunki Kans mama ko bahot loss ho gaya aur karza badh gaya aur Mumbai aaye huye hain. Bade dil wale Sam ko mama ke bure waqt mein unka saath dena hai aur bola mama galat na karte toh koi aur karta ( yeh serial writer hone ka asar dikhne laga hai, matlab galat hona compulsary hota hai taaki twist and turns wali 'Shanti' mil sake)
Sam ne bataya ki Arrey O Pushpa tum chacha banne wale ho toh Ponga happy happy par KZ se darr gaya aur bola Mumbai aana cancel, Sam ne TanAdi ka na bataya, afsos!
Sam ko dekh ke N ko chakkar aane lage, khair hota hai hota hai. Phir as expected Sam ne bola ki main sab kaam karunga aur Naina Baby ko Sam ke haath se khana hai. (dialogue writer ne Baby ko bass pasand hai sunte huye dialogues likhe hain lagta hai, woh kya bolreli yeh kya jawab derela)
BG Tu mile dil khile pe Sam feeding Naina Baby aur phir N said ki tum itne udaas kyun lag rahe ho toh Sam bolta hai baat woh nahi hai ( Arrey kaunsi baat nahi hai zara hamain bhi toh pata chale ya dialogue writer ne bass kuchh zyada hi badha liya hai)
Sam ne mama ka bataya toh N said ki tumne aise socha bhi kaise? Sam ko laga N KZ ban gayi hai phir N ne clear kiya ki sanskaari bahu banne ki Ninja technique kya sirf tumhen aati hai, main bhi ITV FL hun!
Ab dialogue writer ne Tu shayar hai main teri shayari song lagaya toh N ke through shayari ki aur phir N mujhse dosti karoge ki Kareena ban gayi, Ne Waah!
ShuPree aur KZ ko mila ke ek mast scene daala CVs ne, dialogue writer bhi form mein hai, lagta hai song band karke kaam pe dhyan derela. KZ ne economics ko kanjoosi bola aur boli apni economics ko Nirmala washing powder se dho daal toh dil ko sukoon mila, hum toh kabse bata rahe the.
End mein Mr.Economics ne Preeti ke liye ice cream ka order diya ( aur KZ ko bhi puchha ki maa kya aap bhi Tamma Tamma loge Tamma? KZ said lungi pehle yeh batao yeh Tamma Tamma hai kya?)
Later R aa gaya saaman khareed ke aur N ko bola ki tum log itne mahaan ho par main itna mahaan nahi ho sakta ( chalo koi toh hai, Rakesh tum aage badho hum tumhare saath hain)
Mama aur Poonam aa gaye, badhai ho. ( Poonam ki aish hai iska beta iske baghair bhi reh leta hai aur yeh mast idhar chali main udhar chali gaati phirti hai)
R ko kuchh FBs aur phir M ko zero hero wala FB aaya toh dil ko sukoon mila. N ki pregnancy ka pata chala toh Poonam said ki hamare Maheshwari khandaan ki prampara nibhana, kisi ko pregnancy ke signs dikhna nahi chahiye end tak.
Sam ko Ilaaqa wala FB aaya aur Sam bola ki hamare bete ka naam ilaaqa rakhenge ( yeh bade wala hint hint ki beti hogi warna Sam waqai Ilaaqa naam rakhega jo CVs hone nahi denge)
M ne 101 Rs. diye toh R ki jali kati baaten aur Mama ko maja bole toh zara bhi maja nahi aaya, haini haini.
Sam VO talking abt R ka reaction samajh na aaya kyunki Rakesh 2.0 ke aane ke baad socha tha Rakesh 1.0 ka antim sanskaar ho gaya hai, waise iss mein na samajhne wali kaunsi baat hai be.
Naina ne khana pakaane ki Ninja technique use karke bahot saara khana bana liya hai including Daal Bati jo munh mein rakhte hi ghul jaaye. ( N ne gulab jaamun toh banaye hi nahi, kya Rakesh se mahine bhar ka raashan bulwa liya Naina?)
Isi beech Poonam ko yeh tension ho rahi hai ki kahin yahaan bhi bartan na dhone pad jaaye!
Rakesh ka chaandi ke glass lekar aana was funny aur bola ki 2 saal mein, repeat sirf do saal mein tarakki ki hai ( yeh do saal wala repeat hamare liye tha taaki leap ko underline kar saken)
Khane ke baad Rakesh asked mama ki tamma tamma loge tamma? Toh Mama said ki nahi itna hi bahot hai.
Mama learnt his lessons, YUD ki tagline ABTSB ka tame aa gaya hai.
Samaina ki serial Ahmedabad mein bhi hit hai. Phir Samaina ka abhi na jao chhod ke dil abhi bhara nahi aur N ne bhi do saal ko bold & Italic kiya. Apno bharoso hai Bullet train ka bharoso koni.
Precap... Pregnancy ka tame aa gaya kyunki yeh bache huye gine chune epis ki baat hai.

