Posted:
Hamara Vaada..❤️
Sankalp sirf aapka nahi,
Hamara bhi hai ,
Desh ki raksha karna aapka dharm,
Kadam se kadam aapka haath milaakar chalna,
Yeh hi hai hamara dharm.
Aap desh ki seva karenge ,
Aur hum aapke parivaar ki ,
Yeh hamara aapse vaada hai ,
Aapke Swaraj ke lakshya mai koi baadha nahi aane denge hum,
Aapka sapna hi hamara sapna,
Apna har dharm nibhayenge hum,
Yeh hamara aapse vaada hai,
Aapne phir sankalp jo liya ,
"Bajirao Bhallal kitni bhi door jaa raha hai lekin woh jaroor lautega"
Ek aasha jagaati hai ,
Aapke lautne ki ,
Aaj bhi woh diye ko dekhti hu ,
Jo hamare uss vaade ka yaad dilati hai ,
Jab bhi iss jalte diye ko hawa bhujaane ka prayaas karti hai ,
Mann mai darr leta hai jagah ,
Aap aayenge naa ?
Voh vaada nibhayenge naa aap ?
Phir yaad aati hai aapki veer kathayein ,
Jo radha maa mujhe sunati thi ,
Vishwaas mann mai phir se jagta hai ,
Ki aap aayenge ,
Kyuki Yoddha apne vaade se peeche nahi hat ta hai ,
Uss aasha , uss diye ko mai kabhi bhujne nahi diya hai ,
Aur naa hi bhoojne dungi..
Kab pura hoga aapka lakshya , kab aayenge aap..
Itne saal beet gaye hai ,
Meri nazre aaj bhi aapko dhoondti hai har jagah ..
Kab puri hogi meri intezaar ki pariksha..
Aur aapka swaraj ka sapna ..
Kab pura hoga aapka lakshya , kab aayenge aap..
Itne saal beet gaye hai ,
Meri nazre aaj bhi aapko dhoondti hai har jagah ..
Kab puri hogi meri intezaar ki pariksha..
Aur aapka swaraj ka sapna ..
Uss din ka hame hai intezaar...
Hello everyone , I am Sumi , this is my first ever attempt on Poetry 😛
Just can't stop myself from writing this piece which is inspired from today's episode 😳
Please do tell how it is ? 😳 Thanks a lot .. 😃
comment:
p_commentcount