It's Night time
Shiva-Raavi scene
Shiva is wearing his ganji, Raavi comes to their room.
Raavi says, "kya hai yeh Shiva, khudko hero samajta hai kya, darwaaza khol ke change karne lag jaata hai, bathroom bhi hai hamare ghar me wahan bhi change kar sakta hai jaake" (all the while Raavi is not looking at him)
Shiva is now wearing his shirt
Shiva comes to her and says, 'kyun, aise problem hai na tujhe toh meri muh mat lag samji, dimaag ke batti mat bhuja, chal nikal yahan se"
Raavi says, " kyun, mein kyun jaaoon, yeh kamra tumhara copyright hai?,yeh kamra mera bhi hai, dimaag ki batti mat bhuja, dimmag akele tumhari kharaab nahi hota hai Shiva hum sabke dimaag bhi kharaab hota hai, humne dimmag ko freezer me rakhe nahi bait te"
Shiva says, "haan dekha meine, aaj tune dukkan me jo kaand kiya usse dekhke mujhe samaj aaya hai ki bholenaath tujhe iss duniya mein bheja naa tere saath bheja nahi bheja"
Raavi says, 'sahi bol raha hai tu, dimaag toh hai nahi mujhme, issiliye dukkan ke balayi ke liyefaltu idea socha, lekin mein abb samaj gayi hoon, dukkan ke baare me sochne ka exclusive right naa tere aur tere parivar waalon ke paas"
Shiva, 'kya boli tu, mujhe aur mere parivar ko, aur tu, tu iss parivar ka hissa nahi hai? tu kyun Rishita Bhabi ki nakshe khadam pe chalne lagi, unki tarah khudko iss parivar se alag kar diya?. Tujhse ye umeed nahi thi mujhe, par accha hai, sahi jaa rahi hai tu, kya hua tujhe, haanho kya gaya tujhe, abb tak sab sahi thaa, achanak ter dimaag me cassette ghomaake kisne play kar diya, aur kiske baare me baat kar rahi hai, woh DHara Bhabi ke baare me? jisse tum apni role model samajthi thi, uss DHara Bhabi ke baare me jisne apne kushiyan,sab kuch tyaag diya Pandya store keliye bhi aur iss parivar ke liye, unke baare me bol rahi hai?
Raavi, 'Dhara di ki contribution ka khadar hai mujhe Shiva, lekin mein bhi bura nahi kar rahi thi, dukkan ka accha karne koshish kar rahi thi"
Shiva, "arrey tu bala karne ki koshish na dobara mat karna, tujhe pata bhi hai ki ter jaane ke baad kya hua"
Raavi says, 'kya hua hoga, grahak ke badi hogayi hogi lekin nahi uss cheez ke liye credit na tu mujhe dhega hi nahi"
Shiva. "Credit chahiye naa tujhe, iss baar sab credit tujhe doonga, woh bhi bahut acche se, tere jaane ke baad 5-6 customers aaye, jinhone bahut taarifon ke phool baandhe, pata hai kya bol rahe te, unka kehna hai ki hum Pandya Store me milawati saamaan bhej te hain, aur wohi samaan nikaalne ke liye, yeh discount ki scheme rakhi hai, unhe lag raha hai ki mailwait saamaan bhejne ki dandhe ki wajah se hum poore bazaar me sar juke khade hain, aur issliye poore Somnath me hamare poster chape gaye te, raaste ke maal saste me, yehi chilla rahi thi naa tu ne, woh na hume raaste waale kehke chale gaye hai Raavi, mein nahi jaanti Pandya Store tere jeevan me kya maine rakta hai, par Pandya store na hamare liye sirf ek dukkan nahi hai, hamare liye Maa hai Maa, hamara karm mandir hai, abb tu ne usko bazaar me raste ke maal saste me bolke ucchaal diya, aaj jo tu ne kiya naa ki aisa laga ki tum hamare maa ko bazaar me laake kada kar diya, tumne teek nahi kiya, isse accha hai toh mujhe bazaar me kada kar deti, aur nilaam kar deti, zyaada accha hota"
Shiva leaves
Raavi remembers his last dialogue.
Raavi's monologue, "aaj ke baad mein kabhi bhi kissi pe bhi gussa nahi karoongi, lekin aaj tune ye kaha hai na, mein isse kabhi nahi booloongi"
comment:
p_commentcount