A/N: This is my very first attempt at writing in all Urdu. Please pardon the mistakes. I am a little nervous. Thank you so much Mol, Zara, and Mariam for your input and support.
Dedicating this to my lovely, insightful friend Mol. Just a taste of home. *kisses*
Disclaimer: I hereby solemnly declare that I do not own "Yakeen Ka Safar" or any of its characters. They belong to Hum TV in lieu of the author "Farhat Ishtiaq."
Patjhar ke baad
Mausam kis tarah badalte hain? Kabhi garmi hoti hai kabhi sardi. Kabhi zard pattay toot ke shaq se alayhda ho jate hain, aur hawa ki tand ro pe beh kar idhar udhar bhatakte phirte hain. Tu kabhi unhi sookhi shakhon par naye phool khilte hain. Aur mehkti kaliyan youn ithlati phirti hain jaise shoq hawa ki mauj mai khushboo bekhairna unki zaat ka ek hissa hai. Mausam kaise badalte hain. Kabhi kabhi waqt insaano ko bhi badal kar rakh deta hai.
Ek zamana tha jab Zubiya Asfandyar mann hi nahi sakti thi ke uss ki zindagi mai kabhi koi khushi aye gi. Kabhi woh bhi dil khool ke hans sakke gi. Kabhi kissi ki shoq batain uss ka dil lubhaingi. Kabhi kissi ka saath usse ek aisi zindagi se muta'rif karwayega jahan usse woh sare rishtay mil jaynge jis ki uss ne hamesha arzoo ki thi. Ek pur-shafqat baap, Usman Khan ki shakal mai. Ek mohabbat karne wali ma, Lubna Khan ki soorat mai. Ek razdaar pyari si behan, Geeti mai. Aur ek chhota sa, shararti lekin bohat farmabardar bacha, Siam. Aur woh jo uss ki sari khushiyon ka mahwur tha, Asfandyar Ali Khan, uss ka mizaji-khuda, uss ka dost, uss ka humdum.
Woh pichhle panch minute se apne kamre ki khidki pe khari bahar ka manzar dekh rahi thi aur sooraj ki nichhawar-karda kirno ko apne andar utarta howa mehsoos kar rahi thi. Kitne ache the woh sab aur kitni mohabbat se unhone usse apne ghar ka hissa bana liya tha. Usski shadi ko abhi ek maah hi howa tha lekin ussay aisa lagta tha ke woh hamesha se uss ghar ka hissa rahi hai. Jab woh, Geeti, aur Asfand hospital se wapis aya karte thay tu ek chai ka dor chalta tha. Sab baith kar apne saath guzarne wali sara din ki rudaad sunate aur ek dosre pe fiqray kastay. Woh yeh tu janti thi ke Asfand bohat hazir-jawab hain lekin yeh baat uss ne shadi ke baat jani thi ke woh asal mai kitne shoq aur zinda-dil bhi hain. Ek chhote se bache ki tarah, apne pasand ka khana na hone pe moo banana. Waqt be waqt logon se nazar bacha ke uss ke balon ko rubberband ki girift se azaad kar dena. Ya bahane bahane se usse apne cabin mai bulana aur kissi aise patient ki file ko mozu-e-guftago banana jis ki treatment pehle se hi decide ho chukka tha. Inn sab sochon ne pata nahi kab uss ke labon par ek sharmageen muskurahat bekhair di thi. Woh apne khayalat mai itni maho thi ke usse pata bhi nahi chala ke koi badi khusho-o-khizon se usse dekh raha hai.
Asfand kab uth ke uss ke peeche khara howa usse nahi pata chala. "Bara muskuraya ja raha hai aaj subah subah."
"Haan bas aise hi." Woh sar jhukate howe hansi thi.
"Pata tu chale akhir woh konsa joke hai jiss pe itna acha mood ho raha hai aaj." Asfand ne uss ke dono bazo ahistagi ke saath sehlate howe kaha.
"Mera mood tu har waqt acha hota hai." Zubiya ne sar jhukaye howe kaha.
"Lekin itni subah subah, abhi tu maine kuch kiya bhi nahi..."
"Ha Ha bari khushfehmi hai aap ko apne barre mai." Zubiya ne peeche murr kar unn se ankhain milate howe kaha. "Kiya zaroori hai ke meri muskurahat ki wajah aap hi hon?" Uss ne araam se jhoot bola.
"Honi tu chahiye." Uss ne sar ko khum dete howe bare zoam se kaha. "Waise aaj kiya phir late hone ka iradah hai. Tumhe pata hai ke mujhe STAYFF ka late hona qata'un pasand nahi hai. Aur jab se humari shadi howi hai meri har dosre din Dr. Shehroz se class ho rahi hai issi baat pe."
Zubiya ne foran ghari ki taraf dekhte howe time note kiya. "Haan waise aaj waqai dayr ho jaye gi." Uss ne jaldi se apna aaj ke liye istari kiya howa pink shalwar kameez uthaya aur bathroom ki rah le hi rahi thi jab Asfand ke haath ne usse rok liya.
"Janne se pehle koi yaadgaar tu deti howi jao." Usski ankhon mai shararat aur walayhana-pan tha.
"Ab dayr nahi ho rahi?" Zubiya ne du-ba-du jawab diya.
"Iss ke liye mere paas time hi time hai." Asfand ussko apne qareeb lattay howe usski ankhon mai jhanka tha. Uss ke honton ka lams Zubiya ko bohat bebass kar deta tha.
"Ab mai jaon?" Uss ne sharmatay howe poocha.
"Jao kiya yaad karo gi, kis azeem insaan se pala para tha." Asfand ne dramayi andaz mai uss ka bazo chhorte howe kaha.
Zubiya muskurate howe hospital janne ki tayari karne lagi.
Patjhar ke baad bahaar ayegi zaroor
Guzarti shab, subah ki naveed sunaye gi zaroor
Tum mujh ko magar itna be-waqat na samajhna
Yeh zindagi phir ek bar muskaye gi zaroor
-jiya
comment:
p_commentcount