Beshtar loag khud ko behtareen Musalmaan saabit karnay k liye doosrob k her aib aur khaaki ko dikhanay aur jatanay ki waba mai mubtila hotay hain aur unn ka Islam unhain sirf muqaabla aur mawaazna sikhata hai...Parda poshi nahi...Woh kisi Insaan kay haal aur kaamiyabion per ussay mubarakbaad tu day saktay hain, uss per rashk bhi kar saktay hain...Ussay apna dost kehnay per fakhar bhi karsaktay hain laiken uss k maazi k saabiqon laahiqon ko bhulaye baghair...Dil azaari aur dil shikni unn k gunaahon ki fehrist mai shaamil nahi hotay... Ahsaas-e-kamtari ki yeh aik behad bhayanak shakal hai jis mai koi shakhs yeh tay nahi karsakta kay ussay dost k saath dosti karni hai ya dushmani.
Aab-e-Hayat
comment:
p_commentcount