Originally posted by: -ZaYalicious-
A friend has been reading Amarbail which made me go back to re-reading it. I was itching to share these two dialogues here.
"Mohabbat aur izzat e nafs (self-respect) ka apas mein bara gehra taaluq hota hai. Mohabbat sab se pehle izzat e nafs ko khatam kar deti hai. Ya banda mohabbat kar le ya phir apni izzat. Haath ki mutthi mein ye dono cheezein ek saath nahin a sakti.""Zindagi mein ek cheez hoti hai jise compromise kehte hain. Pur-sukoon zindagi guzaarne ke liye iski zaroorat parti hai. Jis cheez ko tum badal na sako, uske saath compromise kar liya karo magar apni kisi khuwahish ko kabhi bhi junoon mat banaya karo. Zindagi mein kuch cheezein aisi hain jo hamay nahin mil sakti chahay hum rou-ein (cry), chil'la-ein (scream) ya bachon ki tarhan airyaan ragrein kyunke woh kisi dosre ke liye hoti hain. Jese tumhare parents ab kisi aur ke parents hain."-Amarbail
The 1st one is sooo true...it's just what I needed to hear at this moment..😳
comment:
p_commentcount