Zuleikha, Mera nam yousuf hai
Saba:Kitnay phone kiye main nay aap ko Abbu,kitni minnatain ki k aap aik daffa Pakistan ajayain...Ajayain aur mujhay bacha lain...Aap nahi aye.
Karim:Agaya hun main...Agaya hun beta tujhay bachanay hi aya hun
Saba: Ab bacha hi kia hai jis ko bachanay ki zaroorat ho...Sab kuch tu raakh hogaya hai
Karim:Main Arfeen aur uss k Maan,Baap ko kabhi maaf nahi karunga
Saba:Main un ki aulaad nahi thi Abbu aap ki aulaad thi...Sirf aap ki...Aap nay kisi doosray k haath mai meri zindagi ka faisla kis tarah day diya?
Karim: Bari bhool hui beta,bohat bari ghalti hui un k kehnay mai akar main tujhay gunahgaar samjha...Bari ghalti hui mujh say...
Saba: Nahi Abbu gunahgaar samajh kar ghalti nahi ki...Maaf na kar kay ghalti ki...Maan baap tu aulaad k gunahgaar honay k bawajud unn ka saath nahi chortay,unn k aib chupatay hain...Aap nay mujhay kis tarah chor diya???Woh sab mujhay aag mai phaink rahay thay aur aap nay phainknay diya??Aap tu baap thay meray..
Karim: Tum theek kehti ho beti...Main waqai ab tujh say nazrain mila kar baat karnay k qaabil nahi raha...Theek hai duniya kuch bhi kahay laiken baap honay k naatay aulaad kitnay hi gunaah karain,kitna hi qusoor ho uss ko tu baap hi rehna chahiye..Mujhay her haal mai baap hi rehna chahiye tha aik kamzarf mard nahi ban'na chahiye tha.
Saba; Jo hua, accha hua Abbu...Bohat gumaan thay mujhay aap per,saaray gumaan khatam hogaye...
Karim: Nahi beta aisa mat kehna kiun k bura bhala jesa bhi sahi hoon tu tera baap hi..
Saba: Laiken tab hi aye jab begunaah nazar ayi main.
Karim: Too ab jo chahay keh lai beta Iman ki baat yehi hai k na meray paas teri baaton ka,teray sawalon ka koi jawab hai na lafz hai na himmat hai...Aik iltija hai...Jahan itna kiya beta...Wahan apnay gunahgaar Maan,Baap ko talafi ka aik moqa aur day day.
Saba:Talafi aur kaffaray ki zaroorat nahi hai Abbu...Main khush hun apni zindagi say.
Karim: Khush hai???Too issay zindagi kehti hai?Yeh bhi koi zindagi hai??Iss jahannum ko too zindagi kehti hai?Is mai too kesay khush reh sakti hai?
Saba: Tu phir Jannat kis ko kahun?Uss zindagi ko jis mai aap sab nay mil kar yeh Jahannum tayyar kiya?
Karim: Aray beta meri aqal per patthar par gaye thay...Kuch sujhayi nahi deta tha,un ki baaton mai behak gaya tha main...Sochnay samajhnay ki salahiyat khatam hogayi thi...Bay bus aur majboor hogaya tha,kiya karta?
Saba: Maan,Baap bhi bay bus hosaktay hain kabhi Abbu?
Karim: Accha too mujhay aik baat bata jo hona tha so hogaya...Ab too yeh pahaar jesi zindagi akelay kesay guzaray gi?
Saba: Main akeli nahi hun Abbu,pehlay akeli thi...Ab Allah meray saath hai...Ab main akeli nahi rahi...
Meri Zaat Zarra Benishaan
Originally posted by: -RisingAsh-
Apni awaaz k bajaye apne dalaayil ko buland karo, phool baadal k garajne se nahi barasne se ugte hain.
Originally posted by: OnlyHope
..Ab Allah mere saath hai..
I loved loved loved Saba's each and every dialogue in MZZB..
Originally posted by: -ZaYalicious-
Where did you get this from? Actually I'm reading about Rumi these days and this quote looks like an Urdu translation of one of his quotes:"Raise you words, not the voice. It is rain that grows flowers, not the thunder."
Originally posted by: HeavenlyBliss.
and then Saba said "Apne dil se poocho. Allah to dilon mein basta hai."
Every dialogue in that scene was brilliant!
comment:
p_commentcount