Originally posted by: OnlyHope
Aaj kal you're watching it na 😆
Main bhi isi ke dialogues notice karrahi hoti hoon :P
Haann. You are watching it too ?
@ hinna: aur koe achi baat ki hai tum nay aaj tak ? 😆
Originally posted by: OnlyHope
Aaj kal you're watching it na 😆
Main bhi isi ke dialogues notice karrahi hoti hoon :P
Originally posted by: OnlyHope
"Shaadi ke baad biwi shohar ke haath mein pakray tarazoo ke jis palray mein jaa kar baithti hai, woh palra bahut halta hota hai. Doosre palray mein susraal wale hote hain, woh palra bahut bhaari hota hai aur kayi saalon tak bhaari hi rehta hai. Phir ahista ahista sabar, qurbani, bardasht se biwi ka palraa bhaari hone lagta hai, jhukne lagta hai. Pehle susraal walon ke palray ke barabar aata hai, phir ussey bhaari hojata hai. Phir hamesha bhaari hi rehta hai. Fiza mein mualliq nahi hota, woh zameen se laga rehta hai, lekin tawazun badalta hai aur yeh kaam sirf aur sirf aurat ka sabar karta hai, waqt karta hai, qurbaani karti hai."
-Umera Ahmed, Durre Shahwar
Insaan ki sab say bari khaasiyat yehi hai kay woh bhoolta nahi hai... Na buraayi, na acchayi... Na kam zarfi,na eesaar...Na bemahri na ehsaan... Na izzat na zillat.
Aab-e-Hayat
Jo insaan kisi ko kuch nahi deta, kudrat bhi usse kuch nahi deti
Paiwand
"Tum ko apni naiki choti lagti hai, mujh ko meri...Agar hum sab ko apni apni naikiyan choti lagni lagain tu duniya kitni acchi hojaye."
Daam
Junaid: Karachi ka samundar bohat miss karta tha main.
Zahra: Khoobsoorat hai na?
Junaid: Khoobsoorat tu nahi hai per apna hai, apni cheezain bohat miss karta hai Insaan. Tumhain bhi bohat miss karta tha.
Daam
comment:
p_commentcount