Beshak ALLAH sab say behtareen tadbeer karnay wala hai..Beshak her mushkil kay baad asaani hai.
Aab-e-Hayat
Main women emancipation ko aaj tak nahi samajh saka... Liberated women, feminism, yeh saaray concept meray sir kay ooper say guzar jatay hain yaani woh aurat jo aik ghar ko banay aur ussay banaye rakhnay kay liye adjustments aur compromises karnay per kisi bhi qeemat per tayyar na ho woh aurat azaad hai. Woh aurat jo mard say uss say ziada oonchi awaaz mai chilla kar baat kar lay, woh aurat azaad hai. Woh aurat jo kisi bhi qism ki paabandi chahay woh uss kay apnay survival k liye kitni bhi zaroori kiun na ho, aisi paabandiyon ko na maan'nay wali aurat azaad hai. Aurat ki azaadi ka yeh tasawwur tu meray jesay mard k liye bara khatarnaak aur naqabil-e-qubool hai.
Zindagi Gulzar Hai
Originally posted by: HeavenlyBliss.

Mazhab ki ahmiyat ka asal andaza uss hi waqt hota hai jab azmaish mai ho. Azmaish bilkul daldal ki tarah hoti hai uss mai Insaan sirf apnay bal bootay per nahi nikal sakta. Koi rassi chahiye hoti hai, koi haath darkaar hota hai aur uss waqt woh rassi woh haath mazhab ka hota hai... Rassi aur haath nahi hoga tu aap daldal kay andar jitnay ziada haath paaon maarain gay, utna jald hi doobain gay. Paani mai doobnay wala shakhs zinda nahi tu marnay kay baad waapis ajata hai, magar daldal jis shakhs ko nigalnay mai kamiyab hojati hai ussay dobara zaahir nahi karti,laiken jo shakhs aik baar haath aur rassi k zariye nikalnay mai kamiyab hojay, woh agli kisi daldal say nahi darta.Ussay yaqeen hota hai k woh shoar machaye ga,haath chalaye ga aur rassi bilaakhir ajaye gi. Ab sochiye apni khush qismati per k aap unn loagon ki qataar mai shaamil hogaye hain jo daldal mai girnay per haath aur rassi ko pukar saktay hain.
Imaan, Umeed aur Mohabbat
comment:
p_commentcount