This is one of my favorite scenes from Kankar.
Kiran: Sikandar doosri shaadi kar raha hai Arzoo se...
Kiran's mom: kisne bataya hai tumhein?
Kiran: college main har taraf yehi shor macha huwa hai
Kiran's mom: pachtawa ho raha hai?
Kiran: Nahi...pachtawa nahi ho raha lekin mujhe takleef ho rahi hai ke woh itni jaldi shaadi kyun kar raha hai?...jaise usse mere jaane se koi farq hi nahi para? koi guilt bhi nahi hai usse? koi pachtawa...koi zameer ki chubhan?..,koi sharmindigi? kuch toh?
Kiran's mom: Bohat bahadur ho tum. Mujhe tumhe dekh kar aik ajeeb sa ehsaas e kamtari ka ehsaas hota hai. Main tumhari umar main bohat buz dil thi - kamzor, masleyhaton ke maari hui. Main kabhi bhi apna tahafuz nahi kar saki jaise tumne karliya hai. Mujhe
rushk aata hai tum par. Fakhar hai tum par. Sikandar kab shaadi karta hai, kisse shaadi karta hai...tumhein iss baat par bilkul bhi nahi rona chahiye. Tum koi mamooli larki nahi ho.
Edited by starstruckk - 9 years ago
comment:
p_commentcount