'Tumpar tumhari himmet se ziada bojh daal diya.Insaan hotey ve farishta dekhna chahta tha.Bohat lambi sazza di ek ghalti ki,ziati ke tumharey saath,apney saath'
'Dukh mujhe iss cheez ka nahi tha ke tu mujhe jawed se replace kar rahi thi,mujhe iss baath ki taqleef thi ke tum ushe mohabbat karney lagii thi,humara taaluq itna kacha tou nahi tha.'
'Mein maanta ho ke mashraqqi mard bohat munnafiq hota hai.Leken uss ke sath saath bohat majboor hota hai Aisha,risq ke liye khwaar hona uskey muqaddir mein hota hai,najaaney kin kin tareeqo se kya kya karkein...Leken yaqeen aur tassali uss baat ki hoti hai ke ghar mein jo uski aurat hai woh uski dehleez ko bamaal nahi karein gi,uska fakhr aur gumaan hota hai iss cheez pe.Ushe ghar ki aurat pe maan na ho na tou sab kuch rait hojata hai,aur yeh maan aurat ko he rakhna hai aisha'
[Quaid-e-Tanhai]
Saara:Sara kasoor uska nahi tha,tumhara kasoorh tha.Mera rishta tumhse tha,ushe nahi.Meri tawaqooat tum se thi,ushe nahi.Sara ilzaan usko matt do.
'Mujhe nafrat hogaye hai shaadi ke naam se.Tum se mohabbat thi,perfect match nahi tha.Nateejah dekh liya na mein ne.Azfar perfect match tha,leken ushe mohabbat nahi th,uska result bhi dekh liya.Mere dimagh mein shaadi ke naam ki koi fantasies nahi hai ab shadi ke baarein mein.Tumharey liye meri mohabbat kabhi khattam nahi hogi,leken Aitebaar khattam hogaya.'
[Doraha]
Aimen:Tum sochti ho,bohat acha karti ho.Socho,apni zindagi ki tamaam lahsail khwaahisho ke baarein mein jis ne tumhe itna khudgharz,itna laalchi bunaadia ke tumhne apne khooni rishto aur ikhlaaqi qadron ko kuch samjha nahi.Mujhe tum dono se humdardi hai leken mein chaahti ho tum dono ek saath jiyi,sirf ek dusre ke saath taaqe tum dono ko andaaza hojaye ke jab zindagi se khuloos,mohabbat,esaar,khooni rishtey sab khattam hojaaye aur sirf aasaish aur cheezein reh jaaye,tou kesa lagta hai.Yeh sheh maat hai Saman.
[Maat]
The way actors delivered these scenes,they took these simple lines to another level i think...
Edited by Meeph - 10 years ago
comment:
p_commentcount