Favorite dialogues/scenes? - Page 11

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

344.1k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: Usman.

@Star: Daam's dialogues are hard hitting yet they are not preachy..the above two dialogues that you have mentioned are so meaningful.


exactly

Daam had amazing dialogues..as you mentioned, they weren't preachy yet very meaningful and hard hitting.
starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: OnlyHope

Great dialogue <3 Plus I feel the same :P


yeah, it is. It's like whatever you have, may not be the best thing there is technically..but, it's still yours and that's enough for you to cherish it. It kind of reminds me of my university. πŸ˜†..and I'm sure many could relate. I don't rate my university as being the best there is..many of us criticize it endlessly for it's unjust and crazy policies, regulations and whatnot..yet, the fact that it is OUR university, still means something to us. And, tomorrow when we leave it..I'm sure we'll miss it for that very reason.
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago

Originally posted by: Usman.

Musahaf is one of my favorite novels.. You have to complete it Fari.. its awesome... and i will recommend you another novel by Nemrah "Jannat ke pattay"

That's on the list too.
starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: virgo_gurl

Awesome Topic πŸ‘πŸΌ

Personally I have a lot of favourite dialogues from different novels, serials etc. Mentioning a few of them here..

Insan jis se sab se ziada mohabbat krta hai.. Allah usey usi k hathon se torta hai.. Insan ko us tootay hue bartan ki tarah hona chahye jis se logon ki mohabbat aye aur bahar nikal jaye..
-Nemrah Ahmed (Mushaf)

Mohabbat aur nafrat, ye 2 jazbay ek dusre ki zid hote hue bhi ek dusre se itne qareeb kyu hai? jis k baray mai ek umar tak ye yakeen rakho k hum is se nafrat krte hai zindagi k kisi ajeeb se morr pr ja kr achanak inkishaf hota hai k wo nafrat toh sirf ek dikhawa thi. Khud ko behlanay ka ek bahana.

Kya muhabbat sirf achon se ki jati
hai? khubiyaan dekh kar?
Achaeyaan janchnay k baad? Muhabbat
agar sachi hay to kabhi kam nahi ho
sakti, kabhi khatam nahi ho sakti
-Farhat Ishtiaq (Safar ki Shaam)

1 Million Dollar banana behad asaan hai behad asaan.Magar zaban say niklay hue lafzon ki aziyyat ko madham karna ya mita dena behad mushkil hai

Saray Khwaab Puray Nahin Houtay Aur Jab Yeh Pata Chal Jaye K Koi Khwaab Pura Nahin Ho Sakta Tou Phir Uska Peecha Chor Dena Chahye. Yeh Zindagi Main Sakoon K Liye Boht Zaroori Hai

Mard ho ya aurat, koi bhi zindagi k har lamhe mai bahadur nahi reh sakta. Bohat sari cheezein hoti hai jo humein kamzor krti hai aur kamzor lamho mai tassali k 2 lafz bolne wala, dil k bohat qareeb hojata hai..

Zindagi mai insaan ko ek adat zarur seekh leni chahye, jo cheez haath se nikal jaye isey bhool janay ki adat.. ye adat bohat si takleefon se bacha leti hai..

Zindagi men kuch cheezen aesi hoti hen jo humen kabhi nahien mil saktien Chahay hum royen ya chillayen ya bachoun ki tarhan aerhriyan ragrain wo kisi dosray kay liye hoti hen.
Magar iska yeh matlab nahien kay zindagi men hamaray liye kuch hota he nahien kuch na kuch hamaray liye bhi hota hai

-Umera Ahmed




The Farhat Ishtiaq dialogue reminds me of Kashaf and Zaroon's relationship. πŸ˜†..but it's so true.

btw, where are the dialogues of Umera's from? Umera never ceases to amaze..it's as if she can read my mind and heart or something. πŸ˜† She's so easy to relate to..

Posted: 10 years ago
Rishton ko gawaahi ki nahi, balke aitbaar ki zaroorat hoti hai
-Meri Beti

"Main samajhti thi kay maa baap ki mohabat unconditional hoti hai, k woh apni mohabat ka kabhi hisaab nahi maangtey, magar aik waqt aata hai jab maa baap bhi apni mohabat ka hisab maang lete hain! Papa jis cheez ka hisab lena ho, usay be hisab nahi dena chahiye, kyunki qarz jitna bara hota hai, usay ada kernay k liye utni hi bari cheez ki qurbani deni hoti hai"
Ek Kasak Reh Gayi
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago

Originally posted by: starstruckk


The Farhat Ishtiaq dialogue reminds me of Kashaf and Zaroon's relationship. πŸ˜†..but it's so true.

btw, where are the dialogues of Umera's from? Umera never ceases to amaze..it's as if she can read my mind and heart or something. πŸ˜† She's so easy to relate to..

Exactly..at times I feel as if she's writing what's in my heart.. <3
starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Sara (her thoughts): Mainey bohat koshish ki ke apne aur uske beech un saari deewaron ko ussi tarah rakhne ki jaise woh thi, lekin aik aik kar ke saari deewarein reth ban gayein. Woh ab bhi wahein Umer hai jo mere liye ab bhi kuch bhi karsakta hai. Aur main wohi Sara hoon jis ke liye ab bhi Umer ke barabar kissi ko la betana muskhil hai..agar yeh sab kuch aise hi tha, toh phir mere aur uske darmiyaan zindagi kyun aagayi...

- Doraha (by Umera Ahmed)

I love this show as well. ❀️
Posted: 10 years ago
OMG I loved Doraha dialogues!

To yeh hai Shehla, Shehla Tauqeer. Shehla Omar. Aaina mujhe jis aurat ka chehra dikha raha hai uska maazi ek fareb tha aur mustakbil ek pachtaawa. Aur haal, haal kya hai? Jiska chehra us mard ko nahi jeet paaya jisko usne sabse ziada chaha. Maine Omar ko paane ke liye jo theek samjha kiya. Main insaan thi farishta nahi. Usko itna chaha tha ke uske ishq mein khud ke wujood ko aag bana daala. Phir us aag mein kitno ko jalaya mujhe kabhi ehsaas hi nahi hua. Aur ab, ab is aag ne mere wujood ko ho jalaana shuru kar diya hai. Agar Omer se talaaq na loon to uska saamna kaise karoongi? Aur agar usse talaaq doon to usse chorkar apni beti ki nazro mein sawaalon ke jawaab kaise doongi? Main dorahe pe a khari hoon, aur jaanti hoon ke manzil kahin bhi nahi hai. Par ek raasta chunna hai mujhe. Ek raasta. Aur us raaste par sab kuch hoga, mohabbat kahin nahi hogi.
-Sania- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone tak
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone TaK
Humne Mana Ke TaGaful Na KaroGe Lekin
KhaaK HojayeinGe HUM Tumko Khabar
Honay Tak πŸ₯Ί 😭 😭 😭
Khuda aur Mohabbat
Edited by -Sania- - 10 years ago
-Sania- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Hammad : Bachon ko pedal chalna usske maa baap hi sikhatay hain. Lekin mujhe pedal chalna aapne nahi sikhaya. Mujhe waqt ne pedal chalna sikha diya hai Khuda aur Mohabbat
Top