Originally posted by: -ZaYalicious-
Faris: Jab main jail gaya tha tou main ne bauhat si baatein seekhi thi jin ka mujhe zindagi mein pehle kabhi tajarba (experience) nahin hua tha. Main ne seekha tha agar koi aap ke aq'aid (beliefs) pe hamla karay tou zaban se jawab dou. Agar koi aap ke jism pe hamla karay tou haath se jawab dou. Agar koi aap ke khuloos e niyat (good intentions) pe shukk karay tou apnay achay amal (actions) se jawab dou. Agar koi aap ki diyanatdari (honesty) pe ungli uthaye tou dala'il se jawab dou. Lekin.. lekin agar koi aap ke kirdaar pe, aap ki izzat pe hamla karay tou koi jawab na dou.
Haneen: Tou phir kya karo?Faris: Then you make them bleed (tou phir unko tarpa tarpa ke maar dou)-NamalFaris and Haneen give me real maamu-bhaanji goals! The episode was so engaging and energetic and seems like the end is near :')
Originally posted by: LoveXiaomi
Yeh khoobsoorat pal itne mukhtasar kyon hote hain ??kyon ki shabnam phol pe zyada der tak theher nahi sakti, ise ijazat nahi hai..Zindagi kya mehez chand lamhon ke liye hi khoobsoorat hoti hai ??Bas woh chand lamhe hi toh zindagi hote hain..Aur baaki ?Intezaar e la hasil...
Originally posted by: HeavenlyBliss.
OMG and that ZGH diary wala :O
Tum mujhe sangemarmar samajhte ho, samajhte raho. Main tumhare samne reit ki deewar nahi ban sakti. Mujhe tootne se khauf aata hai.
comment:
p_commentcount