Created

Last reply

Replies

863

Views

30.8k

Users

29

Likes

1.4k

Frequent Posters

TwilightHorizon thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
i m also good
eagerly waiting for friday
-Marie- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
yep last epi was blast lol their encounter amazing <3
TwilightHorizon thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
yeah it was the highlight of the episode
even he didn't slapped her but the scene was awesome
more better then novel i guess
-Marie- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
in novel it was long !!
it seems pretty well in serial too without slap actually !!
TwilightHorizon thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
i dont think so it was long in novel thing is this yar
that when a scene dramatized it just takes o minutes but in novel it consists of 4-5 pgs

-Marie- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: TwilightHorizon

i dont think so it was long in novel thing is this yar

that when a scene dramatized it just takes o minutes but in novel it consists of 4-5 pgs


Nope actually there were some dialouges😳

"who apni qeemat barhaa rahi hai. Main nay kaha naa in middle class larkiyoon koo phasnaay main waqt lagta hai magar who pahns jaati hai"

"acha agar who tumahari planning samajh gai aur tumharay jaal main na pahansi to?"

"Usmaa who meri chaal ko kabhi samajh nahi payee gi, aisa siraf tab hoo sakta hai agar isay yeh saab tum bataa doo aur tum aisaa nahi karoon gay aur who meray jaaal main phasnay gi kyon nahi? Mere paas who sab kuch hai jis ki is jaisay larkiyoon ko talaash hooti hai. Ameer hoon, khoobsorat hoon, bright future hai aur aik unchi family say taluq rakhta hoo aur kashaf jaisi larkiyaan meray jaisay larkoon kay hi to peechay phirtin hain, is aaas main kay in say shadi kar layn gi aur who hamain zeena bana kar upper class main ajaain gin."

Buhat kush dili say kaha gaya is ka aik aik lafz meray kanoon main pilglhay howay seesay ki tarhan utar raha tha, who saab hans rahay thay aur asmara us say kaha rahi thi.

"Zaroon! Agar tum us say flirt karnay main kamiyaab ho gay to main tumhain dinner don gi, warna tum denaa"

aik aurat doosri aurat ko shikar banana kay liye aik mard ko targheeb day rahi thi. Library main behta howa koi shaksh yeh nahi jaanta tha kay jis kashaf ki baat who kar rahayn thay who main thi magar mujhay lag raha tha jaisay wahan moojood har shaqs mujhay hi dekh kaar mujhee par hans raha tha, phir main nahi jaanti mujhay kiya howa main kudh par control nahi kar pai. Zaroon apni files khoolay kuch likh raha aur us nay utha kar Farooq say kuch kaha, tab farooq ki nazar mujh par parhi thi.

"Kashaf app" bay ikhtiyaar us nay kaha tha. Phir un kaa poora group meri taraf mutawaja how gaya tha. Magar mainay siraf zaroon ko dekh rahi thi joh mere aik daam samnay anay paar hairaan nazar arahaa tha. Main ahista say chalti howi us kay muqabil khari howi, phir main nay is kay samnay rakhay howay papers uthay aur unhayn phaar aur poori quwaat say us kay munn par day maray. Who aik daam apni kursi par say khara ho gaya

"yeh kiya batameezi hai"

"ye tum jaisay logoon kay saath bilkul munasib salook hai , batameezi unhain lagni chahiye jinhayn kudh koi tameez hoo aur tum in logoon ki fahrist main shaamil nahi hoo" us kaa chehra surkhh ho gaya tha

"kiya matlab hai tumhara"

"mera matlab wohi hai jo tum achi tarhan samajh rahay hoo"

mujhay hairat thi kay main baray sakoon say us say mukhatib thi. Mere hath pairoon main koi larzish thi na awaaz main kapkaphat

"tum nay mere papers kyon pharay hain"

"siraf tumhain yeh batanay kay liye kay tumhari hasiyaat mere nazdeek ain aik papers kay barabar bhi nahin hain. Tum kis kadar ghair ahem aur chootay admi hoo. Main tumhain yeh batanay ayeen hoon who aur larkiyaan hoon gi joh tumharai tafri ka saman karti hoon gi aur who hoongi joh tumaharay agay peechay phirtin hoon gi, magar main aisi nahi hoon. Main yahan par siraf parhnay kay liye aye hoo, tum jaisoon koo phasnay nahi aur tumhayn apnay baray main kiya kush fahmi hai? Kiya hai tumharay paas kay tum kudh koo in data samjhnay lagay hoon. Jin cheezon ko tum chand lamhay pehle ginwa rahay thay mujhay in main koi dilchaspi nahi hai. Apnay bara main tumharay khayalaat jaan kar mujhay koi hairat nahi howi. Who tab hooti jab tum mere baray main yaa kisi bhi aurat kay baray main achay khayalat kaizhar kartay magar tumhara kasoor nahi, tumhari tarbiyaat ka qasoor hai joh tumhain di gai hai ya is roopay paisay kaa asaar hai joh tumharay maa baap tumharay liye kamatain hain. Haraingi to tab hoti hai jab tum logoon main koi shareef ho. Kisi ka kirdar acha howa aur tumharay badkirad honay main mujhay koi shuba nahi."

Main shahid aur boolti magar us kay zoordar thapar nay mujhay khamoosh kar diya. Aik lamhay kay liye main bilkul saqt ho gai, mujhay yaqeen nahi arahaa tha kay who itnay logoon kay samnay ,mujh paar haath utha sakta hai. Usama aur farooq usay keench kar peechay kar rahay thay aur who kudh ko in ki girfaat say churanay ki kushish kar raha tha. Saab loog hamari taraf mutwaja hoo chukay thay aur cheekh cheekh kar kaha raha tha.

"usama chooro mujhay, yeh kudh ko samajhti kiya hai. Is nay mujh ko badkirdar kaha hai, yeh apnay app ko samjhthi kaya hai."

Who donoo usay peechay dakhyl rahay thay, farooq us say kaha raha tha

"beth jaaoo zaroon, tamasha na banaoo, cool down yaar, what happened, whatever, it is I am sure we can solve!"

"jo jaisa howa usay waisa kahoo toh who isi tarhan chalata rahayn jaisay tum chila rahayn ho. Choor ko choor kaho tu usay taqleef to hogi"

mujhay hairat thi kay main is say khoofzada nahi thi. Mere baat par who phir barakh utha tha. Usama usay mazbooti say jakray howay thayy aur chilaa rhaa tha.

"usama! Mujhay choor do warna main tumhain bhi maar daloon ga"

Farooq nay mujh say kaha tha "kashaf app please yahan say chali jain" main nay us ki baat unsuni kar di.

"tum nay mujhay is liye maara hai kyonkay tumharay paas who saab kuch hai jis kay binaa paar tum kisi par bhi haath utha saktay hoo aur main tumhain is liye nahi rook pai kay meray pass ajj kuch bhi nahi hai magar main us waqt ka intizaar karoon gaa jab mere paas bhi itni taqat ajaay kay main tumhain us say bhi zoordar thapar mar sakoon"

"tum maroo gi mujhay? Tum ho kiya tum? Auqaat kiya hai tumahar. Middle class ki aik larki jis kay maa baap kay pass itna paisa nahi kay who us kau educational expenses utha sakayn. Jis kay chahray par koi doosri nigha dalna pasand nahi karta. Mamooli haisiyaat ki aik mamooli larki"

"agar main mamooli hoon to phir mera naam kyon laytay hoo, zikar bhi kyon kartay hoo. Us ka college main buhat si mere jaisi larkiyaan hain. Tum har aik ko to mamooli nahi kahatay aur agar mujhay hi mamooli kahtay ho to us ka matlab hai main mamooli nahin hoon. Mujhay koi afsoos nahi kay main ghareeb hon. Yeh sharam ki baat nahi hai hai kay app kay pass taleem hasil karnay kay liye roopay paisay na hoon. App kay paas acha khanay, acha peenay kay liye na hoo, sharam ki baat yeh hai kay app badkirdar hoon, app logoon ko taqleef poochanchatayn hoon, app ko kisi ki izzat karna naa aata hoo, qabil-e-sharam cheezain yeh hain. Tum nay kaha tha koi larki na qabl-e-taskheer nahi hooti, tumhara wasta in jaisi larkiyoon say parhata rahata hai.

Mainay Asmara ki taraf ishara kiya

"haan yeh waqiya taskheer ki jaa sakti hai, magar meri jaisi larkiyaan tum nay kabhi dekhi hi nahi hain. Main kashaf murtaza na qabil-e-takheer hoon. Tumharay jaisay loog atay jatay rahtayn hain. Mere jaisay loog hamesha rahatay hain. Tum nay kaha tha kay agar yeh mujh say flirt karnay main kamiyaab howa to tum usay dinner dogi, yeh shart tum mujh say lagaoo agar yeh mujh say flirt karnay main kamiyaab howa to main tumhain dinner doon gi."

Mainay asmara say kaha tha aur woh bharak uthi tha

"shutup! Main tumharay sath baat karna bhi apni insult samjhthi hoon.

"Kitni khudar ho tum, kitni buland ho, tum mere sath baat kartay howay tumhari insult hoti hai. Mere baray main baat kartay howi nahi."

Is nay meri baat ka jawab nahi diya tha phir main mazeed kisi say kuch kahay baghair sidhi hostel agai thi.

Pehle chooti chooti baton par mujhay roona aa jata tha magar ajj to meri ankhoon main aik ansoo bhi nahi ayaa. Acha hai, buhaat acha hai aura b roona chahati bhi nahi hoon. Mere ansoon say kisi ko kiya faraq paray gaa. Koon saa arsh haal jayee ga. Kiya faida hota hai aisay ansoon ka jin say kisi kaa dil, moom hoo na damagh qail.

Main nay us say jhoot bola tha kay us ki koi cheez mujhe mutasir nahi karti aur doolat mere liye ghair aham hai. Haan who saab mujhay acha lagta hai jo in kay pass hai. Magar kiya karoon main yeh cheezain un say cheen nahi sakti hoon phir jhoot bolnay main kiya harj hai. Mujhay abhi taak apnay gaal par dard ho raha hai aur us ki aziyaat main bhi nahi bhool sakti naa bholna chahati hoon.
-Mrs.SKMehwish- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Reeno ... plx is thread ko koi naam de do ... plx
serendipity. thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 6
Posted: 11 years ago
UFF! <3 that pic... Noshaba, naam btaao, rakh dungi :P
-Mrs.SKMehwish- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Reeno check the first pages so many suggestions are there .. !
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Rock-Star


And your Love does not Know even the ABC of acting ..😆


Thats mean :( He is a newbie! You guys should give him a chance insteaf oe being so harsh! :(
Tum uski jaga jaake acting karke dikhao?😛
Top