"siraf tumhain yeh batanay kay liye kay tumhari hasiyaat mere nazdeek ain aik papers kay barabar bhi nahin hain. Tum kis kadar ghair ahem aur chootay admi hoo. Main tumhain yeh batanay ayeen hoon who aur larkiyaan hoon gi joh tumharai tafri ka saman karti hoon gi aur who hoongi joh tumaharay agay peechay phirtin hoon gi, magar main aisi nahi hoon. Main yahan par siraf parhnay kay liye aye hoo, tum jaisoon koo phasnay nahi aur tumhayn apnay baray main kiya kush fahmi hai? Kiya hai tumharay paas kay tum kudh koo in data samjhnay lagay hoon. Jin cheezon ko tum chand lamhay pehle ginwa rahay thay mujhay in main koi dilchaspi nahi hai. Apnay bara main tumharay khayalaat jaan kar mujhay koi hairat nahi howi. Who tab hooti jab tum mere baray main yaa kisi bhi aurat kay baray main achay khayalat kaizhar kartay magar tumhara kasoor nahi, tumhari tarbiyaat ka qasoor hai joh tumhain di gai hai ya is roopay paisay kaa asaar hai joh tumharay maa baap tumharay liye kamatain hain. Haraingi to tab hoti hai jab tum logoon main koi shareef ho. Kisi ka kirdar acha howa aur tumharay badkirad honay main mujhay koi shuba nahi."
comment:
p_commentcount