Created

Last reply

Replies

117

Views

26.2k

Users

19

Likes

63

Frequent Posters

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#31
tum bhi khafa ho log bhi bereham hain dosto

ab ho chala yaqeen ki bure hain hum dosto "
Edited by raheelu - 13 years ago
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#32

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.

———————————-

Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy……

———————————-

Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz….
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein….

———————————-

"Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"…

———————————-

'"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga…'".

———————————-

"Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

———————————-


Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,…
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta……
-

———————————

Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz…….
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai….!

———————————-

Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!

———————————

Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~

———————————

Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj…!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker…..!

———————————

Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota….!

———————————-

Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi

Edited by raheelu - 13 years ago
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#33
Haseen Yadoon K Kuch MauSaM Ussey Arsaal Krney Hein FARAZ
SuNa Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#34
Parveen Shakir

Mujha Ehsas-e- ULfat Tum inayat Q nhi karty,

Meri izzat To karty ho- Mohabbat Q nhi karty,

Ye saary Log kehty Hain K Tum Chanchal Tabiyat Ho,

Magar Tum saamny Mery Shrarat Q nhi karty,

Jo apni Gftugu main phool Takseem karty Ho,

Kabhi in phoolon ko mujh par Nichhawar Q nhi karty

———————————————————————————–

Nahi Mujh Ko Shikayat Ab Kisi Se

BAs Apne Apse Rothi Howi Hoon

BAzahir Khush Hoon Lekin 1 SAch Bataon

Main Andar Se Bohta "TOOTI" Howi Hoon


raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#35
Haal-e-Dil Woh Kabhi Kisi Ko Na Kehti Ho Gi
Par Bina Mairey Bohat Mushkil Say Rehti Ho Gi
Kabhi Din Ke Kisi Udaas Pal Mein
Woh Mairi Shararton Ko Soch Ke Hansti Ho Gi
Be-sabab Udaasi Ka Sabab Jab Koi Na Poochta Ho Ga Mairey Israar ...

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#36

Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aankhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha….


————————–@@@@@@@@—————————-


Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Sochti baithi hoon ….
Kaash aisa ho
Tanha chandni raat ho
Aur Tum Saamne Aaa jaao
Khwaab dekhti hoon….
Mehfil ho….Koi naam le tumhara
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Mehsoos Karti Hoon…..
Ye barfili chaadarein
Ye khushboo hawaaon mein
Jab tumhaare chehre se ye guzarkar
Tumhari khushboo liye mere chehre pe samaaye
Aaankh khule Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Jhumti hoon
Baarish mein bh

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#37

..:::Naye Dinoo Ke Naye Safar Main:::...

Naye Dino Ke Naye Safar Main Dheean Rakhna
Khamosh, Chup Chap
Kuch Na Kehti In Saytoo'n Ne
Sonp Dalay Naye Taqazay Rafaqtoo'n Ke
Dheean Rakhna
Ke Apne Hisay Ke Sab Taqazay Nibahne Hain
Sath Chalte Hoye Safar Main
Her Ik Dagar Pe Chahtoon Ke Ghulab Likhna
Warq Warq Aetmad Jis Main
Harf Harf Main Ho Jaannisari
Nayi Khushian, Naye Munazir
Nayi Misalien, Naye Hawalay
Bas aik aisi hi muhabtoon ki kitab likhna
naye dinoo ke naye safar main...


----------------------------------------------------------

Mujh Se Mil Ker

Mujh se bicher ker tere chehray pe ujalay per jaien
sheher ke log humien dekh ker kallay per jaien

main rahoon chup to sabhi cheeck parien wahshat se
main sawalat keroon hontoon pe talay per jaien

main nahi hota to faroon banay phirtay hain
dekh ker mujh ko jinhien jaan ke lallay per jatay hain

Aag per hath dharien raakh uthien wapas
baraf per paoon rkhien paoon main chalay per jaien

durd ki leher koi bhej meri duniya main
is se pehlay ke meri rooh main jallay per jaien

hum jo uljhien to sada buch bachaoo ho jaye
darmyan donoon main kuch chanay walay per jaien

agar kabhi hans de to wo noor dahn se niklay
mand pal bhar main sabhi chand ke halay per jaien
-------------------------------------------------------

Kidher Jaoon Ga

Tujh se bichra to kidher jaoon ga
main to bechaini se mar jaoon ga

main to aisay nahi janne wala
chand doobay ga to ghar jaoon ga

motioon se bhara bartan hoon main
toot jaoon ga, bikher jaoon ga

main to sehma huwa sanata hoon
apni awaz se dur jaoon ga

main agar koi samndar bhi hoon
ik tere durd se bhar jaoon ga

waqt ke ruth se main farhat abbas
kahien chup chaap uter jaoon ga
----------------------------------------------



raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#38
Barbaad Howey , Badnaam Howey , Ek Teri Tamanna ki khatir..
Yeh Duniya To Hamari Ho Na Saki , Ek Tum Hi Hamary Ho jaaty
-------------------------------------------------------------------------

In aarzowon pey chai hai gard_e_mayoosi…
jinhon ney terey gham tabassum mein parwrish pai
-----------------------------------------------------------------------

pEgham E shok ko itna taveEL na krna qasid!!!!!
bus itna kehna k…..AANKHEN taras gai hain!!!!
-----------------------------------------------------------------------
Aarzoyen fazool hoti haiN goya kaghaz k phool hoti haiN,,,
Her kisi k naam pr nahi rukteeN dharkaneN ba osool hoti haiN,,,
PatharoN k khudao k agaye ltijaiN fazool hoti haiN,,,
Koi mere laboun ko bhi la day jo duaeN qubool hoti haiN…..
-----------------------------------------------------------------------


raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#39

Hum Tasleem Kartey Hain
Humain Fursat Nahi Milti.

Magar

Ye Bhi Zara Socho
Tumhain Jab Yaad Kartey Hain
Zamana Bhool Jatey Hain.



Acha Lagta Hai


Parveen Shakir Poetry

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!!



Teri khushbu ka pata karti hai


Parveen Shakir Poetry

Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsan hawa karti hai

Shab ki tanhai main ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai

Dil ko us rah pe chalna hi nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne main raha karti hai

Us ne dekha hi nahin warna ye ankh
Dil ka ehwal kaha karti hai

Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
Ret par nam likha karti hai

Sham parte hi kisi shakhs ki yad
Kucha-e-jan main sada karti hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Hal jo tera ana??? Karti hai

Dukh hua karta hai kuch aur bayan
Bat kuch aur hua karti hai

Abr barse to inayat us ki
Shakh to sirf dua karti hai

Masla jab bhi utha chiragon ka
Faisala sirf hawa karti hai



Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

Parveen Shakir Poetry

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
Masla phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega



mujh pay ehsaan hawa karti hai

Parveen Shakir Poetry

teri khushbu ka pataa karti hai,
mujh pay ehsaan hawa karti hai,

shab ki tanhai mei ab to aksar,
guftagu tujh say raha karti hai,

dil ko us raah pay chalna hee nahi,
jo mujhay tujh say juda karti hai,

zindagi meri thee lekin ab to,
teray kehnay mei raha karti hai,

us nay dekha he nahi warna yeh aankh,
dil ka ehwaal kaha karti hai,

shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad,
koocha e jaan mei sadaa karti hai.



Tumko is sy kya

Parveen Shakir Poetry

Toti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajty rahein hawaoon say dar tum ko es sy kya

Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya

Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhul jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya

Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath adouu
Tum nay to daal di hai sapar, tum ko es sy kya

Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya..!!!



Mulakaat Musalsal

Parveen Shakir Poetry

Tash'khees Baja hai ke Mujhe ishaq hua Hai
Nus'khay mein Likho, Un se Mulakaat Musalsal….!!!



MERE QAREEB HO

Parveen Shakir Poetry

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO..
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO..

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO..



Chor jaoungi

Parveen Shakir Poetry

Bhulanay se jo bhuly na wo kahani chor jaoungi
teri ankhoon me pani ki aisy nami chor jaoungi

lipat kar dair tak dar-o-dewar roye gy
main aisi sog me lipti jwani chor jaoungi

mitao gy kahan thak tum meri batan meri yadan
main har ik mor per apni nishani chor jaoungi

mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi dain gay
main chup ho kay bhi lehje ki rawani chor jaoun gi

kuch is tarhan se niklon gi is dunya ko thukra kar
main dushman kay bhi chehry par herani chor jaoungi …!!!



Is Sheher k Logon Nay


Parveen Shakir Poetry

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay.



kehne Lage

Parveen Shakir Poetry

Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum
Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Hum,

Jab Weeran Sabza Zaar Men Ek Phool Aagiya
To kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazaan Daar Howe Hum,

Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai Mera
Ab Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Hum,

Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na Rakha
Jis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Hum.



Yaad buhat tum aye

Parveen Shakir Poetry

kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,

Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,

kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..

Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..

Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..

Kal yaad buhat tum aye the?..
Kal yaad buhat tum aye the?..



kamaal-e-zabt

Parveen Shakir Poetry

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii
main apane haath se us kii dulhan sajauNgii

supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT auNgii

badan ke karb ko vo bhii samajh na payega
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskurauNgii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manauNgii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukauNgii

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThauNgii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunauNgii

javaz DhuuNDh rahaa thaa nayii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jauNgii



koi dastoor hota hai

Parveen Shakir Poetry

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,

Suna hai jab kisi nadi k paani mainBue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai

To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,

Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker

Ka?uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to

Saara jangle jaag jaata hai.
Naddi main baar aa jaaye

Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per

Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu?atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,

HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!



Masla phul ka hai

Parveen Shakir Poetry

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega

ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega


raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#40

Parveen Shakir Poetry

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki

Edited by raheelu - 13 years ago
Top