"Fauj ko samajhna aasan nahin, Fauji ko samajhna aasan nahin...Kaam hi kuch aisa hai...
Satrah saal baad mila tha Sartaj Singh Harleen se... Harleen ki aankhon se behte aansoon toh sab bayan kar gaye, par sartaj ke kaanpte haathon par, sookhi aankhon par shayad hi kisi ka dhyan gaya..
Use kaid se toh aazadi mil gayi thi, par woh aazad nahi tha
Sartaj Singh se hum sabhi ko nafrat hui hogi par kya kabhi koi yeh soch paya ki is toote hue darakht par phool kaise ugtaa..
Sartaj Singh toh kaid se nikalne ki umeed shayad kho hi chuka tha, par is kaid mei hi usne woh punya kar liya tha, jo uske bas mein tha, Harleen ke aage badh jaane ki ardaas...
Usi Harleen ko usne satrah saal baad bhi apna intezaar karte paaya... Jahan Harleen ki aankhon mein pyaar tha, Sartaj ki aankhon mein pachtava, sadma tha ki usne apne liye Harleen ke satrah saal barbaad kar diye..
Sartaj Singh ko galat tehrana aasan tha, mushkil tha uski ungli pakad kar sahi raah par le jaana aur woh kaam Harleen ne kiya..
Sartaj Singh ki galtiyaan sab bhoolne lage, Insaan hi toh tha aankhir.. Fauji ke roop mein..
Parwaah thi, fikr thi Harleen ki aur woh saaf saaf dikhyi diya.. Upar se patthar dikhne waala Sartaj Singh ander se mom hi tha..
Sainik ka dil aur dimaag ek hi sur pe kaam karte hain, pehle desh, phir pariwaar aur is ginti mein woh khud ko kahin nahi paata..
Sartaj Singh ne jeevan ke satrah saal desh ko diye aur jeevan desh ko aur pariwaar ko .. Isse bada balidaan ho nahi sakta tha... Shayad ab hum uske kaanpte haathon mein, rookhi aawaz mein dosh na dekhen... "
Edited by .Fragrance. - 7 years ago
comment:
p_commentcount