HIDDEN SIGHTS - VIDEV FF - Last Episode - Page 6

Created

Last reply

Replies

161

Views

9.1k

Users

18

Likes

165

Frequent Posters

1259112 thumbnail
Posted: 1 years ago
#51

Enjoyed thoroughly,

You are right they sound more like Iq and Rach.

Pehla FF hai jisme Dev ko thappad khana pada😃

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#52

I feel like she should have slapped Dev when he fired her in the initial episodes of NUKSH... remember when he behaved angrily with her because of Amba..

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#53

Meri aaj tak ki articles mein naa Dev ko naa Vidhi ko thappad mile hein. But yeh FF totally meri comfort zone ke bahar hein..Pehli baar mein kisi movie ke adaptation waali FF likh rahi hun.... Thank you

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#54

Uss time Vidhi mein courage nahin thi Even Chaachi used to degrade her a lot.

1259112 thumbnail
Posted: 1 years ago
#55

Originally posted by: Revutty

Meri aaj tak ki articles mein naa Dev ko naa Vidhi ko thappad mile hein. But yeh FF totally meri comfort zone ke bahar hein..Pehli baar mein kisi movie ke adaptation waali FF likh rahi hun.... Thank you


Hey no issues😊👍

This is ur Ff and feel free to explore it the way you want.

I just found it funny that's all. It went with the flow.

Here Dev and Vidhi are just normal people like you and me not mahathmas like in itv dramas.

Keep updating..

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#56

Please update next part soon ❤️

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#57

PART 7

Dev : Vidhi, thanks .

Vidhi : Kis liye ?

Dev : Tum mere kehne pe mere saath restaurant aayi naa...Aur again I am sorry.

Vidhi : Woh baat beet chuki hein. Phir se sorry kehne kee zarurat nahin. Mein jawun ? Already raat ho chuki hein.

Dev : Ek aur baat kehni thi..

Vidhi : Haan batayiye naa

Dev : Yeh earrings..sahi jagah pe honi chahiye. Please mana mat karna lene se,...

Vidhi smiled and opened her palm . Dev placed them and held her hand .

Dev : Tumhare saath aise bahar jaake man ko bahut sukoon mila Vidhi.

Good night.

Dev walked away with a smile. Vidhi looked those earrings and went inside with a smile.

Next day

Vidhi was very much desperate to sit in Dev's bike. She straightly went to outhouse and find that outhouse was already locked from outside.

Vidhi thought : Mujhe bina bataye chale gaye woh bhi bahut jaldi. Aur mein jaanboochke apni scooty ke hawa nikalke inke saath bike ride ke liye saj dhajke aayi thi. Kuch nahin ho sakta iss admi kaa ...Kuch bhi nahin. Abb mujhe college bhi toh jaana hein.

Vidhi reached college late

Professor : What happened Vidhi ? Tum kabhi bhi late nahin aati aaj kya huwa ?

Vidhi : Sorry Mam. Aage se aisa nahin hoga.

After the lectures were over Vidhi was about to go. Meanwhile Professor talked to Vidhi .

Professor : Vidhi tum college hostel mein shift kyun nahin hoti ?

Vidhi : Mam aap yeh sab kyun keh rahi hein ?

Professor : Beta maine dekhaa thaa tum ek aadmi ke bike pe aayi thi. Tumhare ghar mein paying guest hein naa woh ? Beta mardon kaa koyi bharosa nahin . Kab kya karenge ? Tum jawan ladki ho , you get my point naa.

Vidhi : Yes Mam. Acche se samajh mein aa rahi hein....Aap kitne dinon se spy work kar rahi hein ?

Professor : Sirf mein hi nahin pura college tumhein galat nazar se dekh rahe hein....Beta chahe kuch ho yaa naa ho ek akeli ladki ek ghar mein kaise rehe sakti hein woh bhi uska paying guest ......Beta mein saari arrangements karungi ....Hostel mein shift ho jawo .

Vidhi : Aap apni beti ko bhejiye hostel mein. Khud ke ghar chodke kisi hostel mein rehne ki situation mein nahin hoon. Yahan se sirf 20 minute ki doori hein mere ghar tak. Aur aap jiss aadmi ki comment kar rahe hein unhin kee wajah se mein sabse zyada safe hoon. Aur please aap apna spy work mujhe pe mat keejiye Mam.

Scene shifts to canteen.

Vidhi made a phone call to Dev. But as Dev was attending a conference he didn't attended the call. But Vidhi continuously did the same thing and finally when Dev got time he picked her call . Vidhi said : Aap phone kyun nahin udda rahe the ? Aur subah kyun chale gaye ? Bina bataye huye ? Mujhe toh aadat see ho gayi aapke haath ke bane khaana khaane kee. Sirf ek chai peeke nikli , meri scooty bhi kharab ho gayi.

Dev : Scooty kharab hein yaa intentionally tumne kharab kee ?

Vidhi : Matlab !!

Dev : Tum khud hawa nikali aur maine subah dekh liya thaa , dhoodh lene subah gaya thaa tabhi maine dekha tumhein yeh stunt karte huye. Mein side pillar ke peeche hi chup gaya. Hawa nikalne ke baad tum khadi khadi kya soch rahi thi yeh nahin pata mujhe . Itna zarur dekha kee tum hasti huyi andar bhaag rahi thi. Kya hein yeh sab Vidhi ?

Vidhi : Aap mujhe bina bataye kyun gaye Dev ?

Dev : Tum pehle mere sawal kaa jawab do ? Aisa kyun kiya ?

Vidhi : Aapko pata hein, phir bhi pooch rahe hein.

Dev : Vidhi abb toh samajh mein aa gayi naa tumhein kee tumhari iss craziness kaa mere dil mein kuch hein nahin.

Vidhi : Kya dosti bhi nahin ?

Dev : Dosti hein. Par mujhe lagta hein kee dosti zyada karke tum koyi sapna naa dekho. Kyunki sapna jab haqeekat mein badalta hein tabh bahut dard hota hein, dil toot jaata hein. Isliye thode distance maintain karna zaruri hein hamare beech.

Vidhi : Toh mujhe ear rings waapis kyun diye ? Yeh kyun kaha kee mere saath time spend karke sukoon mila aapko ? Kya matlab hein unn sabkaa ? Do you think I am a kid ? I am an adult aur aapke inn baaton se mujhe feel hota hein Dev . Why don't you understand it ?

Dev : Mujhe bahut saara kaam hein office mein. Tumhari bakwaas ke liye time nahin hein mere paas.

Dev cuts the call.

Anaya : Vidhi !!

Vidhi : Anaya !!

Anaya : Vidhi!! Are you in love ?

Vidhi : Anaya!!

Anaya : Yeh jiss tareeke se tum baat kar rahi thi I felt so. But Vidhi how is it possible ? Tumhare aur uss uncle ke beech age ke gap

Vidhi : Shut up Anaya, unhein uncle mat kaho.

Anaya : Sacchai kadwi hein Vidhi . But tum donon ke age gap toh sabko dikhta hein.

Vidhi : Dil nahin dikhte naa kisi ko, jisse chahta hoon usse bhi.

Anaya : Vidhi!! Thoda sochke decide kar lo.

Vidhi : Abb tum bhi professor kee tarah mujhse bak bak karegi ?

Anaya : Mein bas apna concern express kar rahi thi. Aur kuch nahin.

Vidhi : Will you just leave ?

Nahin mein khud hi chali jaati hoon.

On the other hand Dev was feeling restless.

Dev : Kuch zyada harsh nahi bola mein ? No I was right. Uski iss infatuation ko abhi stop nahin karenge toh aage badeghi. Iske liye thoda rough hona theek hein. But ....

As Dev reached home he saw Vidhi parking the scooty .

Dev : Scooty theek ho gayi !

Vidhi : Kharab karne waale ko theek karne kaa option bhi pata hein.

Dev : Mmhh...Yeh kya bhari see earrings pehni ho ? Thodi simple see pehano jaise maine..

Vidhi : Mere paas bahut saari collection hein earrings kee. And aap itna desperate kyun hein mein kuch bhi pehanun, aapko kya ? Aur aap apne bike apne compound mein park keejiye naa .

Dev : Yaar yeh zyada ho raha hein.

Vidhi : Kamal karte hein aap. Pehle daant lete hein phir manane chale aate hein. Mein toh bakwaas hi karti hoon naa ... Aap jaayiye ....

Dev : Maine isliye kaha kee Vidhi .....

Vidhi : Pata hein, fatherly affection. Paapa ne khayal rakhne ke liye bheja hein...

Dev : Nahin, mujhe tumhari fikra hein. Tum mujhe acchi lagti ho. But joh bhi tum dream karti ho woh....

Vidhi : Aapko aur kuch kehne kee zarurat nahin. Thank you aapne dil se batayi. Mein koyi jagah nahin maang rahi hun aapke dil mein shayad woh milega nahin.....Aap kuch mahine baad jaayenge pata hein. Rukne ke liye koyi wajah nahin. Par kya tab tak mein thodi craziness nahin dikha sakti ? Thoda sapna nahin dekh sakti ? Future kaa mujhe khud nahin pata ,but aaj ke pal mein yeh jo feelings hein woh mein...

Dev : Kal se roz mein tumhein drop karunga college mein

Vidhi : Sach !!

Dev nodded his head.

After a week

Vidhi : Pichli baar aapka treat thaa aaj meri baari hein. Joh order karna hein keejiye.

Dev : I just want coffee. Aur kuch nahi

Vidhi : Kyun ?Bhook nahin hein aapko ?

Dev became silent .

Vidhi : Ek baat poochun ?

Dev nodded his head.

Vidhi : Yeh white colour se itne obsessed kyun ho aap ? Maine aapko kisi aur colour ke dress pehane huye kabhi dekha hi nahin.

Dev : White Rakshita kaa favourite colour hein.

Vidhi : Kaun Rakshita !!

Dev : Jiski photo tum ne dekhi thi room pe .

Vidhi ; Oh!! I am sorry . Coffee aa gayi aapke . Have it.

Dev : Aage kuch nahin poochogi ?

Vidhi : Woh jaankar mein kya karungi ? Mujhe kisi Rakshita pe interest nahin hein.

Dev sipped the coffee.

Dev :Tum thoda saa khaana banana seekh lo.

Vidhi : Kyun ? Iss liye ki mein ladki hoon ?

Dev : No, mein theen mahine baad jawunga toh phir roz roz tum pohe toh nahin khaa pawogi.

Vidhi : Sirf theen mahine

Dev : Haan.

Vidhi : Phir aap kabhi nahin aayenge mujhse milne ?

Dev : Mein beech mein aata rahunga. We will keep in touch .Phone pe yaa aise hi outings pe ....Tum apna studies acche se karo aur haan woh outhouse , usko khaali mat rakhna . Kisi aur ko bhi toh kiraaye mein de sakti ho. Aur tumhare Paapa ne joh papers diye woh maine tumhein diya hein. Toh woh sab dekh lena

Vidhi : Can we just leave ? Please....

Dev nodded his head. But all of a sudden his phone got rang

Dev went to a side for attending the call. After the call was finished Dev turned back. Vidhi was not there.

Dev : Vidhi kahan gayi ?

Dev started running here and there in search of Vidhi. He tried calling her mobile but he find out that Vidhi had left her hand bag and mobile at the seat only. Rain started bursting out heavily. Dev started riding his bike at that heavy rain. After much search he saw Vidhi standing near a bridge. Dev rushed near her and touched her from behind.

Dev : Kahan gayi thi tum ? Aise bina bataye kyun chali gayi ?

Vidhi : Aap bhi toh uss din bina bataye ghar lock karke subah chale gaye the ......Har kadam aapka saath theen mahine baad nahin milegi naa, aadat daal rahi thi thodi dooriyan banane kee ....Nahin toh khadi khadi mein khoob saari sapne dekhungi joh shayad pura hi nahi hoga...Kabhi bhi.....Mera khayal aapne bahut rakha , abb mujhe khud ke khayal rakhne deejiye.....Warna aapke daantne, mananae mein aapki dosti mein bahut zyada crazy ho jawungi......Mein tyre ki hawa nikalke kiska wait karungi aapke jaane ke baad ? Meri yeh joh ittu see chahtein aur yeh sapne ...inn sabkaa...

Dev wiped her tears with his thumbs.

Dev : Mein hi unlucky hoon joh iss craziness ko samajhkar bhi isse thukrake jaane waala hoon. I will miss you a lot.....

.

Dev : Baarish bahut zor se ho rahi hein. Tumhein sardi lag jaayegi .

Vidhi : Aapko bhi lag sakte hein.

Dev : Tum aisi baatein naa karo Vidhi jisska koyi possibility naa ho.

Vidhi : Kyun ?

Dev : Ek toh mein move on nahi kar paaya hoon abb tak. Dusri baat hum donon ke beech joh umra ki seema hein wahi reality hein.

Vidhi : Kya yeh baarish umra ki seema kee wajah se kisi pe kam yaa kisi pe zyada baraste hein ?

Dev : Tum puri tarah pagal ho chuki ho Vidhi . Yeh kya boli jaa rahi ho tum ? Yeh saari baatein sunne mein accha hein , zindagi kee ladayi mein nahin. Maine dekha hein life ke struggles ko.

Vidhi : Haan , aapne mujhse zyada struggles ko dekha. Mujhse zyada life ko jaana hein. Mein nahin jaanti ladai , struggle sab kya hein. But aapko Paapa ne bheja thaa yeh jaankar joh ehsas mujhe mili hein woh aapke samajh ke pare hein. Mein hi baar baar aapke peeche aane ke liye, aapse baat karne ke liye har uss mauke ko talashti rahi . Yeh sab aapko pagalpan lagta hein toh haan hun mein aap mein pagal Dev. I don't know mein aapke jaane ke baad kaise rahungi kya karungi . I just don't know.

Dev : Sachai ko accept karna seekho Vidhi. I have to go.

Vidhi : Kya jaana zaruri hein ?

Dev : Aur koyi choice nahi hein Vidhi....

Vidhi : Mere craziness ke liye bhi aur koyi choice nahin hein Dev .

She embraced him with teary eyes. Dev was able to sense her tear drops which were touching his chest . He simply kept his palm at her head . Vidhi looked up with her teary eyes.

Vidhi : Mere liye yeh ittu saa care hi kaafi hein. Koyi demands nahin rakhungi.

She smiled and wiped her tears. Back to their journey an unknwon silence was tangling their minds. None of them took the effort to break the silence.

TO BE CONTINUED


Aaj ki update thodi choti hein.,I am really busy with work guys. Next one will be longer one.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#58

Please read and drop your views

1259112 thumbnail
Posted: 1 years ago
#59

Loved it.

Good to see a rebellious Vidhi😍

hmhss thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#60

Read it all in one go! Amazing story

Reminds me of the Vidhi who was confident yet naive

Waiting for the next update

Top