Next part
Niyati ek or karwat leti hai or daya ke hath pe apna haath rakh deti hai. Daya shocked reh jata hai per niyati ko abhi bhi sukun se sote dekh wo smile karta hai. Daya dheere se apna haath Niyati ke hath se nikal ke or waha se uth ke jane lagta hai. Jaane se pehle ek baar palat kar Niyati ko dekhta hai. Phir bahar chala jata hai. Daya ke jane ke baad niyati apni aankhe kholati hai. Niyati ke hotho pe sukun bhari smile hai. Wo uth ke baith jati hai. Niyati apne bag me se apni diary nikal ke usme likhti hai.
Niyati- Aaj life me pehli baar mujhe aisa laga jaise duniya me mujhe koi aisa insan mil gaya hai jispe main aankhe band kar ke bharosa kar sakti hu. Koi aisa jiske sath chalte huye kabhi bhi mujhe khone ka daar nahi hoga. Agar main kabhi girne lagu to wo mujhe tham lega. Agar kabhi meri aankhe bhar aaye to mujhe husa dega. Koi aisa jiske sath zindagi ka her raasta aasani se kut jayega. Aisa bhi nahi lagta ki agar wo nahi mila to zindagi ji nahi paungi lekin aisa lagta hai agar wo na ho to zindagi zindagi ke jaisi nahi rahegi. Wo shaksh jisne mujhme aise naye ehsas jagaye hai uska naam hai Daya. Haa Daya. Kabhi kabhi hasi aati hai ye soch kar ki kis tarah se main usase lada karti thi. Kaise use pareshan karne ka ek bhi mauka nahi chhodati thi. Or aaj aisa lagta hai agar uske chehre pe koi pareshani nazar aa jaye to meri jaan si nikal jayegi. Ye waqt jo humne sath me gujara hai wo meri zindagi ke sabse yaadgar lamhe hai. Pata nahi main tumse ye kab keh paungi ki I luv u Daya.
Daya kamre me aa jata hai or Niyati use dekh kar diary chupa leti hai. Per daya diary dekh leta hai.
Daya- uth gayi aap. Main aapko uthane hi aaya tha.
Niyati- kuch kaam tha?
Daya- haa. Wo main bahar se khana pack kara ke laya tha. Kha lijiye warna thanda ho jayega.
Niyati- tum chalo main aati hu.
Daya ke jane ke baad Niyati hall me aati hai. Daya table pe khana serve kar chuka hota hai.
Niyati- chinies wow. My favorit.
Daya- shuru kijiye.
Niyati- per Abhijeet ne to kaha tha ki tumhe aisa khana kuch khas pasand phir tum ye le ke aaye ho.
Daya- wo main itne dino se daal chawal kha ke boar ho gaya tha to socha aaj taste kuch change kiya jaye.
Daya ka jawab sun ke niyati smile karti hai. Dono khana shuru karte hai.
Niyati- thanks.
Daya- ye kyu?
Niyati- tum mere liye ye sab le kar aaye jabki tumhe ye khas pasand nahi.
Daya- aapse kisne kaha ki main ye aapke liye le ke aaya.
Niyati- Kuch baatein bina kahe bhi samjhi ja sakti hai.
Daya- thanks.
Niyati- ab ye kyu?
Daya- Meri ankahi baato ko samjhne ke liye.
Dono halki smile karte hai. Daya waha se chala jata hai.
Niyati- ye aise hi accha lagta hai. Cute caring sesetive person. Pata nahi change kyu ho gaya tha? Ye mujhse ladta hua hi accha lagta hai.
Daya wapus aata hai. Uske haath me ek packet hai.
Niyati- ye kya hai?
Daya- ye main aapke liye laya tha.
Niyati- per kyu?
Daya- wo maine shop me ye dekha to mujhe aapka khayal aa gaya. Or maine aapke liye ye le liya. Waise bhi mehman ko ghar se khali hath nahi bhejte na. Or aap to kal ja rahi hai hai to maine socha ki aapko koi gift de du. To gift samjh ke hi agar aap ise rakh lengi to mujhe accha lagega.
Niyati- thanks.
Daya- mujhe kuch idea nahi hai is baare me to mujhe jo sahi laga maine le liya. Pata nahi aapko pasand aayega ya nahi.
Niyati- tumne itne dil se kharida hai to accha hi hoga.
Niyati packet le ke room me le ja ke use open karti hai. Usame bahut khubsurat red color ka suit hota hai. Niyati ko wo suit bahut pasand aata hai.
comment:
p_commentcount