Next Part
Niyati- to tumhe samjhna chahiye na ki kiske saamne kya bolna hai?
Daya- maine maafi maang li na. Ab to maaf kar dijiye.
Niyati- thik hai maaf kiya. Waise such kahu to mujhe ye ghar bahut pasand hai main yaha se jana nahi chahti.
Daya- kya? Lekin ye ghar mera hai or mera is ghar ko bechane ka koi irada nahi hai.
Niyati- kitna bada bewkoof hai ye. Ise to ye bhi samjh me nahi aata ki agar koi ladki kisi ladke ke ghar se jana nahi chahti to iska matlab ye hota hai ki us ladki ko us ladke se door jane ka maan nahi hai.
Daya- main janta hoo ki mera ghar bahut accha hai. Or hoga bhi kyu nahi ye ghar mere dost Abhijeet ki pasand hai. Usi ne mere liye ye ghar select kiya tha isliye ye ghar mere liye bahut khaas hai. Main ise bechane ki soch bhi nahi sakta.
Niyati- Iski sui fir se ek hi jagah atak gayi. Main is ghar ko nahi bech sakta. Is bewkooof ko kaise samjhau ki mujhe is ghar me nahi gharwale me interest hai.
Daya- kaha kho gayi?
Niyati- kuch nahi. Maine breakfast kar liya ab tum mujhe room tak chhod do.
Daya- main kyu chhod du? Abhi abhi to aapne kaha ki aapka dard bilkul gayab ho gaya. Fir aap khud apne room tak jaiye.
Niyati- wo... wo to baithate waqt mera dard gayab ho gaya tha lekin chalne me dard hoga na. Bina sahare ke main kaise chalungi?
Daya- dekhiye agar baithate waqt dard nahi ho raha to fir chalte waqt bhi dard nahi hoga.
Niyati- are dard hoga na. Tum samjhte kyu nahi.
Daya- Main sab samjhta hoo. Lekin aap bhi samjhane ki kosis kijiye agar aap khud se chalne ki kosis nahi karengi to fir aap kaise chal payengi. Or thoda dard hoga lekin bardast karna padta hai. Chaliye kosis kijiye khud se chalne ki.
Niyati- daya pls...
Daya- main hoo na yaha. Aap chalne ki kosis to kijiye. Or main hoo na yaha, mujhpe bharosa kijiye main aapko girne nahi dunga.
Niyati- agar main gir gayi to...
Daya- main sambhal lunga. Lekin aap kosis to kijiye.
Niyati khud se chalne ki kosis karti hai lekin jaan boojh kar girne lagti hai. Daya aage badhkar use apni baaho me tham leta hai. Niyati or Daya dono ek dusre me kho se jaate hai. Tabhi Daya ka phone ring hota hai or unka eyelock tootata hai.
Daya- chaliye main aapko room tak pahucha deta hoo.
Daya Niyati ko uske room tak pahucha deta hai. Wapus hall me aakar apne phone se Abhijeet ko call back karta hai.
A- Kya yaar Daya Dr. Paradhan me itna buzy ho gaye ki dost ka phone uthane ka bhi waqt nahi tha.
Daya- tumhe or koi kaam nahi hai kya? Phone uthate hi bakwas shuru.
A- Are bhadak kyu rahe ho yaar? Agar mera phone karna itna hi bura laga to main phone rakhta hoo. Jab free ho jana tab mujhe call back kar dena.
Daya- tum apni bakwas band karoge ya main aakar tumhe lagau 2.
A- are nahi yaar ye zulm mat karna mere uper warna mere daato se bhi piyaano bajne lagega.
A smile appears on Daya face.
Daya- Tumhe na baate banane me koi nahi hara sakta.
A- accha thik hai ye batao kya haal hai tumhara or tumhari Dr. Paradhan ka?
Daya- (with angry voice) Abhijeet.
A- accha baba sorry. Kya haal hai humari Dr. Pradhan ka?
Daya- Main to thik hoo yaar per ye Dr. Pradhan hai na unhe pata nahi kya ho gaya hai.
A- kyu kya ho gaya?
Daya- boss mujhe kuch samajh me nahi aa raha ki unhe ho kya gaya hai. Subah se ajeeb harkate kar rahi hai.
A- aisa kya kar diya?
Daya- kaha to wo humesha mujhe kehti rehti thi ki mere kareeb mat aana mujhse door rehna or kaha aaj subah se..
A- subah se kya? Kahi kiss viss to nahi kar liya tumhe jo mera dost itna pareshan hai.
Daya- tum mazak band karoge tab main tumhe kuch bataunga. Warna rakhta hoo phone.
A- are nahi yaar. Sorry. Ab masti nahi karunga. Tum batao kya hua?
Daya- wo aaj subah se bahut ajeeb bartav kar rahi hai. pehle mujhe apni moch pe marhan lagane ko kaha, phir jab maine haath hatane ki kosis ki to mera haath pakad liya or kehne lagi ki main or malish kar du.
A- bus itne me ghabra gaye. Are yaar jab kisi ko moch lagti hai to use malish karne se aaram milta hai isliye unhone tumhe malish karne ko kaha hoga. Or rahi baat hath pakadane ki to tum jaanate ho wo kitni bold hai. aise me tumhara haath pakadan unke lliye bilkul normal baat hai.
Daya- are bus itna nahi hai. mujhe lagata hai ki unhe utni jyada takleef nahi hai jitni wo zahir kar rahi hai. wo baar baar mujhe idhar udhar le jaane ko kehti hai. mujhe kuch thik nahi lagta.
A- are mere bhole bhale dost, kisi ladki ki help karne se tujhe pareshani kyu ho rahi hai? tu unhe bus aam ladki ki tarah treat kar na or soch ki tum ek CID officer ho or unki help karna tumhara farz hai.
Daya- chalo main ye bhi maan lu lekin aaj jab main breakfast bana raha tha to wo Tv pe romantic gaane chala ke mujhe ghoore ja rahi thi.
A- to tujhe pareshani kis baat se hai Romantic gaano se ya fir unke ghoorane se?
Daya- dono se. Boss wo mujhe lagatar ghoore ja rahi thi or mujhe ye bilkul acccha nahi laga. Bahut uneassy feel kar raha tha main. Koi kaam bhi thik se nahi kar pa raha tha.
A- are yaar agar itni problem thi to sidhe sidhe puch kyu nahi liya ki aisa kya dikh raha tha unhe tumhare chehare me jo tumhe lagatar ghoore ja rahi thi.
Daya- pucha tha na. Unhone kaha ki wo dekh rahi hai ki main naashta kaise banati hoo.
A- sarasar jhooth. Are koi kaise nashta banata hai ye janane ke liye kya koi use ghoorata rehta hai. kuch na kuch gadbad to hai daya.
Daya- wahi to main keh raha hoo ki kuch na kuch gadbad zaroor hai. warna wo subah se mere sath is tarah pesh nahi aati.
A- are to ja kar pata karo na ki kya gadbad hai. yaha khade khade sochate rahoge ki kuch gadbad hai to phir kaise pata chalega ki unke maan me chal kya raha hai.
Daya- to main kya karu?
A- aisa karo. Bathroom me jaao. Nal kholo or uske niche khade ho jaao. Are bewkoof main sab kuch batau. Tum bhi to CID officer ho. Her mamale me apna dimag lagate ho to is mamale me bhi lagao na. Ja ke pata karo ki unke is bartav ki wazah kya hai. ky chal raha hai unke dimag me. Waise mujhe kuch kuch andaza to hai ki wo ye sab kyu kar rahi hai.
Daya- kyu kar rahi hai wo ye sab?
A- dekho Daya mujhe to subah me hi sak hua tha ki wo jaan boojh kar giri hai, or unhe koi chot vot nahi lagi.
Daya- to wo ye natak kyu kar rahi hai?
A- shayad wo tumhare ghar se jana nahi chahti.
Daya- mujhe bhi aisa hi lagta hai. wo keh bhi rahi thi unhe ye ghar bahut pasand hai.
A- haay mere bhole saheb sirf ghar pasand honeki wazah se wo waha thodi na rukengi.
Daya- to?
A- to ye ki mujhe lagata hai unhe bhi tum pasand ho. Or shayad wo ek din or waha reh kar tumhe parakhana chahti hai.
Daya- oh to ye baat hai. koi baat nahi, agar wo mera exam le rahi hai na to main bhi unhe dikha dunga ki Daya kisi exam me fail nahi hota.
A- ye hui na mere dost wali baat. Ab jaao or ja ke sabse pehle ye pata lagao ki aakhir unke maan me kya hai.
Daya phone cut karke sochne lagat hai ki kaise pata kare ki Niyati ke maan me kya hai. use ek idea aata hai. wo Niyati ke room me jata hai.
Daya- main zara pados me ja raha hoo newspaper lene. Gate main bahar se laga dunga. Aap yahi rahiyega or pareshan mat hoiyega main jaldi hi aa jaunga.
Niyati- accha per jaldi aana.
Daya bahar chala jata hai. uske jaane ke baad Niyati check karti hai ki wo chala gaya ki nahi. Conform hone ke baad Niyati apne room me aaine ke saamne khade ho ke apne aap se baate shuru kar deti hai.
Niyati- bed pe baithe baithe to main thak gayi. Pata nahi log kaise mahino tak hospital bed pe gujar dete hai. per in sab ke beech bus ek hi baat acchi hui, girne ke bahane Daya ki baaho me aane ka chance mil gaya. Uski baaho m ajeeb sa sukun milta hai. main to kho hi jati hoo uski baaho me aane ke baad. Aisa lagat hai kash ye waqt tham sa jaaye or main yu hi uski baaho me rahui. Per wo baar baar mujhe khud se alag kar deta hai. Itna sharif bhi koi hota hai kya. Or kitni pyaari baatein karta hai. Main aapko girne nahi dunga... aisa to bus koi mehboob hi apni mehbooba ko keh sakta hai. Pyaar to ye mujhse karta hai per agar ye isi speed se chalta raha to main buddhi ho jaungi iske I Love u kehne ke intzaar me. Mujhe hi kuch karna hoga. Per niyati jaldi. Time nahi hai tere paa. Aaj raat tak ka waqt hai tere paas. Tujhe Daya ke muh se I Luv U nikalwana hi hoga.
Daya jo bahar khde ho kar Niyati ki saari baatein sun raha hta hai uski baatin sunakr hairan sa reh jata hai.
Daya- To ye baat hai. Abhi sahi kehta tha inke dil me mere liye kuch to hai. Or inhe pata chal gaya hai ki main inhe pasand karta hoo.or ab ye mujhse I luv u bulwana chahti hai. tabhi to main sochu ki ye tikhi mirch achanak se rasbhari kaise ban gayi. Dr. Pradhan main bhi dekhta hoo ki aap mujhse I luv u bulwati kaise hai. ab to pehle aap I Luv U bolengi mujhe.
comment:
p_commentcount