Next part
In morning. Niyati sabke liye coffy banati hai. Sab sath me cauch pe baith ke coffy pi rahe hai.
A- yaar daya ACP sir ka phone aaya tha beuro aane ko. Barish bhi ruk gayi hai or pani bhi lagbhag utar gaya hai to main chalata hu.
D- accha ruko boss main bhi ready hota hu.
A- are nahi maine sir se keh diya hai ki tumhari tabiyat thik nahi hai to tum aaj rest karo.
D- accha thik hai. Tum sath me Dr. Pradhan ko lete jao. Raaste me unhe unke ghar chhodte jana.
Niyati ye sunkar shocked reh jati hai.
N- (tu himself) main kaise ja sakti hu? Agar main chali gayi to ye jo kuch bhi mere or daya ke beech shuru hua hai wo to aage badhne se pehle hi khatam ho jayega. Kaam ke chakkar me hum ulajh jayenge or daya jiske dil me mere liye kuch kuch hone laga hai wo sab CID ki zimmedariyo ke neeche dab jayega. Nahi main nahi ja sakti. Mujhe kum se kum ek din to or yaha rehna hoga jisase main daya ke dil ki baat uski zuban tak la saku. Per kya karu? Ab to koi bahana bhi nahi raha jisase main yaha ruk saku. Agar bahana nahi hai to bahana banana padega lekin main aaj yaha se nahi jane wali. Kya karu?
A- Dr. Pradhan apna bag pack kar lijiye main aapko ghar chhodate chalunga.
N- haa.. Haa kar leti hu.
Niyati kitchen me coffy mug rakhne jati hai. Daya Abhi aapus me baat karne me lag jate hai.
N- kya karu jisase main yaha ruk saku? Soch niyati soch warna teri love story to start hone se pehle hi khatam ho jayegi.
Daya Abhi dono apni baato me lage hai tabhi unhe Niyati ki aawaz sunai deti hai 'aaa'
Dono us taraf dekhte hai jaha Niyati zamin pe giri padi hai. Dono waha pahuchte hai.
D- kya hua? Aap gir kaise gayi?
N- main kitchen se aa rahi thi to achanak se gir gayi. Mera pair..
A- lekin yaha aas paas aisa kuch bhi nahi hai jisaki wazah se koi gir jaye. Phir aap giri to giri kaise?
N- oh ho tum yaha bhi apna jasoosi karna band karoge. Mere pair me chot lagi hai, mujhe itna dard ho raha hai or tum yaha bhi Sr. Ins. Abhi bane ghum rahe ho.
A- are main to..
D- are Abhi tujhe to pata hai na ye aise hi chalti hai. Ye to kahi bhi gir jati hai. Isme itna hairan hone ki kaun si baat hai.
N- tum dono bhi na bilkul patthar dil ho. Meri kisi ko parwah hi nahi hai.
D- aap chaliye kamre me.
Niyati uthne ka try karti hai lekin gir jati hai.
N- mujhse nahi utha jayega. Bahut dard ho raha hai.
A- aap kosis to kijiye khade hone ki. Kamre tak to chaliye.
N- main keh rahi hu na bahut dard ho raha hai. mujhse utha bhi nahi ja raha or tum kamre tak jaane ki baat kar rahe ho.
D- lekin aapko kosis to karni hogi na. Aap yaha to nahi reh sakti na.
A- Daya tum Dr. Pradhan ko unke kamre tak pahucha do.
D- main..
A- haa yaar tum inhe utha ke kamre tak pahucha do main doctor ko phone karta hu.
N- nahi doctor nahi. Main pain killer kha lungi or koi dawa laga lungi to thik ho jayega. Waise bhi sadak pe pani puri tarah se nahi utra to shayad hi koi doctor aayega. Tum bekar me pareshan mat ho.
D- main aapko kamre tak pahucha deta hu. May I?
Niyati Daya ko izazat de deti hai. Daya Niyati ko apni baho me utha ke room me le jata hai. Wo use bed pe baitha deta hai.
A- Daya main chalta hu yaar. Dr. Pradhan to aise me ja nahi sakti. To main chalta hu. Tum inhe koi dawa de do.
D- chalo main tumhe bahar tak chhod du.
Daya Abhi ko bahar chhodne jata hai. Idhar Niyati room me baithi hai.
N- wah niyati wah. Filme dekhne ka yahi fayda hota hai ek se ek idea aate hai dimag me. Ab dekh na ye jhooth mooth ke girne or chot ke drame ne tera kaam kitna aasan kar diya. Kisi ko shak bhi nahi hua or tera jana bhi cancle ho gaya. Ab main yaha reh kar aaram se daya ke dil ki feeling ko unki juban tak la sakti hu. Dekhte jaao Daya kal tak main tumhe itna majboor kar dungi ki tum khud mujhse kahoge ki tumhe mujhse pyaar hai.
comment:
p_commentcount