daya-huh ye bhi koi naam hai kiku jaise kisi joker ka naam ho. Naam to mera accha Daya aaha kitna pyaara naam hai. Or matlab bhi kitna accha hai.
N-kya hua? Kya soch rahe ho?
D-kuch nahi. Aap kuch keh rahi thi.
N-haa main tumhe kiku or mere baare me bata rahi thi. Hum na bahut shararate kiya karte the. School me teachers nd puri building me log humse pareshan rehte the.
D-aaj bhi aadat gayi nahi hai logo ko pareshan karne ki.
N-off ho tum apne aap se baatein karna band karoge tab to main tumhe aage bataungi na. Aao yaha baitho main tumhe aaram se batati hu apne or kiku ke kisse.
N daya ko kiku ke baare me batana shuru karti hai. Daya boar ho jata hai.
D- he bhagwan kab tak chalega iska ye kiku puran. Itne kisse to Mere or Abhi ke mere paas bhi nahi hai jitna iske paas hai kiku ke. Jane kab tak sunana padega. Kitni excited hai ye kiku ke baare me batate huye jaise samne kiku hi baitha ho. Itna hi pasand hai ye kiku to usi ke paas rehna tha na. Bekar me uske kisse sun ke baki duniya walo ka bheja fry to nahi hota.
Niyati ki baatein khatam nahi hoti dekh Daya irritate ho jata hai.
D-mujhe bhookh lagi hai.
N-aah main to tumhari baato me bhool hi gayi ki tumhe dawai bhi deni hai.
D-{meri baato me ya us kiiiku ki baato me.}
N-ab chalo tumhe khana kha ke dawai bhi leni hai. Baki baatein main baad me bataungi.
D-{he bhagwan baad me bhi sunana padega ye kiku puran}
Niyati khane ke table pe daya ko khana serve karti hai. Daya khana dekh ke buri si shakal banata hai.
N-dekh kya rahe ho khana shuru karu.
D-aapne isase pehle kabhi khana banaya hai?
N-haa kabhi kabhi. Jab main college me thi tab main kiku her sunday kitchen me apna experiment karte the.
D-yaha bhi kiku.
N-kha kyu nahi rahe? Main utna bura khana bhi nahi banati. Tumse accha na sahi per khane layak khana to bana hi leti hu.
D-khane layak [:-o] wo to dikh raha hai. {daya aaj to koi doctor bhi nahi milega. Khane me Risk hai per na khaya to or jyada risk hai. Ye phir chalu ho jayegi.}
comment:
p_commentcount