Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
Bhale chhin mujhse meri jawani
Magar mujhko lota de bachpan ka sawan
Woh kagaz ki kashti wo barish ka pani
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...
Dheere, dheere, dheere, dheere, aankhon mein chhaa rahe ho Tum paas aa rahe ho Chupke, chupke, chupke, chupke, dil mein sama rahe ho Tum paas aa rahe ho Dheere, dheere Chupke, chupke Jhukti huwi ye palkein, khulte huwe ye gesoo. Ye sharm ki adaayein, woh shokhiyon ka jaadoo Kaise, kaise, kaise, kaise, sapne dikha rahe ho Tum paas aa rahe ho Dheere, dheere Chupke, chupke Phoolon bhare, nazaare, ye khushbuwon ke dere. Lagte hain, khwaab jaise, ye shaam ye savere Holle, holle, holle, holle, armaan jaga rahe ho Tum paas aa rahe ho Chupke, chupke |
Benaam sa yeh dard Thahar kyon nahi jaata Jo beet gaya hai vo Guzar kyon nahi jaata Benaam sa yeh... Sab kuch to hai kya dhoondti Rahti hain nigaahein Kya baat hai main Waqt pe ghar kyoon nahi jaata Jo beet gaya hai vo Guzar kyoon nahi jaata Vo ek hi chahra to Nahi saare jahan main Jo door hai vo dil se Utar kyon nahi jata Jo beet gaya hai vo Guzar kyoon nahi jata Benaam sa yeh... Main apni hi uljhi hui Raahon ka tamasha Jaate hai jidhar sab Main udhar kyoon nahi jata Jo beet gaya hai vo Guzar kyoon nahi jata Vo naam jo barson se Na chehra hai na badan hai. Vo khwab agar hai to Bikhar kyoon nahi jata Jo beet gaya hai vo Guzar kyoon nahi jata Benaam sa yeh... |
comment:
p_commentcount