The Gems of I.M.Virani- Our dark lord

sonali.19281 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#1

After much ado.. I take the honor of finally opening this thread that's long overdue.. One of the key features of "being I. M. Virani"- the Czar of this show are his one-liners.. what us Dark Lord lovers call THE GEMS OF I. M. Virani..

In some episode.. in some frame.. these very lines stole the show.. they intrigued us.. entertained us.. excited us.. inspired us... and in short made us see the stuff IMV is made of.. 😎

some big life lessons.. some pragmatic philosophy.. some just HIS lifestyle..

Lets make this thread a haven.. of sharing some of his Gems.. I made my list.. and will keep adding to it..

All of you are requested to add in your faves as and when you come across them.. or just pick your faves from the list.. guess the context.. elaborate on it.. your take- for or against.. .and keep this post going.. Let the Game Begin...😎

Mods Kindly make this post a STICKY.. coz this bears the essence of MB like nothing else.. absolute credit to Mihir Bhuta for penning them and Shiv Subramaniam for delivering them with such poise.. 👍🏼

------------------------------------------

THE GEMS of Ishwarlal Motilal Virani

The famous opening lines:

Mumbai.. dream city.. sapno ka shaher..is shaher ke rangeen shaamo ko kisi raastey ke kinare baith kar dekho toh bahut dhundli.. bahut phiki.. bahut khali nazar aati hain..aisi hi ek shaam rail ke dibbey se kadam bahar rakha tha.. 16 saal ke poorey bachpan.. jeb mein 1 rupaye ka sikka.. dil mein sapne..pet mein bhook.. aakhon mein darr.. naam tha ISHWAR..

tan par mailey kapde.. sar par sanskaron ke bojh..pairon mein thakaan ban kar baithi hui thi sukh ki khoj.. 16 saal ke bachche ne kab maangi thi shaher ki sultani.. bas mangaa tha to 2 niwaliey khaney ko aur ek pyala paani..

par ye sheher kisi par daya nahi karta.. wo bachcha footpath par soya.. doosro ka bojh dhoya.. kisi koney mein baithkar raat raat bhar roya..na pitaji ka naam kaam aya.. na imaan kaam aya..sirf meri bheetar ka toofan kaam aya..

Sirf I.M.Virani ke bheetar ka toofan kaam aya..

aur aaj is sheher mein sooraj dhalta nahin.. I.M.Virani ko salaam karta hain.. uski khud ki basayi huyi duniya mein.. Vaibhav Villa mein..

Compiled Gems:

Main is duniya main apne hissey ka sukh paaney ki koshish kar raha hoon.. agar mere hissey ka.. mere haq ka sukh mil gaya hota.. to na sirf main.. bahut saarey log sukhi huye hotey

Aap ki safalta se dusre seekhtey hain.. aur asafaltaa se aap khud seekhtey ho..

Life hamari hain.. phalsafa bhi humey hi bana lena padhta hain.. udaar ke phalsafey se insaan kamiyaab nahi ban sakta..

Insaan ka kadh uski sapno se naapa jaata hain.. uski kapdo se nahi.. main to tab bhi bada tha.. par beej main ped sabko nahi dikhayi deta

Dil.. Dil andha behra aur apaahij hota hain bapuji.. duniya ki sachchayi jab tak dil samajhta hain tab tak bahut der ho chuki hoti hain

Insaan ko apne zindagi main.. har ek rishtey ki jagah mukarrar karna bahut zaroori hain beta.

Agar main doosro ko haraa sakta hoon.. toh apne aap ko bhi haraa sakta hoon

Pyaar Insaan ki taakat hain.. aur bharosa kamzori..

Dhyan rakhna.. galti ko aadat bananey ki ijaazat nahi hain


agar kisi ki khushi ke liye liya gaya faisla humesha sahi hota.. to koi kabhi dukhi nahi hota..

waqt ka tamacha chup chaap khaya jaata hain..shor karne se dard kam nahi hota..mazzak zyada hota hain..

Business world kayi lagi farsh ki tarah hain.. chalte huye ek baar dhyan hataa ki insaan dhum se girta hain.. mehsoos hota hain ki zameen sarakh gayi par asal main sarakh jaatey hain pair..

Ye tumhari keemat hain ya umhari haisiyat ye taye karne ki koshish kar rahe hain I.M.Virani' Is this your cost or is this your worth..

Sacchai jitni janni zaruri hoti hain utni batani zaruri nahi hoti

Tum jise insaaf kahti ho.. aisa insaaf karne ke liye main taiyaar hoon.. par tumhe ye sochna hoga ke is insaaf ke liye tum kya kuch chodne ko taiyaar ho

Insaan ya to khudgarz hota hain.. ya nahin hota.. adha adhoora kuch nahi hota is duniya mein

Bhookey peth bahut inquilaab uthey hain

Zeher ko chakh kar parkha nahi jaata

Businessman ko fayda dekh kar ego ka istamal karna chahiye

Nuakaro ke saath jazbaati hogi to gussa ayega ya phir pyar- aur dono hi galat hain

Is duniya mein har insaanswarth hi sochta hain..
bahut kam meri tarah imandar hotey hain...
zyadatar log apki tarah nyay ka dikhawa karte hain

Beeta hua kal jab samney aata hain to mushkil banke aata hain.. yaa to bhitar ko ujaad deta hain yaa phir bahar

Main jinka ateet nahi janta.. unpe bharosa nahi karta.. aur jiska ateet janta hoon.. uski aur mera nazariya uski ateet se bandha rehta hain.. kyuki mujhe yakeen hain ki kapde badalne se insaan nahi badal jaatey

Jockey ki awaaz pe ghodey daudte hain.. ghodo ke maalik nahi daudtey..


Aag ko bujhaney ke do his raastey hain.. ya to usey hawa mil sakey aisey raastey band kardo.. yaa to jis lakdi par aag jal rahi hain.. usey poori tarah jal jaaney do👍🏼

aag kheto mein lagsyi jati hain.. jab tak purani fasal ki jadey jal nahi jati tab tak nayi fasal nahi pakti.. jalney se darney waley zindagi mein kuch nahi patey

zindagi ka tender sirf ek baar bhara jaa sakta hain.. usme galti kardi..to haath mein kuch nahi aata

aap sab ko lagta hain ki main sirf business samajhta hoon.. par sirf main ek hoon jo zindagi ko samajhta hoon..ap sab bhavnaon mein beh rahe hain.. bhavnaon ka kya hain kal badal jayegi.. zindagi mein jo galtiyaan karenge woh humesha saath rahenge

Contributed by anmol paaji

Jo apne man ko jeet leta hain woh sabko jeet leta hain

uss umar mein duniya kaa tazurba hota hain aur uss tazurbe kaa sach bolta bhi hain lekin bheetar kaa shor usse sunne nahin deta👏woh sach insaan tab sun paata hain jab bheetar kaa shor shant ho jaata hain

Acha ho ya bura.. dukh ho ya pachtava.. faisley karney ki shamta sabme honi chahiye..

jab faulad ke do tukde paas aate hain tab woh judke yaa toh pull banaate hain yaa takraakar aag paida karte hain

dil ke faisle tabhi sahi hote hain jab dono insaan dil se soche lekin dimaag ke faise tab bhi sahi ho sakte hain jab ek insaan bhi dimag se soche

kabhi kabhi jaanwar par keede baithkar uska khoon choosete hain par , jaanwar unn keedon ko hataane kii koshish nahin karta, isliye usse jkatka dena padta hain

phir woh khada hota hain aur keede bhag jaate hain


dil mein agar jhooth ho toh aankhon mein darr banke aa jaata hain

hum log naa khushiyan dhoondte hain naa maangte hain
hum khushiyan banaa lete hain

saccha sukh hamesha tabhi milta hain jab log aapko dekh kar apne aap ko chota mehsoos karne lage
sawaal poochne kaa haq usse hain jisme jawaab samajhne kii samajhdaari ho

Contributed by Mb loves:


RAASTA WAHI SAHI JO, KAAMYAABI KI TARAF LE KAR

JAAYE"...


" 23 SAAL PEHLE MANGROL SE EK RUPIYA LE KAR AAYA

THA MUMBAI MAIN"...


" DUNIYA KI SACHHAI JAB DIL SAMJHTA, TAB TAK DER HO

CHUKI HOTI HAI"


jab main kuch accha karta ,tab bhi shq karti,aur jab bura karta tab bhi......"


"sasur hone ke naate tumahri jeet se khushi hogi...lakin com...hone ke naate tumhe jeetane nahin... "

socha hoga kaash vaibhav ne pallu pakda hota , ...hata lo , warna jala
dongaa"...

"mere jeevan ka garith hi alag hai..."

"jab bachhe galti kare toh ma-baap...use samjha do nahin ,
toh main devki ko bata donga...phir chahe jo ho..."

"duniya main sab kuch bikta hai, bas sahi kharidaar aur
sahi rate hone chahiye...
chaahe woh IM VIRANI...hi kyon na ho"...

"main hi ishwar hu charu, aur haarna meri fithrat main nahin"...

"paani main aanshu chup jate hai...unhe rokne ke liye d..?... peena padta hai.."

"uff tumhare usool,tumhare adarsh kis kaam ke hai?
saare usoolon ko tol kar ek waqt ki roti bhi nahin banai ja sakti...

"jaoo, apne dil ki tasalli kar lo..."

imv & cp...

"apni kaamyabi ko khushiya banane ki jagah, usae duniya se ladane...

ka hathiyaar bana batte...bhagwaan mandir ke ander
hai, naki bahar...jahan ahankaar hota wahan prem nahi hota".

"jab-tak kisi bhi roop main ristha nahi jodati, tab -tak main..."


contributed by R3b3l Pr1nc3ss:


insan zindagi mein kitne dher tak chalta raha . uski koi ahmiyat nahi hai

usne kitni unchayi hasil kii.. uski ahmiyat hai.


IMV ko raste manzil tak nahi pohchantey hai

IMV raston ko manzil tak pohchanta hai


Edited by sonali.19281 - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

49

Views

17.4k

Users

9

Likes

137

Frequent Posters

koolsadhu1000 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#2
Excellent ...but can the font be bigger and in italics plzz ...especially the gems
Edited by koolsadhu1000 - 13 years ago
sonali.19281 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#3

Originally posted by: koolsadhu1000

Excellent ...but can the font be bigger and in italics plzz ...especially the gems


my stupid browser is acting up... lemme try for the Nth time😆.. every time I IMPORT from word it does this...

P.S it should be better now.. lemme know if you want it bigger😆
Edited by sonali.19281 - 13 years ago
intruderfast thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
#4
arre wah shivani , what a nice thread, gr8 work , i will contribute whenever i come across something inspirational😊
mbloves thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5
"hats off" sonali,amol, kool, intruder...👏👏

" RAASTA WAHI SAHI JO, KAAMYAABI KI TARAF LE KAR

JAAYE"...

" 23 SAAL PEHLE MANGROL SE EK RUPIYA LE KAR AAYA

THA MUMBAI MAIN"...

" DUNIYA KI SACHHAI JAB DIL SAMJHTA, TAB TAK DER HO

CHUKI HOTI HAI" ...

IMV...UNPREDICTABLE ...AWESOME.

IT'S TRULY A MASTER PIECE ...WT...NICE

DIALOGUES..."SIRJI".

I....INTELLIGENT... IDEAL...

M.... MYSTERIOUS ...MAGNIFICENT ...

V....VERSATILE ... VISION...
Lil_Mz_Sunshine thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#6
(@ TM)very nice post👍🏼

insan zindagi mein kitne dher tak chalta raha . uski koi ahmiyat nahi hai

usne kitni unchayi hasil kii.. uski ahmiyat hai.


Edited by R3b3l_Pr1nc3s5 - 13 years ago
khamosshhh thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#7
Thanxs Sonali😛 I was so waiting for dis post nd I too would like to second ur request to mods to make dis post a sticky.
It's difficult 2 pick out d kohinoor frm all d gems😉...but my personal fav is
Bhooke pet bahut inqilaab utthe hai...
Coz of d whole scene.. Here he was hving breakfast all alone as every1 was, 4 watever reasons so involved wid S as she had taken d bullet. Den D confronting him indignantly nd he calmly telling her he would take her path to justice, only if she was ready to face d consequences...nd den this line...was too cheeky.😆
Edited by sssshhh - 13 years ago
Lil_Mz_Sunshine thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#8

Originally posted by: ssshhh

Thanxs Sonali😛 I was so waiting for dis post nd I too would like to second ur request to mods to make dis post a sticky.

It's difficult 2 pick out d kohinoor frm all d gems😉...but my personal fav is
Bhooke pet bahut inqilaab utthe hai...
Coz of d whole scene.. Here he was hving breakfast all alone as every1 was, 4 watever reasons so involved wid S as she had taken d bullet. Den D confronting him indignantly nd he calmly telling her he would take her path to justice, only if she was ready to face d consequences...nd den this line...was too cheeky.😆



what is inqilaab😆
khamosshhh thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#9
Inqilaab means revolution. Sentence means empty stomachs (hunger) give rise 2 revolutions!
BTW wat is phalsafey?😕 Does it mean consequences?
PS: Sonali u'll also need a hindi 2 english dictionary for IMV's gems as well as english translations too.😆
Edited by sssshhh - 13 years ago
intruderfast thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
#10
some more
jab faulad ke do tukde paas aate hain tab woh judke yaa toh pull banaate hain yaa takraakar aag paida karte hain

dil ke faisle tabhi sahi hote hain jab dono insaan dil se soche lekin dimaag ke faise tab bhi sahi ho sakte hain jab ek insaan bhi dimag se soche

Edited by intruderfast - 13 years ago
Top