"Spardha samapt ho gayi hai Angraaj, Suryast ho gaya hai. Lagta hai Suryadev ki aap par kripa hai. Issiliye aapka samman rakh liya Suryadev ne!"
"Ek chuha bhi apne daaton se bandhan kaat deta hai, usse woh upyogi banta hai, Yogya nahi."
"Sheetalta hamesha raag mein ho, yeh avashyak nahi. Kabhi kabhi sunne wale ki mann ki sthithi aisi hoti hai"
"Jab aapke asu sukh ke hote hai na Mata, toh humein ganga snan karwate hai, aur jab dukh ke hote hai na, toh humein agnisnan karwate hai Mata."
"Hum shram se prapt karte hai,aur prem se tyag karte hai.! Daan naa hi lete hai aur naa hi dete hai."
"Pratyek Stri Mata Durga ka roop hoti hai, jo stri ka Aadar nahi karta, woh Saamarthya nahi."
"DhanorVidya seekhi, isliye Uttam hoon, Shreshth banne ki koi Mahatwakanksha nahi hai mujhme."
"Ved kehte hai, ki bhagwan indra jitne balwan keval ek hi devta hai, agni devta. Aj main agnidevta ka aradhana karke apne pita ka prem prapt karunga.Aur yadi unka prem prapt nahi kar paya toh mrityu ko prapt kar lunga. "
"Aapka vaas toh har disha main hai bhagwan Indra, aissi kaun si disha hai jaha teer chalakar main aapko prasanna kar saku?
"CHEDI YUVRAJ! Yadi aapko hamare Rajsuyi yagya se koi virodh hai toh apne nagar laut jaiye, aur hamari sena ki pratiksha kijiye.
"Mera Bhai Bhagwaan Ram ki Padukaaon ki tarah pavitra hai! Main usey tumhare mastak par bithaunga Bhrata Duryodhan."
"Avashya denge anumati... Angraaj Karna ne toh apni aatma tak bech di hai aapko! Samraat Yudhishtir ki orr se main daaon par lagta hoon."
"Sweekar kijiye Angraaj Karn. Yadi aapka aadesh ho toh main Swarg ke pratyek Devtaon ko bandi banakar aapke liye ek ek aise hi Dhanush banwa leta hoon."
"Yeh mat bhulo Duryodhan ki Shivling mein Bhagwan ka vaas hota hai, parantu uss pe bhi jab pathhar mara jay tabh usse Agni ki Chingariya nikalti hai. Bhasm kar dunga main tumhe!"
"Rakht ki Dhaarayein bahengi, Kate Mastako ka ambaar lagega, Shiv ka Rudra Tandav hoga
"Nahi thaka nahi hoon. Kintu jiske saamne swayam Bhagwan shiv khara ho, woh kis prakar jeet sakta hai? Guru Dron ke shishya ke saamne koi vanvasi itne der tak khara rahe, yeh sambhav nahi."
"Jiske paas yogyata hoti hai,woh divyata ko turant hi jaan leta hai.Vastav mein jo dusre ki mahanta ko jan leta hai wahi yogya hota hai."
"Tumne Draupadi ko sparsh karne ka dusshasahas bhi kaise kiya Sindhuraj jayadrath
"Aur jab Arjun deewar bankar khara hota hai, toh swayam Pavan devta bhi paar nahi kar sakte! Tum toh keval ek manushya ho!"
"Rajkumar, jeevan mein nritya toh sangdharsh aur shanti dono hi samay mein avashyak hai. Smaran rahe yadi natraj ka soumya tandav jeevan hai, toh raudra tandav mrityu."
'Samarth naa hi vesh mein hota hai aur naa hi naam mein. Saamarthya hota hai mastak mein."
"Aaj apko ranbhoomi ke nyay ka parichay dunga main."
"Adhikar toh sampatti par hota hai Madhav. Prem gyan aur satya yeh swayam manushya par adhikar pate hai . Yahan toh prem gyan aur satya teeno hai. Aap toh swayam dharm hai. Main aapko chun nahi sakta. "
"Angraaj karn ke jeevan ka ek hi lakshya raha hain madhav meri mrityu parantu who iss jeevan mein poorn nahin hoga"
"Angraaj karn ne apni Dhanorvidhya ka pradarashan karna shuru kar diya hain..Madhav raath unki ore le chaliye unhe pranipaat karne ka samay ho gaya hain"
"Angraj Karna Gadha Yuddh kar lete kam se kam Parajit hone par aapko lajja ka anubhav nahi hota."
"Mujhe toh vismaran ho chuka Angraaj parantu lagta hain aapko mere us roop ka smaran nahi hua hain."
"Prahaar kijiya Angraaj , kiski pratishka kar rahe hain mrityu ki?
"Prayas karlijiye Angraaj, Shresht banne ka prayas karlijiye ,
"Agar tumhari hateli hi nhi hogi putra,to mere ashru kis prakar rukenge? Kis prakar rukenge mere ashru?"
"Parantu ab samay kshama ka nhi hai,ab samay dand ka hai! Mere putra ki mrityu ka dand!!! Jaydrath ka bhavishya uski chita hai. Ye pran hai soorveer Abhimanyu ke pita ka. Pran hai ye!"
"Yudh krne nhi aya hoon. Dand dene aya hoon. Dekh lo mera Raudra-Roop!"
"Dharm-adharm ki baatein aaj aapko shobha nhi deti, Gurudev! Aaj apne adharm ki saari maryadayen laangh di hai. Jhoond me to bheriye shikaar krte hai Gurudev. Aaj apne mujhe lajjit kiya hai. Aaj... aaj mere dharm-adharm me koi antar nhi."
"Arjun ki mrityu ho gyi hai ranbhoomi me!
"Nhi jesht bharta... Isne mere putra ka vadh kiya hai. Mai ise kshama nhi kar sakta."
"Jaydrath... Maine tumhe kshama kiya tha. Maine hi rokha tha bhrata Bheem ko tumhara vadh krne se. Meri is bhool ka keval ek hi prayaschit hai; ki mai tumhara vadh kar doon! Anyatha swayam apne praan tyaag doon."
"Kal suryast ke samay is ranbhoomi me do chitaye jalengi. Ek chita par baithkar mera putra Abhimanyu swarg ki or prasthan karega. Aur dusri chita mai tumhare liya jalaunga. Anyatha tum mere liye jalaoge. Ye sankalp hai mera."
"Mere path se hat jaiye Gurudev. Aaj mere pratisodh ke path par jo bhi ayega,mai use bhasm kar dunga."
"Mere putre ke ghav, uski peeda aaj mere teero me hai. Aaj mere teer swayam Abhimanyu hai. Aaj mera putra akela nhi,uska pita uske sath hai. Hat jaiye Gurudevvv !!!"
"Arjun nhi Angraaj, veer Abhimanyu ka pita kho! Aur ek pita ke pratisodh ki agni se tum swayam ka rakshan nhi kar paoge. "
"Dwandh yodhayon se kiya jata hai. Apradhiyon ko keval dand diya jata hai."
"Rajkumar Duryodhan, aaj mai aapko dhanurvidya ka sikhshan dunga!"
"Ek yoddha ke liye Parajay hi uski Mrityu hoti hain Madhav aur kal meri Parajay NAHI hogi.."
comment:
p_commentcount