9th July 2018
Aaj bhi yaad hai mujhe aaj ka din jab aaj se 5 saal pehle mere saath kuchh aisa hua tha jisne meri zindagi badal di thi...haalaki us din ki subah bhi har subah jaisi hi thi...lekin us din bhi mera birthday tha...jaise aaj bhi hai. Main MBBS ke second year mein thi aur mujhe us din ki har baat bahut achhi tarah se yaad hai...main har saal ki tarah jaldi uthi thi...mere Baba aur Dadi Bua ne mujhe sab se pehle wish kiya tha...maine unka ashirwaad liya tha aur har saal ki tarah Dadi bua ne mere liye mera favourite sooji halwa banaya tha. Wo humesha kehti thi ki ache din ki shuruaat kuchh meethe se honi chahiye.
Main bahut jaldi mein thi kyunki aaj mujhe college jaldi pahunchna tha aur usse pehle mandir bhi jaana tha. Dadi Bua ne kaha ki Panditji ne mere paida hone ke din kaha tha ki jis din main 18 saal ki ho jaaungi us din meri mulakat mere hone waale jeevan saathi se hogi. Main in baton par vishwas nahi karti thi lekin Dadi bua mujhe humesha kehti thi ki Panditji ki kahi har baat sach hui hai...kahin na kahin mere dil mein ek ajeeb sa ehsaas tha...ajeeb si bechaini...jaane aisa kya hone wala tha...jaane kya aaj bhi Panditji ki kahi hui baat sach ho sakti hai?
Main us din auto se mandir gayi thi kyunki us din raat se baarish ho rahi thi...jab main ghar se nikli tab bhi halki halki baarish ho hi rahi thi. Main pehle mandir gayi aur wahan se main college ke liye auto ka intezar kar rahi thi lekin koi auto tha hi nahi...achanak se baarish bahut tez ho gayi aur mujhe laga jaise main aaj college nahi pahunch paaungi. Tabhi kahin se mujhe ek auto aata hua dikha aur maine use rukne ke liye aawaz di...traffic bahut zyada tha aur mujhe doosri taraf hi jaana tha...isliye main bhaag kar road cross karne lagi. Lekin jaise hi main road cross kar rahi thi achanak se ek gaadi wahan se tezi se nikli aur mere saare kapde gande ho gaye.
Mujhe us waqt itna gussa aaya tha ki kya bataaun aur main zor se chillayi thi...dekh kar gaadi nahi chala sakta kya? Kuchh door jaakar wo gaadi ruk gayi aur main uski taraf daudi...us gaadi wale se jhagda karne ke liye. Maine bahut baar us gaadi waale ko baahar aane ko kaha to thodi der baad us gaadi ka darwaza khula aur usme se koi bahar aaya jisne kaala chashma pehna tha aur wo apni chhatri kholne ki koshish kar raha tha lekin uski chhatri jaise jam ho gayi thi. Mujhe andar se itni khushi mehsoos hui ki wo bhi baarish mein bheeg gaya jaise usne mere saath kiya tha. Maine usse bola "achha hua ki aap bhi bheeg gaye...jaise aapne mere saare kapde kharab kar diye...aap gaadi dekh kar nahi chala sakte kya?
Wo meri baat sun kar gusse se bhar gaya aur usne apna chashma utaara... "mujhe gaadi chalani aati hai ya nahi lekin ek baat to pakki hai...ki tumhe road cross karna nahi aata...aise koi karta hai kya? Marne ke liye tumhe meri hi gaadi mili thi kya? Aaj ka saara din kharab kar diya...itne zaroori kaam se jaa raha tha aur... usne kaha lekin main kahan chup rehne wali thi? Maine use beech mein hi rok diya aur main uspar chilla kar boli... mare mere dushman...aaj mera birthday hai...aaj ke din koi marne ki kyun sochega? Koi aap ke jaisa paagal hi aisa soch sakta hai. Wo meri taraf aise dekhne laga jaise use mere upar taras aa gaya ho...jaise unhe apni galti ka ehsaas ho gaya ho. Hello...aise kya dekh rahe ho...main koi bechaari nahi hu? maine poocha. Usne kuchh sochne ke baad kaha " sorry...aaj tumhara birthday hai...mujhe kaise pata hota...lekin ab jo mujhe pata hai to sab se pehle Happy Birthday and I'm sorry.
"Aap ke mujhe sorry bolne se kya mere kapde saaf ho jayenge? aaj mera college time pe pahunchna bahut zaroori tha...aaj mere college mein debate competition hai aur main usme part le rahi hu...aur yahan main aap ke saath debate mein apna time waste kar rahi hu... maine naraz hote huye kaha. Par unhone bahut aaram se kaha " aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai...aap kahen to main aapko aapke ghar chhod du...aap apne kapde change karke college jaa sakti hain... "Lekin mujhe to der ho jayegi na...ab main kya karun? meri pareshani badti jaa rahi thi lekin unhone mujhse kaha ki "aap chaliye to sahi...dekhna aap ke pahunchne se pehle competition shuru nahi hoga...aap change kar lena...uske baad main aapko college bhi chhod dunga...ab to theek hai...dekhiye waise bhi yahan koi auto nahi hai...aapko der ho rahi hai aur main bura insaan nahi hu...aap mujhpar bharosa kar sakti hain.
Unki baat ne jaise mere saare gusse ko kahin door chhod diya aur main unke saath chalne ko tayyar ho gayi par jaise hi main baithne lagi ...mujhe ehsaas hua ki mere baithne se seat kharab ho jayegi...mere kapde to gande the. Unhone meri is uljhan ko samajh liya aur bole...aap chinta mat karo...main wash kara lunga...ab jaldi se baitho...der ho rahi hai na... aur main andar baith gayi. Mujhe yaad aaya ki mere paas mandir ka prasaad hai. ...maine apne bag se nikala aur unhe thoda sa diya leki unhone lene se mana kar diya. "Prasad lene se mana nahi karte...thoda sa le lijiye... maine unse kaha par unhone jo jawab diya usse mujhe ehsaas hua ki unke dil mein bahut se dard chhupe huye hain. Wo bole ki " main kabhi Prasad nahi leta aur na hi kabhi mandir jaata hu kyunki unhone mujhse mera sab kuchh chheen liya...meri unse lambe samay se ladai hai.
Mujhe laga jaise maine unki koi purani dard bhari yaad ko taaza kar diya ho lekin fir bhi...koi Prasad ke liye is tarah se mana kaise kar sakta hai? Yeh baat mujhe samajh nahi aa rahi thi... Insaanon se jhagda kam tha jo Bhagwan se bhi jhagda karte hain aap? Dekhiye aaj mera birthday hai...mere haath se prasad lenge to aap ke saare dukh dard khatam ho jayenge maine unse kaha aur unhone kuchh der socha aur uske baad unhone thoda sa prasaad le liya. Mujhe aisa laga jaise maine koi jung fatah kar li ho...unhone mujhe jaldi se ghar pahuncha diya aur main kapde badalne andar chali gayi. Dadi Bua ne poocha ki main wapas kaise aa gayi to maine sirf itna jawab diya ki main sab kuchh shaam ko aakar bataaungi...abhi mujhe bahut der ho rahi hai.
Maine kapde badle aur main unke saath apne college chali gayi...unhone mujhe college chhod diya aur main bas andar daud gayi...unhe theek se thank you bhi nahi bola. Wahan tab tak competition start hi nahi hua tha...maine apni friends se poocha to unhone bataya ki competition ke judge pahunche hi nahi ...isliye abhi tak competition start nahi hua. Maine Bhagwan ji ko us din kitni baar thanks kiya...mujhe khud bhi yaad nahi...hhh...lekin bahut jald mujhe ek aur shock milega...mujhe kahan pata tha? Jab announcement hui ki ab competition shuru hone hi wala hai aur judge pahunch gaye hain to hum sab apni seats pe jaakar baith gaye...aur jab maine judge ki seat par unhe dekha jinhone mujhe college chhoda tha...to mere dil ki dhadkan jaise ruk gayi thi...yeh humare aaj ke competition ke judge hain? Aur main inse hi lad rahi thi...aaj to main gayi...maine socha aur mujhe vishwas ho gaya ki aaj ka competition to mere haath se gaya. Tab mujhe samajh aaya ki kyun unhone mujhse mere college ka naam to poocha hi nahi...kyun ki jab maine unse kaha ki aaj mera debate competition hai to wo samajh gaye the ki main is college mein padti hu.
Competition shuru hua aur jab meri baari aayi to mere dhadkane Rajdhani express se bhi zyada tez daud rahi thi...maine Bhagwan ka naam liya aur jaise taise apna point of view audience ke saamne rakh diya. Sab ne bahut taaliyan bajayi lekin mujhe award kahan milega jab judge yeh hain to...kya jayega inka agar yeh mujhe aur kuchh nahi to third prize hi de denge to...yeh soch kar main udaas thi...lekin ab jo ho gaya so ho gaya...ab kya kiya jaa sakta hai? Main competition ke khatam hone ka intezaar karne lagi taaki main ghar jaaun aur shaam ko apne ghar walon ke saath apna birthday celebrate kar saku.
Thodi der baad results announce huye aur jab third aur second positions mere haath se nikal gaye to maine saari ummeed chhod di...lekin mujhe hairani tab hui jab first prize ke liye mera naam announce hua...main samajh hi nahi payi ki yeh kaise ho gaya...mujhe vishwas nahi hua...mujhe laga jaise main koi sapna dekh rahi hu. Mere friends ne mujhe zor se hilakar kaha ki main jaa kyun nahi rahi...do baar mujhe bulaya ja chuka hai ...tab mujhe vishwas hua ki yeh sach hai. Main dheere se uthi aur stage ki taraf jaane lagi...jaise jaise main aage bad rahi thi...mere dil ki dhadkane bhi bad rahi thi aur main nazrein jhukaye unki taraf bad rahi thi. Unhone mujhe mera award diya aur dheere se mujhse kaha ki "Happy birthday once again...lekin yeh award tumhe isliye nahi mila kyun ki aaj tumhara birthday hai...balki isliye mila hai kyun ki is award par tumhara adhikar hai."
Main kuchh der tak unki taraf dekhti reh gayi...maine unhe thanks kaha aur stage se utar gayi... uske baad competition khatam ho gaya aur wo humare college se chale gaye...mujhe apne competition ke guest list se pata chala ki unka naam Dr Ashutosh Mathur hai...mujhe laga ki main unse fir kabhi nahi mil paaungi...par main ek baar unse zaroor milna chahti thi...jaise kuchh baat thi jo adhoori reh gayi ho...lekin kehte hain na...hota wahi hai jo likha hota hai...Panditji ki kahi hui baat sach nikli...aur teen saal baad jab main internship ke liye KGH mein gayi ...to wahan bhi us hospital ke dean Dr Ashutosh hi the. Aaj hum dono saath hain...jaane kaise unhone mere dil mein apne liye ek aisi jagah bana li jo main kisi aur ko nahi de sakti thi...bahut mushkilon ke baad hum dono ek atoot rishte mein bandh gaye jise duniya ki koi taakat nahi tod sakti. Wo din main kabhi nahi bhool sakti ...us din main apni zindagi se mili thi.
Nidhi ko doorbell sunai di aur wo diary band karke darwaza kholne chali gayi...aakhir use pata tha ki Dr Ashutosh...uske husband ke aane ka samay jo ho gaya tha. Unhone poocha..humari jaan kya kar rahi thi? to Nidhi ne jawab diya ki "apni zindagi ke sab se important din ko yaad kar rahi thi jab mujhe aap mile the. Un dono ne wo sham ek saath bitaai...jaisa ki unhone apni shaadi ki pehli raat ko ek doosre se vaada kiya tha.
comment:
p_commentcount