May 2nd
Part 1
Uday (cryingππ...): itna sab kuch ho gaya....
Krishna (udas hokar π³) : Tumhare jaane ke bad kya nahin hua is ghar me. Jaise badnasibi ne hamare ghar me apni jagah hi bana li ho. Ab kahan se shuru karu Uday...
Uday (shocked) π²: shuru se matlab. Aur bhi kuch hua hai. krishna muje sab kuch sach sach batao.
Krishna : Thik hai to suno. Tumhare jane ke bad Main abhay ke bachche ki maa ban ne wali thi lekin ghar ke sabhi sadasyon ne mujhpe shak kiya.... yeh tak kaha ki yeh bachcha abhay ka nahi hai balki kisi ke paap ki nishani hai...Kisi ne bhi meri baaton ka vishwas nahi kiya... tabhi yuvraj ne mujpe bharosha karke meri marji ke khilaf mujse shaadi ki kyunki Papa aisa chahte the. Aur Yuvraj ne duniya ko mere bachche ko apna naam diya. Bad main muje pata chala ki Yuvraj ne sirf mere 50% raichand ke shares ko pane ke liye mujhse shaadi ki . jo usne MD banke liye the.Per bad me use ehsaas hua ki main aur yeh bachcha uski jimedari hai. Aur woh mere bachche se bahot pyaar karta tha. aur pata hi nahin chala ki kab use mujse pyaar ho gaya aur woh hamare liye sabkuch chodne ko taiyaar ho gaya aur maine bhi use maf kar diya kyunki usko mere bachche se pyaar tha. Ek din hume pata chala ki Tarabhabhi ko blood cancer hai per tak tak bhabhi last stage me thi aur iska ek hi ilaaj tha to bone marrow transplant. Aur usi operation me humne hamara bachcha aur tarabhabhi ko kho diya. Aur ek aur baat Kabir ki bhi uski marji ke khilaf Tanya se shaadi ho gayi. yeh jante huye ki tanya kabir ko dhoka de rahi hai ki woh pregnant nahin hai. Aur kuch hi din pehle Yuvraj bhi maut ke muh se bach ke aaya hai. Pata nahin ab kaun sa naya toofan hamare ghar ki aur aanewala hai.
Uday : itna sab kuch ho gaya mere jane ke bad. Ab bhi yakin nahin hota. Krishna papa kahaan hai.
Krishna : papa ki tabiyat thik nahi rehti thi ... doctors ne recommend kiya ki papa ko out of station le jaaya jaye... aur aajkal papa Shalaya ke saath hai aur papa ko is bare main kuch pata nahin.
Uday : Muje kuch zaroori kam yaad aa gaya main chalta hoon.
Arjun office me bethkar soch raha hai.
Arjun (apne aap se ): Kahan ho sakta hai yeh Abhay. Aur kaun hai jo uski madad kar raha hai. Kahin woh doctor to nahi. Per woh aisa kyun karengi. Muje bina samay barbad kiye ek bar us doctor ke ghar ki talashi le leni chihiye. Per uska ghar hoga kahan. haa, main aisa karta hoon ki hospital se uska pata poochta hoon. per kaise.
Part-2
Niyati Abhay ke kamre me aati hai aur Abhay khidki se bahar dekh raha hai.
Niyati : Kya dekh rahe ho.
Abhay: woh kuch nahin. Bahar ki duniya dekh raha hoon ki ek hi pal me kitni badal jati hai.
Niyati: subaah maine dekha to tum so rahe the is liye main akeli hi market chali gayi. Tumhare liye kuch kapde layi hoon. Hopefully tumhe pasand aaye.
Abhay π: Thanks a lot. Main woh tumhe kehne hi wala tha.
Niyati: ab tum jaldi se taiyaar ho jao main lunch taiyaar karti hoon.
Uday office me aakar receptionist se yash ke bare me pochta hai aur woh use batati hai ki sab log Meeting room me hai. Uday meeting room me jata hai to wahaan per Yash, Yuvraj aur Kabir naye project ke bare me discussion kar rahe hai.
Uday( yash ke pass jakar) : Yashbhaiyaa, aaj maine apne aap hi apno se khud ko dur kar diya. Muje maf kar dijiye. jab mere pariwaar ko meri sabse zyada zaroorat thi tab main nahin tha. Krishna ne muje sab kuch bata diya hai
Yash : kya, uday. kabhi ek bhai dusre bhai se naraz ho sakta hai aur tumne to woh kiya hai jo hum kabhi soch bhi nahin sakte the ki abhay ka khoon hua tha.
Yuvraj : Yashbhai, bilkul thik keh rahe hai. apno se kaisi shikayat Uday... tum toh hamare apne ho
Uday : Yuvraj, aaj Krishna ne bataya ki kis tarah tumne in musibat ke samay me sabko sambhala. maine hamesha tumhe khudgarz samja... per aaj lagta hai ki tum wake me badal gaye ho. Ab aap log akele nahin hai main bhi aap ke saath hoon is Raichand empire ko bachane me.
Yuvraj π: filhal to hum sablog is naye project pe kam kar rahe hai aur main chahta hoon ki tum personaly is pe dhyan do kyunki tumhe iski knowledge hai aur humne kafi paise bhi lagaye hai.
Uday : thik hai main pehle is file ko padh leta hoon bad me aap logo ko meeting mei join karta hoon
Uday apne office me jakar Ananya ko phone lagata hai.
Uday : hi! Ananya, kaisi ho tum?
Ananya: Uday tum...main thik hoon per tum kab aaye.
Part-3
Yash, Bua, Yuvraj, Krishna aur Aditya bahar sham ko garden me bethe baatein kar rahe the. Tabhi Tanya milli ko school se lati hai.
Mille (dauti huyi) : Choti maa, yeh dekho mera first prize. Aap ne thik kaha tha. I am best.
Krishna(very happy to see milli win prize) : Mille tum kapde badlkar fresh ho jao. Aur phir kitchen me aa jana. thik hai ab jao.
Yash : Thank you so much krishna. aaj jo bhi khushi mille ke chehre pe woh sab tumhare wajese. Aaj jis tarah se usne tumhe choti maa kaha aisa laga woh tumme tara ko dekh rahi hai.
Krishna chat pe aakash ki aur dekh rahi thi.
Yuvraj (krishna ke kandhe pe hath rakhkar ) π: kya dekh rahi ho.
Krishna (aanshu ponchti huyi):π kuch bhi to nahin.
Yuvraj (krishna ko apni aur karke) : Tum apne aap se jooth bol sakti ho lekin mujse nahin. Main tumhari aankhen padh sakta hoon aur yeh bhi ki tum kis soch main khoyi huyi thi. Hamare bachche ko dhundh rahi thi.
Krishna : main kaisi maa hoon jo in taaroin main apne hi bachche ko nahin pehchan sakti.
Yuvraj π€ : woh dekho krishna jo sabse choto lekin sabse chamkila tara hai wohi hamara bachcha hai. Aur tum buri maa kaise ho sakti ho jo dusare ki beti ko ek maa jaise pyaar karti ho.
Krishna π: Shayad maine tumhari baat man li hoti to shayad hamara bachcha woh tara naa hota. Ple yuvraj ho sake to muje maf kar dena. aur main vaada karti hoon ki aage se main tumhari har ek baat ko manungi.
Yuvraj : Krishna maine tumhe pehle bhi kahan tha aur ab bhi keh raho hoon usme tumhari koi galti thi hi nahin. Jo hua use bhagwan ki marji samjkar bhul jao. aur yaad rakhna agar tumhari zindagi me kabhi meri zaroorat huyi to main hamesha tumhare saath hoga chahe gum ho ya khushi. hum saath me bathkar zindagi jiyenge.
Krishna yuvraj ke gale π€ lag kar roti π hai aur yuvi use honshla de raha hai.
episode ends on Yuvraj and krishna on terrece .
Ple dont forget to write your favorite scene.
thanks
with help of softk 6
love kashish
comment:
p_commentcount