April 30th
Part 1
Daksh Kabir aur Aditya dono ko phone karke apne ghar pe bhulata hai.
Daksh : Maine case ki sari details dekh li hai. Jis tarah yeh case muje shulja hua lagta hai utna hai nahin. Yeh Raichand empire ko khatam karne ki koshish muje lagta hai kai dino se shuru ho gayi hai. Kyunki muje lagta hai ki jis tarah se tumhare ghar ke halat hai koi uska faida udha raha hai. Aur ghar ki baatein gharwalon ko aur karebi dost ya restedaron ko hoti hai.
Kabir (pareshan hokar ) : per main tumhari baat ko samja nahin. Koi ghar ka aisa kyun karega. Main nahin manta ki koi bhi mera bhai aisa kare.
Daksh : Tum Raichand family ke bete hone se soch rahe ho lekin ek bar ek lawyer ke nazare se dekho to tumhe har koi dhoshi dikhi dega chahe woh tumhara bhai hi kyun na ho. Tum aisa karo ki muje apne sare gharwale ki full details aur saath main Mr. arjun ki bhi.
Kabir : thik hai kal sham tak tumhe sari details mil jayengi.
Daksh (ghehri soch me ): kal sham tak nahin muje aaj sham tak chahiye taki main is case kal subaah se shuru kar saku.
Tabhi Aditya ke cell phone pe Sameera ka phone aata hai use lunch ka yaad dilane ke liye ki woh restaurant me uska intazaar kar rahi hai. aur woh use apne ghar pe aane ko kehti hai. Aditya Sameera ko milne ke liye nikalta hai aur Kabir bhi sari details ke liye niklata hai.
Sameera (aditya ko dekhkar) : hamesha ki tarah dair kar di tumne. Main yahaan tumhara pichle 1 ghante se intazaar kar rahi thi.
Aditya : I am sorry. woh Muje kuch zaroori kaam yaad aa gaya tha is liye. Ab main yahaan hoon to ab koi kam ki baat nahin.
Sameera waiter ko khane ka order deti hai.
Sameera kisi gehri soch me khoyi huyi hai.
Aditya : kahan kho gayi. tum kuch pareshan lag rahi ho. baat kya hai.
Sameera : Woh main kal niyati ko lekar tumhare ghar gayi thi aur pata nahin wahaan Abhaybhaiyaa ki tasvir dekhkar woh bahot pareshan thi. Pata nahin lekin use aisa laga ki woh kahin abhaybhaiyaa se mili hai. tum bhi chodo na yeh sab baatein. achcha to yeh batao ki Buaji ko main pasand to aayi naa.
Aditya (haste huye) 😛: bahot bas hum log papa ke aane ka intazaar kar rahe hai.
Sameera (sarmati huyi) 😳: sach.
Part 2
Arjun (phone pe) : kam ho gaya. Abhay ko maine jo jagah batai wahaan sambhal ke pahuncha diya.
Aadmi: saab, woh thodi si gadbad ho gayi. hum log nakamyab ho gaye. Abhay ko nikal ne me.
Arjun (gusse se ): tumse koi kam aaj tak thik terha se hua hai. meri hi galti thi jo maine tum ko phir se kam pe rakha. ab main khud hi jakar dekhta hoon.
Arjun gusse me hospital jane ke liye nikalta hai.
Arjun (kamre me aakar): yeh Abhay kahan gaya... Abhay ko kamre me nahi dekh kar Arjun aur bhi ghabra jata hai
Arjun : Nurse. woh mera beta Abhay kahan hai.
Nurse: unhe toh aajhi subaah discharge kar diya gaya hai.
Arjun(very frustrated) : aise kaise discharge kar diya.. muje dr. Niyati se baat karni hai.
Nurse: I am sorry per woh to apne ek hafte ke vacation ke liye nikal gayi hai
Arjun (apne aap se) : kuch na kuch to zaroor hai is doctor or patient ke bich. per main pata karke hi rahoonga. isse pehle ki abhay raichand house pahunche.
Mille sham ko school se pareshan aati hai aur apne kamre me chali jati hai.
Bua (mille ke kamre me jakar) : Mille bat kya hai beta.. tum itni udas kyon ho.. kisi ne tumse kuch kaha ya phir kisi se school me jagda hua.
Mille (gusse se) : nahin muje kal music compition me participate karna hai aur muje kuch nahin aata. aaj mama hoti to woh muje zaroor kuch na kuch shikhati aur woh dauti bahar garden me chali gayi.
Bua ( kitchen me jakar) : Krishna, mille roti huyi bahar chali gayi hai. tumhi ho jo use sambhal sakti ho.
Krishna(concerned) : per buaji baat kya hai.
Bua: woh uski school me music compition hai aur use kuch samaj nahin aata woh kya kare.
Krishna : aap chinta mat kijiye main jakar dekti hoon.
Krishna (mille ke pass jakar) : bua ne bataya ki hamari mille kal music compition me hissa lene wali hai. to aaj itni udas kyun ho.
Mille : kyunki main kal haar na nahin chahti. muje kuch bhi nahin aata.
Krishna : main tumhe yeh bashuri bajana sikha sakti hoon aur muje viswas hai ki kal tum hi first prize jitigi.
Krishna Milli ko bajana shikhati hai. Bashuri ki aawaz sunkar Bua, yash aur yuvraj ghar ke bahar garden mein aate hai. Sab log bahot hi khush dikhai dete hai mille aur krishna ko maa beti jaise dekhkar.
Mille( khushi se ) : krishna chachi, aaj mama hoti to kitni khush hoti naa.
millie krishna ko gale lagakar choti ma kehti hai.
Part 3
Niyati Abhay ko apne saath ghar lejati hai.
Niyati : Abhay, mera ghar tumhare ghar jaisa bada to nahin... lekin mujhe is baat ki khushi hogi agar tum isse apna hi ghar samjho aur surakshit mehsoos karo.
Niyati Abhay ko apna ghar dikhati hai use uska kamra dikhati hai.
Niyati : ab tum aaram karo, kafi raat ho gayi hai. aur haa agar raat ko kisi bhi chij ki zaroorat ho muje aawaz dena mera kamra samne hi hai. aur kal se mera ek hafte ki vacation hai taki main tumhari jaldi se treatment kar saku.
Abhay : thank u so much dr.niyati... Aap mere liye bahut kuch kar rahi hai... pata nahin main aapka yeh karz kaise chuka paoonga ya nahin.
Niyati: main sirf wahi kar rahi hoon jo mujhe sahi laga. Aur ek insaan doosre ensaan ke kam nahin aayega to duniya me insaniyat hi nahin rehengi.Kya ek doctor apne patient ke liye itna bhi nahi kar sakta hai
Niyati hasti huyi apne kamre me chali gayi.
Krishna apne kamre me sone ki taiyariyaan kar rahi thi tabhi Yuvraj kamre me aata hai.
Yuvraj ( Krishna ki aur dekhkar) : Krishna, tumne kabhi bataya nahin ki tum itni achchi basuri baja sakti ho. Aur tumne kab sikhi.
Krishna : Tumhe kya laga muje kuch nahin aata. bachpan me mere papa ne muje shikai thi aur woh bashuri bhi mere papa ki hai. Aaj tak kabhi uski zaroorat nahin padi per aaj mille ko dekhkar laga ki usse iski bahut zaroorat hai.
Yuvraj : Krishna, kya tum muje nahin shikhaugi.
Krishna (sharmati huyi) : competition millie ka hai tumhara nahin.
Yuvraj ( krishna ka hath pakad ke) : per phir bhi. ple
Krishna (yuvraj ki aur dekhke): Lagta hai aaj janab sone ke mood mein kam aur bashuri ki aawaz ke mood mei zyada hai...hhmmm soch ke bataoongi . ab tum please so jao...
Raat ko Krishna pani pine udhati hai.
Krishna (hath me khali glass lekar) : lagta hai yuvraj sara pani pi gaye.
Krishna kitchen me pani pi rahi thi tabhi usne bahar aawaz suni.
Krishna ne bahar jakar dekha to uday tha.
Uday krishna ko suhagan ke roop mein dekhkar ek dum chaunk gaya.
episode ends on uday's starteled face ,
thanks
with help of softk 6
love kashish
ple dont forget to choose your favorite scene for today.
comment:
p_commentcount