April 26th
Part 1
Arjun hospital me doctor se milne aata hai.
Arjun (pareshani se π) : doctor, ab Abhay kaisa hai? aapne bataya ki woh paralized ho gaya hai. Main uska elaj London jake karna chahta hoon.
Doctor π: dekhiye Mr. Arjun ab abhay ka elaj main nahin balke Dr. Niyati Sharma kar rahi hai. aur aap ko jo bhi request karni hai unse jakar kijiye. Dr. niyati apne cabin me hogi aap chahe to aap unse abhi baat kar sakte hai.
Arjun dr. niyati ke cabin me jata hai.
Arjun π: doctor, mera naam arjun hai aur main yahaan apne rishtedar Abhay Raichand ke bare me baat karne aaya hoon. main chahta hoon ki main uska elaj London jake karna chahta hoon. Kyunki main chahta hoon ki woh jaldi se thik ho jaye. aap samaj rahi hai na main kya keh raha hoon.
Dr. niyati : dekhiye. aap jo bhi hai. lekin ab aap yahaan se Abhay ko nahin leja sakte kyunki unhone khud yeh papers sign kiye hai ki woh meri treatment se thik hona chahte hai. meri patient ki marji ke khilaf main koi bhi faisa nahin leja sakti. I am sorry is mamle me main aapki koi madad nahin kar sakti.
Arjun (in frustration): Per doctor aap meri baat ko samaj kyun nahin rahe.
Dr. niyati (wondering why is he insisting so much... )
Dr. niyati : agar aap baar baar yahi request karte rahe to majboorn muje police
me shikayat karni padegi. aap yahaan se jaiye. mere pateints mera intazaar kar rahe honge.
Arjun (gusse se cabin ke bahar jakar ): Abhay ko to main is hospital se kya is duniya se bahar bhej doonga.
Yuvraj aur Krishna Aditya ke office se pehle lunch ke liye ek hotel me jate hai.
Yuvraj (Krishna ki aur dekhkar π) : Krishna, to tum lunch main kya logi.
Krishna (menu padh ke ) : Yuvraj , Muje yahaan per kuch bhi achcha nahin lagta. kahin aur chale.
Yuvraj (surprized) ; Krishna, tumhe to yeh restaurant bahot pasand hai.
Krishna : lekin, aaj muje kuch achha nahin lagta. Hum kahin aur chale.
Krishna aur yuvraj car me doosari hotel ki aur ja rahe hai tabhi
Krishna ( smiled at yuvi π) : yuvraj, ruko. muje pata hai muje kya khana hai. chalo mere saath.
Krishna yuvraj ko pani puri ki lari pe lejati hai.
Yuvraj ( shocked): tum thik to ho naa. pakka tum yahin khana chahti ho. agar tumhe khana hai to tum khao lekin main nahin.
Krishna : to thik hai. per haa muje yahin khana hai.
Krishna (yuvraj ki aur pani puri khati huyi)π : bahot hi achchi hai. tum pakka taste bhi nahin karna chahte.
Yuvraj π³: tum itna keh hi rahi ho to zara main taste kar leta hoon.
Yuvraj ( khane ke bad) : waise manna padega tumhari pasand ko. isse achcha lunch to ho hi nahin sakta.
krishna yuvraj ki aur dekh ke zor se hasne lagi π aur yuvraj use dekhte hi reh gaya.
Part 2
Yuvraj aur Krishna Aditya ki office me jakar bethte hai.
Aditya: Thik waqt pe aaye ho aap log. Mera dost Daksh Malhotra abhi aane hi wala hai. Woh ek detective hai aur Kabir aur mera dost hai... Kabir ne hi Daksh ko is case ke liye recommend kiya hai... aur woh hamari is case me kafi madad kar sakta hai.
Yuvraj : Shayad aap thik keh rahe hai. waise woh papers taiyaar hai jo sign karne ko hai.
Yuvraj sign karne hi wala tha ki kisi ne use rukne ko kaha piche mud ke dekha to wahi detective khada tha.
Daksh : kabhi bhi kisi pe andha vishwas mat rakho kyun na woh tumhara apna hi ho.
Yuvraj : per yeh mere bhai hai aur inpe me apne jitna hi vishwas karta hoon.
Daksh : kabhi kabhi jab apne dokha dete hai to sabse jyada chot lagti hai. aur us chot ke ghav mit jate hai lekin dard nahin.
Aditya: kya aap dono bhi shuru ho gaye. Yeh mera chhota bhai Yuvraj aur uski patni Krishna hai.
Krishna : thank you so much jo aap hamari is case me madad kar rahe hai.
Daksh : main yeh case ke liye nahin balke Aditya aur Kabir ki dosti ke liye kar raha hoon.
Aditya use case ki sari baatein batata hai aur kehta hai ki Krishna gawahi dene ko taiyaar hai.
Daksh (Krishna ki aur dekhkar) : Kafi himmat rakhti hai aap. per kya her mod pe aap isi tarah se khadi ho payegi.
Krishna : Jis tarah aap Aditya ki dosti ke liye yeh sab kar rahe hai (Yuvraj ki aur dekhkar βΊοΈ) waise hi main apne pyar ke liye kar rahi hoon.
Daksh : Thik hai aditya ab main chalta hoon. aur mere ghar pe is case ke details ke papers bhijwa dena. Jab tak yeh case nahin sulja leta tab tak muje chain nahin aayega.
Daksh : aap dono se milke khushi huyi. (jate jate krishna ki aur dekh ke) Dekhte hai ki aap kab tak apne pyar ka saath de sakti hai.
Aditya π: tum chinta mat karo. Woh waisa nahin hai balki halat ne use aisa kar diya hai. Bahot bharosa kar ta tha apne pyaar pe lekin woh use kisi paisewale ladke ke liye chodke chali gayi aur tab se yeh pyar, jazbaat mein vishwas nahin karta. Usse aisa lagta ha ki is duniya me sabhi kisi na kisi ko dokha hi de rahe hai. Ab use dekh lo woh khud ko bhi to dokha de raha hai. Andar se woh bilkul akela hai lekin agar aap usse pyar se baat karo to woh aap pe gussa ho jata hai.
Yuvraj : thik hai bhai, ab hum chalte hai. sham ko ghar pe milenge.
Part 3
Krishna aur yuvraj ghar ki aur ja rahe the tab achanak
Krishna π: yuvraj, kya tum muje Aditya ke apartment le ja sakte ho. Main sameera se milna chahti hoon. Main aaj sham ko sameera ko dinner ke liye invite karna chahti hoon taki is bahane sabhi gharwalon se uski mulakat bhi ho jayegi.
Yuvraj : tumhara khayal bura nahin hai.
Yuvraj aur Krishna Aditya ke ghar pe knock karte hai.
Sameera (darwaza kholke)π : Krishna aap log. aap log bahar kyun khade hai andar aaiye.
Yuvraj ( aditya aur sameera ki photo ki aur dekh ke)π : bahot hi khoobsurat tasvir hai.
Krishna : waise hum log aaj tumhe rat ko khane pe invite karne aaye hai taki buaji aur yash bhaiyaa se tum mil lo aur woh bhi tumse mil ke bahot khush hoge. to hum log tumhe sham ko ghar pe milte hai.
Arjun kisi ko phone karta hai.
Arjun : main chahta hoon ki abhay ko jitni jaldi ho sake hospital se bahar nikalne ka intazam karo. aur iss bar hoshiyaar rehna.is baar mein koi bevkufi nahin sunna chahta. samaj gaye naa tumhe kya karna hai.
Sham ko Sameera pehli bar saree pehne ke Raichand house aati hai. Sab log bahot hi khush the Sameera ko dekhkar
Aditya : Sameera, muje nahin pata tha ki tum saree me itni khoobsurat lagti ho.
Sameera : to waise me kya nahin lagti.
Aditya: nahin mera woh matlab nahin tha.
Krishna π: aap dono bhi. chale dinner taiyaar hai.
Sab log bahot hi khush dikhai de rahe the dinner karke.
Dinner ke bad Sameera apne ghar ja rahi tab
Aditya: Sameera, meri abhi kuch law ki books abhi wahan hai aur muje uski bahot zaroorat hai agar tumhe koi aitraaz na ho to kal subaah kya tum use yahaan drop kar sakti ho.
Sameera: thik hai.
Bua : aditya, hum sab ko sameera bahot pasand hai. ab bas Bhaiji ke aane ki dair hai.
episode ends on aditya's smily face π³.
comment:
p_commentcount