April 18th
Part 1
Yuvraj ( ankhen kholakar) : Krishna
Krishna π: Yuvraj, tum thik to ho naa, main abhi doctor ko bhulake lati hoon.
Yuvraj (krishna ka hath pakde) : Ruko, mere pass betho. Tum ro kyun rahi ho. Tumhe kya laga main tumhe itni aasani se chodke chala jaunga.π³
Krishna (krishna crying ππ :Sab log muje chodke chale gaye. vaada karo ki tum muje chodke kabhi nahin jaonge.
Yuvraj : Tumhara hath maine chodne ke liye nahin thama tha. Bhagwan ne bhi muje vapas bhej diya. Unhe bhi Yuvraj krishna ke bina adhoora laga.
Krishna: thik kaha tumne. koi bhi krishna se yuvraj ko nahin chin sakta.
Yuvraj : Krishna, agar muje sach me kuch ho jata to.
Krishna (yuvi ke hothon pe apna hath rakhkar π²) : Kabhi sapne me bhi aisa mat sochna. Kabhi socha hai tumhare bina mera kya hoga. Tum meri marji ke khilaf meri zindagi me aaye the. lekin ab main tumhe kabhi bhi apne se dur nahin jane doongi.
Yuvraj : kyun karti ho meri itni phikar?
Krishna : kyunki main tumse.....
Yuvraj: "kyunki main tumse " kya.... bolo kishna.... kya tum wahi kehna chahti ho jo mera dil sun na chahta hai
Krishna βΊοΈ : neeche dekhkar kunki woh yuvraj se aankh me aankh milake baat nahin kar sakti. woh kuch alag sa hi mehsoos kar rahi thi.
Krishna dheere dheere yuvraj ki aur dekti hai
Yuvraj ( Krishna ka jawab sun ne ko bekrar) : Kehdo krishna jo bhi tumhare dil mein hai....
Krishna(aankhon se aanshu behte huye π): pyaar karti hoon. bahot pyar karti hoon. aur tumhare bina nahin jee sakti.
Yuvraj(shocked π²and happyπ ) : kya kaha tumne?
Krishna (Yuvraj ka hath pakde huye π³): I love you so much
Yuvraj : main bhi tumse bahot pyar karta hoon. i love you, krishna. (yuvraj krishna ke aanshu ponchte huye)Aur ab yeh hospital se nikalte hi tum dekhna main tumhe kitni khushiyaan deta hoon. vaada karta hoon ki tumhare aankhon main kabhi bhi aansu nahin aayenge.
Krishna π: ab tum aaram karo main doctor se milke aati hoon.
Part 2
Yash, Kabir, Buaji aur Tanya sab log bahar waiting room me subaah hone ka intazaar kar rahe the. sab log bahot hi pareshaan π€ dikh rahe the sivay Tanya ke.
Tanya: Buaji, main papa ko phone kar ke aati hoon.
Buaji : thik hai, unhe kehna jitni jaldi ho sake yahan aa jaye, bhaiji bhi nahin hai so unki gairmajudagi me koi to hoga.
Tanya wahan se udakar thode dur jakar apne papa ko phone lagaya.
Arjun : hello, tanya kya baat hai? tumne itni raat ko phone kiya.
Tanya( ander hi andar bahot khush π‘): baat hi itni khushi ki hai, Papa, yuvraj ka accident ho gaya hai aur uski halat babhot hi kharab hai. lagta hai papa bhagwaan ne hamari sun li.
Arjun: tum chinta mat karo main jaldi se pahunchta hoon.
Krishna (waiting room me aakarπ): pareshan hone ki koi zaroorat nahin hai, Yuvraj ko hosh aa gaya hai. aap log unse mil sakte hai. sab log bahot hi khush huye yeh baat sun ke.π
Tanya (apne aap seπ): yeh bhagwaan bhi thodi khushiyaan nahin dekh sakte. Meri zindagi me khushiyaan dekhi nahin ki grahan laga diya.
Sab log Yuvraj ke kamre me khade the. Doctor yuvraj ka check up kar rahe the.
Doctor : Mrs. raichand muje to yakin hi nahin aata ki unhe itni jaldi hosh aa gaya. jo kam ke liye maine aapko dus khante diye woh aapne dus minute me kar diya.
Krishna: I am sorry doctor maine aapse bahot galat tarike si baat ki.
Doctor : Koi baat nahin. Akshar log apne gharwalon ko khatre me dekhkar aisa react karte hai.
Yuvraj : Thank you doctorπ
Doctor: Agar sukriya hi karna chahte hai to apni patni ka kijiye. Maine nahin balke krishna ke pyaar ne aapki jaan ko bachaya hai. aap bahot hi kismatwale hai jo aapko itni pyaar karne wali biwi mili
Krishna π³aur Yuvraj dono ek doosre ke samne dekh rahe hai.
Part 3
Krishna: Yashbhaiya, ab sab kuch thik hai. aap sab ko leke ghar jaiye. main yahaan Yuvraj ke saath rehti hoon.
Yash: Per krishna, agar tumhe kisi ki zaroorat huyi to.
Bua: Yash, Krishna bilkul tik keh rahi hai, aur waise bhi Milli ghar pe akeli hai. hum log subaah to aane hi wale hai.
Krishna: Buaji, bilkul thik keh rahi hai. Mujpe viswas rakhiye kuch nahin hoga.
Krishna Yuvraj ke kamre me dakhil huyi. Yuvraj bed pe so raha π₯±tha aur Krishna sofe pe jake beth gayi.
Krishna ( apne aap se yuvraj ko dekhte huye) : Yuvraj, muje kabhi pata nahin tha ki manzil mere itni kareeb hai aur dair hai so sirf mere aankh kholneki. Aaj zindagi me itni khuushi mili hai ki main tumhe bayaan nahin kar sakti. Vaada karti hoon Yuvraj main tumse tumhari patni hone ke sare farz nibhaungi.
aur krishna wahaan sofe pe so gayi π₯±.
Yuvraj ne apni aankhe kholi to dekha samne Krishna ko sofe pe soti huyi.
Yuvraj (apne aap se) : Soti huyi tum kitni masoom lag rahi ho. Aaj tumne jo khushi di hai woh sayad muje kabhi nahin mili. Aaj maut bhi aaye to bhi koi gam nahin hoga. Kyonki muje jo zindagi me chahiye tha woh muje mil gaya. muje to ab bhi yakeen nahin aata ki koi mujse pyaar kar sakta hai aur woh bhi krishna. jise aaj tak maine dukh aur dard ke siva kuch nahin diya. lekin aaj apne aap se aur tumse vaada karta hoon ki meri zindagi ka ek hi maksad hoga tumhari khushi tumhari muskurahat π.
episode ends wz smile on Yuvraj's face π
thanks
With help of softk_6
love
kashish
I also wrote a story, ple check it out.
Journey of love and its destiny
comment:
p_commentcount