April 17th
Part 1
Krishna operation theater ke bahar sab logo ka intazaar kar rahi thi. Tabhi Buaji, yash, kabir, tanya sab log hospital pahunche. Krishna daudti huyi Buaji ke gale lagkar rone lagi.
Yash : Krishna, hua kya hai yuvraj ko? aur yeh operation kyun?
Krishna chupchap khadi thi.
Bhu : Krishna, bhagwan ke liye kuch to batao. ke aakhir me baat kya hai?
Krishna : Hum log subaah jis warehouse me gaye the wahan kuch log drugs ki smuggling kar rahe the. aur wahan maramari me yuvraj ko kafi chaut aayi. aur doctor use operation ke liye le gaye hai.
Opreration khatam hua aur doctor bahar nikla ke krishna ke pass aaye.
Krishna: doctor, yuvraj thik to hai. kya main use mil sakti hoon.
Doctor: Mrs. Raichand , kuch bhi kehna mushkil hai, bahot hi khoon beh gaya hai aur woh koi bhi treatment ko response hi nahin kar rahe. Agar Mr. Yuvraj ko subaah tak hosh nahin aaya to woh coma me bhi ja sakte hai.
Krishna: yeh aap kya rahe hai. aapko mere pati ko kisi bhi hal me thik karna hi hoga. main aapke aage hath jodti. ple doctor use bacha lijiye.
Doctor: Main kuch nahin kar sakta ab to aap ki dua aur pyar hi unhe bacha sakta hai.
Krishna (gusse se ) : aapko doctor kisne banaya jab aap kisi ki jaan nahin bacha sakte. Aur aapko kis ne hakk diya aisa kehne ka ki koi umeed ki nahin ja sakti. aap ko use bachana hi hoga kisi bhi kimat pe.
Doctor: dekhiye Mrs. Raichand jitna ho sakta tha woh maine kiya ab aage subkuch bhagwan ke haath me hai.
sab log ekdam hi chok gaye.
Part 2
Krishna hospital ke mandir me bhagwan ke pass ro rahi thi.
Krishna : agar aap ne tai kar hi liya hai yuvraj ko apne pass bhulane ka. to mera faisa bhi sun lijiye. Yuvraj akela nahin aayega main bhi saath me aaungi. Aap ne mujse meri jine ki wajah pehle hi abhay aur mere bachche ke roop me chin li. aaj muje phir se jine ki tamanaa huyi hai to aap use bhi mujse chin rahe hai. main aapse apne yuvraj ki zindagi ki bhikh mangti hoon.
Bua : Krishna, aaj muje yakin ho gaya yuvi ki baat ka. Woh muje hamesha kehta tha ki main kabhi na kabhi krishna ke dil me apne aur apne pyar ki jagah banake rahoonga. Aur aaj me yuvi ke liye tumhari aankhon me woh pyaar dekh sakti hoon. main dekh sakti hoon ki tum yuvi se kitna pyar karti ho. to phir krishna aaj yuvi ko sabse jyada tumhare pyar ki zaroorat hai.
Krishna: per Bhuaji aisa kuch bhi nahin hai. aap to janti hai ki main sirf abhay se pyar karti hoon. to phir main kaise yuvraj se.
Bua : man liya ki tum yuvraj se pyaar nahin karti to phir aaj kyon uski taklif main tumhe sabse jyada dard ho raha hai. Aaj jis tadap se tumne yuvi ke liye doctor se baat ki woh tadap maine kabhi abhay ke liye nahin dekhi. Tum aaj tak abhay ke bina hi tumne apni zindagi gujari hai aur tumhe kabhi bhi uski kami mehsoos nahin huyi. Aaj yuvi ki jaan ko khatre me dekhkar tum apni jaan dene ko kyun taiyaar ho. Agar yeh tumhara yuvi ke liye pyaar nahin hai to kya hai. Koi kisi ke liye apni jaan dene ko taiyaar tab hota jab woh us insaan ko apne se bhi jyada pyaar karta ho. Yuvi ne hamesha tumhari madad ki hai jab tum musibat me thi to aaj yuvi ko tumhari zarorat hai. Aaj koi hai jo yuvi ko bacha sakta hai to woh tum ho sirf tum. Tumhara pyaar use jine ki wajah de sakta hai. Main tumhare aage hath jodti hoon. please mere yuvi ko bacha lo. Ho sake to apne pyar ka izhar karlo sayad use yuvi ki jaan aur tumhe tumhari khoyi huyi khushiyaan mil jaye.. Kyounki khushnashibi ek bar darwaje pe aati hai aur badnashii tab tak darwaja khat khakati jab tab woh andar na aa jaye. Yeh tumhe tai hota hai ki tum khusnashibi ko apnao ya badnashibi ko.
Bua krishna ko soch me dalkar chali gayi.
Part 3
Krishna Yuvraj ke kamre me aayi. Yuvraj bed pe behosh so raha tha. Krishna uske pass aakar bethi. Krishna ko sirf yuvraj ki woh baat yaad aa rahi ki jo baat usne hospital me aane se pehle ki ke woh use kitna pyar karta hai.
Krishna (yuvraj ka hath apne hath me lekar) : Pata hai Yuvraj aaj tak maine sirf zindagi me khoya hi hai. Bachpan me maine apne maa-baap ko kho diya. Phir maine Abhay ko yahaan tak maine hamare bachche ko bhi kho diya. Lekin aaj main tumhe khona nahin chahti. Maine aaj tak kabhi apne aap ko itna akela nahin paya yahaan tak ki Abhay muje chod ke chale gaye. Per aaj tumhe mujse juda hone ke ehsas se bhi darr lagta hai. Tumne hi mujse kaha tha ki hum apne liye nahin apno ke liye jite hai. To aaj main chahti hoon ki tum mere liye jiyo. Main jina chahti hoon tumhare saath, tumhare pyaar ke sahare. Jab bhi tumne muje kaha ki tum mujse pyar karte ho tab maine tum pe yakin nahin kiya lekin aaj muje ehsas hua ki tum mujse wake hi kitna pyaar karte. Aaj usi ehsaas se main tumhare jine ki wajah nahin balke tumhara pyaar banke jina chahti hoon tumhare saath. Haan, sach hai Yuvraj main tumse bahot bahot pyar karti hoon aur tumhare bina nahin reh sakti. I love you. . aur woh zor se rone lagi.
Thanks
love
kashish
ple post your comments.
comment:
p_commentcount