Posted:
hey guys sry 4 the incomplete ff but mujhe story ka flow samjh nahin aaraha tha but will sort it out asap!..n ur suggestions r open for tht ff...well im back wid my new ff on arjuhi...n dont worry i've written the 15 drafts of this ff in advance to avoid any problem...n im pretty sure you will like it...n yeah arjun punj lovers will like it alot as i've made that character very strong n powerful..well there is a little bit of exageration but plzz remember these are ekta kapoor's serial characters!!!..i will be posting d first part tomorrow inshallah..n for a sneak peek in the story let me tell you it starts from where ganga proves arjun innocent...the whole story is different from there ,i've picked up only tit bits from the original kitani mohabbat hai...n this story is what i wanted kitani mohabbat hai to be...so keep watching this space for the story!!!!! thanx for the lovely comments here is the first part!!! PART1:- wo jail ke andar aati hai aur uske saamne aakar bepanah khushi se kehti hai...mubarak ho arjun! aaj tum riha hone waale ho, teen saal baad tumhaari begunahi aakhir saabit ho hi gayi. arjun ke honton par ek kamzor si muskurahat aa thaharti hai. Ganga: yeh dekho main tumhaare liye kya layi hun!{ganga arjun ko uske kapde dikhaati hai} chalo yeh pehenlo aur phir hum chale ge}.{arjun nods his head aur woh jail ke bahar aakar ek chote se dressing room mein change karne chala jaata hai. kuch der baad arjun apne kapde pehen kar aata hai aur woh dono saath cebntral jail ke bahar aajate hain. arjun aaj teen saal baad aaj khulkar saans leraha tha, apne aas paas ke maahol ko mehsoos karaha tha jiska woh kabhi hissa hua karta tha aur ab woh apni is duniya mein waapas jaaraha tha {ek aansoo arjun ke aankhon se girta hai jise woh jaldi se ponchdeta hai} par is baar woh apni duniya khud banaane jaaraha tha!!... thats it for today i know it is very small but got sum work will post the next part today itself inshallah!! PART 2:- woh ganga ke taraf dekhta hai. ganga smiles at him and uske taraf apna haath badhati hai...Ganga:friends?!..arjun dheere se muskurata hai aur apna haath uske haath se miladeta hai. Arjun:Thanx ganga!..{ganga interrupts}..ganga:uhn arjun! friendship mein no sorry no thank you.samjhe?!{ ganga muskurate hue bolti hai to arjun bhi muskurakar apna sar hilaata hai}..ke tabhi usko apne pocket mein kuch cheez hone ka ehsaas hota hai. woh pocket mein haath daalta hai ke uske haathon mein 1000 rupees ke noton ki moti si gaddi haath mein aajati hai. unko dekhne se aisa maloom hota hai ke bahut waqt se rakhe hue hain kyunke woh notes sukad gaye the... arjun ko un nooton ko dekhkar ek dum yaad aata hai ke teen saal pehle dk punj se usne P&M mein kaam karne ke 12 lakh jo fees li thi uske bache hue paise the yehnnunhi paison se hi to usne arohi ki madad ki thi aur ab sirf yeh chand hazaar bach gaye the..woh waapas inhe apne pocket mein dal leta hai..Ganga:chalen arjun?...Arjun:kahaan?!{woh kuch perplexed hokar puchta hai}..Ganga:arre mere ghar aur kahaan..Arjun:nahin ganga tumhaara ek bahut bada ehsaan hai mujhpar ab aur ek ehsaan tale nahin dabna chahta main..!
comment:
p_commentcount