Sad version 1
Dil mai kaante chubokur
Usnai badli hain raahein.
Bewafa hogayee woh,
Dil se uthti hain aanhein.
Paas aake bhi mujhse,
Door woh hogaya hai.
Kaisai batlaon kisko,
Mera kya khogaya hai.
Dard kaisai ye sahoon
Oh oh oh oh,
Chup bhi kaisai mai rahoon,
Ye nahi baat zarasi.
Dil ye bezaar hua
Chaa gayee hai udaasi.
Thoda sa pyar hua hai,
Thoda hai baaqi.
Sad version 2
Dil mai kaante chubokur,
Usnai badli hain raahein.
Bewafa hogayee woh,
Dil se uthti hain aanhein.
Bikhre bikhre hain armaan,
Saare sapnay hain toote.
Kiya jispe bharosa,
Wohi dhaagai hain toote.
Dard kaisai ye sahoon,
Chup bhi kaisai mai rahoon.
Ye nahi baat zarasi.
Jisko apna kiya hai,
Woh hai hurjayee.
Thoda sa pyar hua tha,
Ab bhi hai baaqi
Sad version 3
Jaane kaisi hui hai
Mujhse aisi nadaani..
Meine bikhrali aapni..
Zindagi ki kahani.
Paas ake bhi mujhse..
Dur woh hogaya hai..
kaise batlaoon kisko..
Mera kiya kho gaya hai..
Dastaan dard bhari..
Maine chahat ko meri..
Apni haaton saza di..
Dil ye bezaar hua hai..
Cha gayi hai udasi..
Thoda sa pyar hua tha..
Thoda hai baaqi..
Sad version 4
Aina jhoot bole..
Main nahi maanta hoon..
Sach wohi jo dikta hai..
Bas wohi jaanta hoon..
Ek hul chul si jaane..
kyun rahe mere mann mein..
kuch samaj mein naa ayee..
kya karun hoon uljhun mein..
woh to badle har pal..
jaise mausam chanchal..
jo bhi jaisee bhi parayee..
dil use maine diya tha..
mile ruswayee..
thoda sa pyar hua tha
kuch nahi baaqi
Sad version 5
Bewafa tum nahi ho,
bewafa hum nahi hain.
Apnki kismat mai shayad,
ghum bhi kuch kum nahi hai.
Ek hulchul si jaane,
kyun rahe meray mann mai,
kuch sumuj mai naa ayai,
kya karun hoon uljhun mai.
Tum kharai iss kinare
Oh oh oh oh
Hum kharai uss kinare,
kaisi hai ye muchboori.
Mur ke jub bhi dekha hai,
aankh bhur ayee.
Thoda sa pyar hua tha,
Kuch nahi baaqi.
Sad Version 6
Zakhm itne mile hain,
hum ginai bhi to kaisai.
Dil ke tukre huai hain,
hum choonai bhi to kaisai.
Dard tazaab hi hai,
zakhm mera hara hai.
Jheel si unn aankhon mai,
zehur kitna bhada hai.
Booj gayai saare diye,
Oh oh oh oh,
apni palkon ke talai.
Saari umeedein piyaasi.
Jisko chahana hua hai,
Mera humraahi.
Maine to pyar kiya hai,
Tumne ki bewafayee
Sad version 7
Dil ka ghum dil hi jaane,
kya kahoon mai kisi sai.
Maine aansoon chupayai,
inn labon ki hasi sai.
Dil ne tau kuch chaha tha,
aur kuch hogaya hai.
Meri palkon ka sapna,
ub kahin khogaya hai.
Meri aankhon mai nami,
Ismai hogi naa kami,
chayee chehrai pe udaasi.
Jisse ikraar hua tha,
jhoota woh saathi.
Thoda sa pyar hua tha,
Kuch nahi baaqi
Sad version 8.
Ek uljhun mai hai ye,
dil ka sansaar mera.
Ek taraf dosti hai,
ek taraf pyar mera.
Kiss dagar jaaon jaane,
kuch sumuj mai naa ayai.
Meray dil ki bechaini,
aur burti hi jaaye.
Issai pehlai to kabhi,
Zindagi aisi naa thi.
Kaisai do raahai pe ayee.
Ek humsayaa mera,
Ek hai purchayee.
Thoda sa pyar hua tha,
thoda hai baaqi
Sad version 9
Jisme teri khushi hai,
woh ghadi mujhko piyari.
Mere dil ko ganwara,
ub to hur baat tumhari.
Gum woh chahai khushi ho,
saath mera rahaiga.
Chot tujhko lagai gi,
dard dil mai uthaiga.
Tu hase yuhin sadaa,
oh oh oh oh,
hai meri itni dua,
dosti maine nibhayee.
Yemere dil ne diya hai,
jo sazaa ayee.
Thoda sa pyaar hau hai
Thora hai baqi
Sad version 10
Jaane hur baar mereay,
saath kyun hojaata hai.
Mai jissai chahata hoon,
mujhse woh khojaata hai.
Ismai meri khata kya,
koi mujhko batayai.
Pyar karnai ki itni,
kyun saza dil ye payai.
Ek chuban dil mai uthi,
Oh oh oh oh
Uske honton pe husi,
Maine kismat kya payee.
Jispe aitebar kiya tha,
woh hai hurjayee.
Thoda sa pyar hua tha,
Kuch nahi baaqi.
Sad version 11
Tum nahi ho yahan pur,
tera ehsaas magar hai.
Dil ke deewarein sooni.
Kya tujhe iski khubur hai.
Koi aahat hoti hai,
yun lagai tum ayee ho.
Bhool kur saari baatein
saari khushiyan layee ho.
Jub mera toota bhurum.
Teri purchayee thi hum,
rehgayee hai tanhayee.
Yaad sau baar kiya hai,
tum nahi ayee.
Thoda sa pyar hua tha,
kuch nahi baaqi
Sad version 12
Dil jala hoon bohot mai,
saari duniye jaladun.
Uski raahon ki saari,
roshni mai bujhadun.
Mujhko chahai zamana,
aur ussai ye dil chahai.
Mujhko thukra ke kaisai,
chen sai woh rehpayai.
Mujhko tanhayee dasai
Oh oh oh oh,
mujhpe duniye ye hasai.
Pyar ki hai ruswayee.
Maine aitebar kiya hai,
naa raha baaqi.
Thoda sa pyar hua hai,
ab bhi hai baaqi
Sad version 13
Saath chora hai mera
Apni rahein badel kar
Jasako to tum jao
Mere dil se nikal kar
Uff nahi mein karonga
Sare aansoo pe longa
Mere bin tum jiyo gi
Tere bin mein jilonga
Bewafai ki dagar
Tumko raaz aai magar
Tune dedi tabahi
Wada jo tumne kiya tha
Nibha nahi payee
Thora sa pyaar hau tha
Kuch nahi baqi
Sad version 14
Jo hai hoton pe uske
Kya wohi uske dil mein
Kuch abhie who lagti hai
Kuch who hogaye pal mein
Rah mein chalte chalte
Who kahin bhi mur jaye
Ban gaye hai paheli
Ab uluj ti hi jaye
Dhoop ki tarha jale
Banke saya who jhale
Who samaj mein na aai
Apno ko yaar kiya tha
Chot hai khai
Thora sa pyaar hau tha
Kuh nahi baqi
comment:
p_commentcount