Pyari Gulab,
Meri pehli mulaqaat aapse mere thread mein hui thi. Chulbuli si, dosti ka haath baadhte, apni khush mizazi andaaz se cha gayi!
"Happy Vishu to you too! My parents woke me up at 4 am this morning to view the fruits- although, I can't complain because I got a nice, sweet mango to eat afterwards. "
Yehi tha inka paigam, parantu mujhse bahut badi bhool ho gayi, javab taal diya aur abhi tak pachtati hoon, ki, kaash diya hota, aaj hum bhi unke aziz doston ke layak kehlate.
Choti ke kahaniyon adbhut hi na the, dil ko chu jaane se kam bhi na the. Itna pyaar paana sabse, us par khara utarna inka bhayen haath ka khel tha, kyunki voh hai itni mehnati, qaabil, hoshiyaar ki sab inki taarif karne se thakte nahi, na hi khayal rakhne se ikraate hai.
Itna vyasta rehti hai, magar IF ke liye bhi samay nikal hai. Kissi ko shiqayat karne ka mauka nahi deti, sabhi se prem se baat karti hai, unhe budde hone ka ehsaas kabhi nahi hone deti. Asal mein yeh sabki nani hai - Likhne main hi sahi.
Dheere-dheere Gulab ke pakkundiyon se bhi sundar sabdon ko padhkar koi bhi magan ho jaata hai, toh hum kaise bach jaate? Kabhi himmat na ki, tippani dene ki. SJ ji ke PPP, Napster ji ke Navrasas, ya AKR ke CC par Choti ⭐️ thi.
Issi baat ka naaz hai ki desh ke naujavan videsh mein naam raushan karte hain, padhai- likhayi ke madhyam se hi sahi, garv mata-pita se zyaada doston ko hota hai! Abhi toh bas shuruaat hai, zindagi ki shuruaat hai.
Aise hi badhte rehna,
likhne ki vajah dhoondte rehna,
doston ko khayal rakhne ka mauka dete rehna,
Aur,
Gulaab, maafi ke haqdaar toh nahi hoon, par itna zaroor keh sakte hai ki Choti ka dil kabhi chota nahi ho sakta.
Janamdin ki badhayian, agle saal ke liye,
Zeffy
Edited by zeffy2k2 - 9 years ago
comment:
p_commentcount