Thankyou everyone for all your beautiful comments🤗So, now let's move to the next chapter.....
CHAPTER 5
INDORE,
JINDAL BHAVAN,
Bahus were arranging breakfast at the dining table when Arya comes and sits on the chair. She places napkin on her lap and adjusts herself.(Ab AJ ke saath rehti hai to AJ ne manners to sikhaye hi honge na😜😜).
Arya: Dadda! Aap ne kya banaya hai mere liye.
AJ: Ye lo ye tumhara favourite Aaloo ka paratha.
And serves her
Arya: Wow!! Ye sach me aapne banaya hai. It's my all time favorite. Isiliye I love you Dadda 😘.
AJ: I love you too, lekin ye khane ke baad aap ko doodh bhi peena padega.
Arya: Kya??😬 Dadda mai to sherni hoon na, to sherni doodh nahi peeti.
AJ: Achha , to phir sherni Aaloo ka paratha bhi nahi khati. To ye mujhe do aap ye nahi khaoge.
Arya: Nahi mujhe yahi khana hai. Thik hai mai is ke baad doodh bhi pee loongi. and starts eating her favourite food made by her favourite person.
AJ remembers how the same incident happened with Guddan. This may be the reason Arya is his favourite because sometimes she behaves like Guddan. He was in his own thoughts when his trance was broken by Arya.
Arya: Dadda! Doodh.
AJ: Ye lo.
Arya finishes her milk .
Arya: Thank you Dadda! Aaj ka breakfast na bohot achha tha , aap bhi jaldi se breakfast kar lijiye tab tak mai apne room me ja kar khelungi us ke baad phir ham donon saath me khelenge, thik hai na, ya phir kahin aap apna promise to nahi bhool gaye ?
AJ: Mai kuchh nahi bhoola, aap apne kamre me Jao mai aata hun.
Arya : Ok!
Dadi: Lalla tu Guddan ke bare me soch raha tha na.
AJ: Us ke bare me na sochun to aur kya karun. 6 saal ho gaye hai lekin use bhulane ki har koshish na kaam ho jati hai. Kabhi yaad na bhi karun to ye hamari Arya, poori Guddan pe gayi hai, hamesha usi ke tarah haste khelte rehti hai, hamesha uski yaad dila deti hai.
MUMBAI,
KAPOOR'S HOUSE,
AK was arranging breakfast on the dining table and calls Revati and Ahaan for breakfast.
Ahaan: Mumma! Aap ne aaj breakfast me kya banaya hai?
AK: Aap ka favourite breakfast,Chhole bhatore.
Ahaan: Wow! Mumma , you are the best.
Ahaan settles himself on the dining table and starts eating his breakfast.
Ahaan: Mumma! Aap ne ye bohot tasty banaya hai, hamesha ki tarah. I love you .
AK: I love you too. Breakfast ke baad aap ka chocolate flavoured milk ready hai aap wo bhi pee lena.
Ahaan: Ok Mumma! Aap ne is ke baad ka kuchh plan kiya hai ki hame kya karna hai.
AK: Pehle aap breakfast karlo us ke baad ham sochenge. Ok!
Ahaan finishes his breakfast and goes to his room.
AK was in her room and was thinking about her Indore shooting when Revati comes to her.
Revati: Kya hua di, kya soch rahi hain aap? Aap jab se ghar aayi hai tab se kisi soch me doobi hui hai, mujhe set se aap ke packup hone ke baad phone aa gaya tha lekin aap ne ghar aane me itni late kar di. Sab thik to hai na?
AK hugs her and cries her heart out .
Revati: Di! Sambhaliye khud ko, kya hua aaj phir se aap...
AK: Indore...ye sheher hai na hamara peecha hi nahi chhod raha hai. 6 saal ho gaye hai us sheher ko chhode hue lekin wo kabhi hamara peecha nahi chhodta.
Revati: Kya hua?
AK: Indore jana hai hame, hamari movie ki baaki ki shooting ke liye.
Revati: Kya? Lekin kyun? Pehle to aisi koi baat hi nahi hui thi na to phir achanak se aise kaise?
AK: Jo bhi hua , jaise bhi hua, jana to hame padega lekin pata nahi ham kaise rahenge wahan. Kaise apne aap ko sambhalenge, 6 saalon se yahan khud ko sambhal rahe hai kyunki ye Mumbai hai, lekin wahan Indore me ham khud ko kaise sambhal sakenge. Kaise ho payega ham se??
Revati: Di! Aap tension mat lijiye , kuchh solution milega. Sab theek ho jayega.
AK: Wahi to soch soch kar dimaag kharaab ho raha hai hamara ki kya kare ..
Ahaan enters her room.
Ahaan: Kyun dimaag kharaab ho raha hai aapka Mumma!
As AK's back was facing him she immediately wipes her tears and turns to him and sits down at his level.
AK: Arey ham to yehi soch rahe the ki aaj aap ke saath rehna hai na to aap ko koun si aisi special jagah le jaaye jahan aap ko achha lage. Bas wahi soch soch kar hamara dimaag kharaab ho raha tha, aur kuchh nahi, hai na Revati?
Revati: Ha Mumma isi baare me baat kar rahi thi Ahaan.
Ahaan: To kya socha aapne Mumma, kahaan jaayenge ham??
AK: Kaha na hamne, hame kuchh samajh hi nahi aa raha, to ab aap hi bataiye kaha jaaye ham?
Ahaan: Mumma ham na wo amusement park me jaate hai jahan last year new year manane gaye the.
AK: Ok, Ham abhi saari taiyari karte hai.
INDORE,
JINDAL BHAVAN,
Arya: Dadda! Ham shopping karne chale, mujhe new dresses aur new toys chahiye.
AJ: Ok.
AJ and Arya enjoys the whole day and returns to their home.
Arya hugs him and kisses him on his cheek.
Arya: Dadda, aaj na mai ne bohot enjoy kiya, aaj ka din sach much bohot special tha mere liye. I love you so so so so.......much Dadda.
AJ: I love you too my princess, chalo ab so jao kal subah school bhi to jana hai na. Good night.
Arya: Good night Dadda!
MUMBAI,
KAPOOR'S HOUSE,
AK and Ahaan enjoys the whole day in the amusement park along with Revati and return their home.
Ahaan was on the bed beside AK, who is making him sleep, he kisses her on her cheek and smiles at her.
AK: Ye kis liye?
Ahaan: Aaj ka din na aapne mere liye bohot special banaya, to isi liye Thank you very much. I love you so so so so.....much Mumma.
AK: Achha to isliye aap Mumma ko Thank you bologe, to phir Mumma ko to har roz aap ko Thank you bolna padega na?
Ahaan: Aap mujhe Thank you kyun bolenge? Mai ne kya kiya hai aap ke liye?
AK: Jis tarah aaj ka din aap ke liye special tha usi tarah mera har din special hota hai aap ki wajah se.
Ahaan: Lekin kaise, mai to aap ke liye kuchh bhi nahi karta.
AK: Hmm.. Wo isiliye kyunki aap hi mere liye special ho, aap hai to bas mera har din special hai. Samjhe aap. Bas bohot baatein ho gayi ab aap so jaiye kal school bhi to Jana hai na.
She kisses him on his forehead and makes him sleep.
Ahaan: Good night Mumma!
AK: Good night!
INDORE,
JINDAL BHAVAN,
Arya wakes up from her sleep and gets ready in her school uniform with the help of her Mom and goes to the mandir of her house. She prays to her Lord Krishna with her Daadi Maa and takes her blessings too.
Dadi: Roz ki tarah aa gayi sab se pehle Kaanha ka prasad khane.
Arya: Dadi! Sirf Lord Krishna ka prasad khane nahi un se baat karne bhi aaye hai, agar sab ke saath aate to agar wo kisi aur ki baat sunne lag jaate aur hamari baat nahi sunte to, isiliye ham sab se pehle aa gaye.
Dadi: Har baar ki tarah mai ne ek hi sawaal pooch liya aur tu bhi har baar ki tarah us ka ek hi jawaab diya.
Durga made Arya have her breakfast and get completely ready for her school when AJ comes and was having his breakfast and soon completes it.
Arya: Good morning Dadda!
AJ: Good morning Arya! Aap school jaane ke liye ready ho gaye ?
Arya: Ha Dadda!
AJ: To chalo mai tumhe school drop kar deta hun.
Durga: AJ aap kyun pareshaan honge, ham me se koi ya phir Driver drop kar denge.
AJ: Wo aaj driver leave par hai aur waise bhi mai abhi restaurant ke liye hi nikal raha hun to mai hi drop kar deta hun. Chalo Arya.
Arya kisses her mother and Daadi Maa, takes blessings from them by touching their feet and leaves with AJ.
MUMBAI,
KAPOOR'S HOUSE,
Ahaan wakes up and gets ready for his school with the help of his Revati Maasi. Meanwhile AK was arranging breakfast on the table and they both come to her.
Revati: Good morning Di!
Ahaan: Good morning Mumma!
AK: Good morning everyone! Aao sab breakfast karte hai.
Soon they complete their breakfast.
AK: Ahaan aap ready ho school Jane ke liye?
Ahaan: Ha Mumma!
AK: Chalo mai aaj tumhe school drop kar deti hun. Waise bhi aaj meri shooting nahi hai aur jo meeting hone wali hai wo thodi late se hai to mai Ahaan ko drop kar ke seedha meeting ke liye chali jaungi.
Ahaan: Yaay!! Aaj Mumma mujhe school drop karengi. Mai abhi bag lekar aata hun.
Revati: Di! Tension mat lena meeting me sab theek hoga.
AK: I hope so. Ok bye.
Revati: Bye. Thik se Jaana.
Ahaan: Mumma chaliye.
AK: Chalo.
INDORE,
IN AJ'S CAR,
Arya and AJ are driving towards her school when she speaks to him.
Arya: Dadda aap ki koi meri jaisi friend hai kya?
AJ: Ha sab ke friends hote hai mere bhi friends the.
Arya: Un ka naam kya hai?
AJ: Vikrant, Vikram, Rakesh aur bhi bohot log the.
Arya: Uffooo Dadda! 🤦♀️🤦♀️ Aap bhi na bilkul nahi samajhte. Mai ne poocha meri jaisi koi yani meri jaisi koi cute, pretty ladki aap ki dost thi kya?
AJ thinks about Guddan who first offered her hand for friendship with him.
Arya: Hai ya nahi ?
AJ: Haa thi ek .🙂
Arya: Kaun hai wo, meri jaisi pretty hai wo?
AJ: Ha .
Arya: Mujhse zyaada ya mujhse kam?
AJ: Ye mai nahi bata Sakta. Aap samajh lo same same.
Arya: Matlab to wo bohot sundar hongi. Aur kuchh boliye na un ke baare me.
AJ: Yun kehlo tum bilkul meri dost jaisi hi ho.
Arya: Matlab wo bhi meri tarah cute aur naughty hai.
AJ: Ha, thodi cute,thodi naughty,thodi chulbuli,bohot sweet,bohot loving aur caring.
Arya: Wow mujhe bhi unse milna hai.
AJ : Hmm
Arya: Wo bhi aapse bohot pyaar karti hai jaise mai karti hun.
Listening this he stopped his car with a great jerk.
Arya : Kya hua?
AJ: Kuchh nahi, aap ka school aa gaya. Abhi aap jao baaki baatein baad me.
Arya: Lekin mujhe aap ki dost ke baare me aur baat karni thi.
AJ: Arya zid nahi karte abhi aap jao ham baad me baat kar Lenge.
Arya: Bye Dadda!
AJ: Bye!
AJ closes his eyes and thinks about Guddan.
P.S: I think it's a very boring chapter but please cooperate, but from next chapter onwards it will be interesting coz they will move to Indore and be ready to witness what will happen in Indore, the city of love for these two beautiful souls.
comment:
p_commentcount