AJ has realized his feelings for Guddan that she isn't just his friend but more than that. Infact, she is his love without whom,he can't even think to survive.Guddan is unaware of his feelings but everyone in the house knows about it and are also very happy except Durga and saru.
So here we go
Akshat (smiling and looking secretly at Guddan) (mind talks-I have to tell her that how much I love her and can't live without her. But what if she rejects him,he won't be able to bear it.Ab chahe Jo Marzi ho jaaye main Guddan ko apne Dil ki baat bataakar hi rahunga. Ab main usse yeh baat zyaada der Tak nahi chhupa sakta)
(Dadi is watching AJ looking at Guddan with so much of love.)
Dadi- Lalla ab ghoorta hi rahega Meri bahu ko yaan kuch bolega bhi.
AJ- Maa,yeh aap kya keh rahi Hain.Main toh bus yahaan se guzar Raha tha
Maa- Lalla,main Teri maa Hoon aur Tere mann ki baat samajhti Hoon. Tujhe Guddan se pyaar Ho Gaya hai aur jab pyaar ho jaaye toh Dil ki baat Dil main nahi rakhte,use keh dete Hain.
AJ- Maa mujhe toh pyaar ka ehsaas ho Gaya hai but main yeh nahi jaanta ki Guddan ke Mann mein Kya hai. Kya woh bhi mujhse pyaar?? Nahi maa, mujhe bahut darr lag Raha hai,pata nahi woh mujhe aur mere pyaar ko accept karegi bhi ya nahi. Agar usne inkaar Kar Diya toh main hamari Dosti bhi kho Dunga.
Dadi- Lalla,maine tujhse zyaada duniya Dekhi hai aur Maine Guddan ki aankhon mein Tere liye bahut pyaar dekha hai aur Meri aankhein Dhokha nahi de sakti. Tu jaakar Guddan se baat Kar woh zaroor haan karegi mujhe vishwas hai.
AJ gets happy after listening to his mother's words and decides to propose Guddan.
On the other side
Guddan (mind talks- Yeh Jindal Saab ko Kya ho Gaya hai. Itna Ajeeb kyun behave Kar rahe Hain. Pehle toh humesha Hume kisi na kisi baat par kuch na kuch sunaate rehte the par ab toh kuch kehte hi nahi. Jo hum kehte Hain woh sab maan lete. Aaj Kal unhe hamari aadtein padh gayi Hain. Har waqt girte padhte rehte Hain. Aur jab unse puchho toh kabhi jawaab hi nahi dete. Hume pata lagana hi hoga).
Akshat comes to his bedroom and sees Guddan thinking about something and he again gets lost in her beauty and starts smiling while looking at her.
Guddan- Jindal saab ,aap kab aaye. Hume pata hi nahi Chala. Achha batayiye,aap humse kuch kehna chahte Hain na. Hum kayi Dino se notice Kar rahe Hain ki aap humse kuch kehna chahte Hain. Toh ab boliye na hum sun rahe Hain. Batayiye Kya kehna chahte Hain aap.
AJ- Guddan, woh main.. woh main kehna chahta tha ki... Ki...
Guddan- Boliye na Jindal Saab,Kya kehna chahte the
AJ- Woh main kehna chahta tha ki I.. I.. lo...
Guddan- I..?? Iske aage bhi toh badhiye..
Akshat is about to confess but somebody knocks on their door. And it's Durga.
Durga- Guddan mujhe tumse kuch baat karni hai aap hamare saath chaliye.
Guddan- Theek hai Durga ki ,hum aate Hain.
AJ- Guddan Meri baat toh suno.
Guddan- Hum aakar aapki baat sunte Hain and she goes from there.
(AJ curses himself for not being able to tell Guddan about his feelings)
In the hall
Dadi- Lalla ,tune Guddan se apne Dil ki baat nahi Kya??
AJ- Nahi maa,main bolne hi Wala tha ki tabhi Durga bahu Guddan ko apne saath le gayi.
Dadi- Lalla,tujhse kuch nahi hone Wala. Lagta hai ab mujhe hi kuch intezaam karna padhega.
AJ- Par maa aap Kya karne wali Hain??
Dadi- Tu bus dekhta ja main Kya karti Hoon.
(Dadi calls Laxmi bahu and shares her plan with her).
Everyone is gathered in the hall.
AJ- Maa hum sab ko yahaan kyun bulaaya hai?? Koi khaas baat hai kya.?
Dadi- Khaas baat toh hai and then she calls pandit ji.
AJ- Maa aapne pandit ji ko kyun bulaaya hai?? Kahin aap angad aur revti ki shaadi toh nahi fix karne wali??
(Everyone gets happy and starts thinking about Anvati's wedding)
Dadi- Arey Lalla,batati Hoon. Pehle pandit ji ko baithne toh de.
Pandit ji sits and opens his panchaang.
Dadi- Toh pandit ji batayiye,hamare Lalla aur Guddan ki Shaadi ke liye kaunsa muhurat shubh rahega??
AJ and Guddan both speak together - Hamari Shaadi??😳
Dadi- Haan tum dono ki Shaadi.
AJ- Par maa iski Kya zaroorat hai. Hum toh already shadi shuda Hain.
Guddan too starts saying- Dadi iski Kya zaroorat hai?? Hume toh laga aap anvati ki Shaadi ki baat karne wali Hain
Dadi- Arey woh bhi Kya koi Shaadi thi,na kisi ko koi khabar thi. Woh toh be-man ki Shaadi thi. Par ab jab tum dono ke Mann mil hi Gaye Hain toh dobara Shaadi karne mein Kya harz hai??
Guddan and AJ both look at each other and gets embarrass after listening to dadi's talks.
Dadi- Toh pandit ji, batayiye phir .
Pandit ji- Mata ji ,sagai ke liye 2 din baad ka muhurat bahut shubh hai and aur Shaadi ke liye uske do din baad ka muhurat ati-uttam hai.
Everyone gets excited to know about this and starts preparations for the function.
AJ(in mind)- Toh yeh plan Hain maa ka 😎
Guddan (in mind) -Hamare Mann toh mil Gaye Hain par yeh Jindal saab kuch bolenge tabhi toh Hume kuch pata chalega ki unke Mann mein hai Kya. Yahaan hum toh unse bepannah pyaar karte Hain par unhone toh kabhi apni Dil ki baat humse kahi hai nahi. Par Hume humesha aisa lagta hai woh humse apne Dil ki baat kehna toh chahte Hain par keh nahi paate. Par jab tak with apne Dil ki baat nahi kahenge tab Tak hum bhi kuch nahi kahenge.
AJ(in mind)- Iss baar mein use apne Dil ki baat Bata Kar hi rahunga hamari sagai wale din. Uske baad hi angoothi pehnaunga use and starts planning how to propose his love 😎
So,how was it. Do give your feedback😳
INDEX
Part 1 - Pg 1
Part 2 - Pg 3
Part 3 - Pg 6
Part 4 - Pg 10
Part 5 - Pg 13
Part 6 - Pg 16
Part 7 - Pg 19
Part 8 - Pg 22
Part 9 - Pg 25
Part 10- Pg 28
Part 11 - Pg 30
Part 12 - Pg 33
Part 13 - Pg 37
Part 14 - Pg 39
comment:
p_commentcount