bohut dino ke baad maine iss hafte Crime Patrol dekhi.
tabiyat kharap thi, isliye mom late night dekhne nahin de rahi thi.😭😭😭
bohut saari episodes mujhe Youtube par dekhna hoga.
well, iss hafte Management courses main admission ko le kar jo dikhaya gaya woh kaafi shocking hai.
waise bachpan main meri mom mujhse hamesha kehti thi, kuch bhi kharida jaa sakta hai, but degree nahin,iss liye acche se padhai kar, lekin ab to woh bhi mil rahe hai.
mujhe yeh sab Management courses ko le kar zyada kuch nahin pata, coz main ek bohut hi ordinary student hoon,aur various Government services ke liye study kar rahi hoon.lekin ek baat mujhe samajh nahin aayi, woh aadmi students ko management quota ke liye kaise convince karte the???
I know, Quota, hamare desh ka ek bohut common term hai.par as per my knowledge, SC, ST, OBC, Physically handicapped, Ex-servicemen, sports quota yeh saare quotas hote hai.Age Relaxation hota hai.par har quota main aapko examination to confirmed dena parega.bas aapka selection kam marks main hoga.yaa phir aapko exam fees nahin dena parega.
mujhe to yeh sab students ke liye koi hamdardi nahin hai.jab yeh log 20 lakhs diye tabhi to inko pata hona chayiye yeh log corruption kar rahe hai.
but uss Management Institution aur Police ko hats off, yeh dekh kar mujhe sabse accha laga ki Institution ne tough decision liye.aur isse mujhe lagta hai unki Institution ki reputation badhi, ek good msg aaya, ki cheating tolarate nahin kiya jayega. jeet to hamesha talent ki hi hoti hai.
aur dhoke ka umar bohut hi kam hota hai.kitne saare students ne aapne future ko khud barbaad kar diya. shortcuts manzil par bohut jaldi shayad paucha deta hai.par kya woh success rehta hai??? mehnat karke manzil main pauchne ke liye shayad humhe waqt mile, par woh success hamesha hamare saath rehta hai.aur uss success milne par ek alag hi khushi milti hai.
comment:
p_commentcount