~Dostii ki Kiran~
'Dostii' ek aisa rishta,ek aisa hai ehsaas.Jo sabse hai alag aur sabse hai khas.
Aaj iss subh mauke pe, aao sabke milke manaye hum.
'Dostii' ko gale lagaye aur khud usme dub jaye,humara mann.
Aao sab milke 'dostii' ko kare, dil se salam.
Dostii ke samundar me, dhunde hum aapna naam.
Itni to aukat nai ki,hum dostii ka matlab samjha paye.
Baas hum ' dosto ke nazariye se IF dostii' , ye samjha paye.
Isliye doston,iss kavita ke ayne me khud ko chalo dhundne kii koshish kare.
Shayad,kahin pe hum aur tumhari bhavnaye mil jaye,yahin aas lagaye saare.
Yahan pe hum sab hai 'aaj-ke naveen pidhi'.
Humara dil hai josh se bhara hua,hum sabko chadna hai 'kamiyabi ki sidhi'.
Iss zindagi ke raste me,humara indhan bana hai 'dostii'.
Kabhi chatle chalte thak jaye,to gale laga lete hai 'dostii'.
Mammi-papa se ho nok-jhok,ya ho bhai behen se.
College,office ka tension ho, yaa ho ghar ke.
Rahat ki saas,itne dukh me bhi ekk khushi ka ehsaas, dilati hai 'dostii'.
Hum-mein fir se 'ummeed ki' kiran jagati hai 'dostii'.
Bin bole hii sab dard samajh jati hai ye 'dostii'.
Bina kuch kahe,sirf saath nibhati hai 'dostii'.
Sabke dilo ke hichkhichahat ko,chupke se gayab karti hai 'dostii'.
Aanjane me aapne dosto ko aapni kahani bolna sikhatii hai 'dostii'.
Doston se jaab, "Mai hun tumhare paas" ,sunatii hai 'dostii'.
Kya bataun,taab jannat pane ki santushti dilatii hai 'dostii'.
Shayad sabka dil aab taq bhari ho chuka hai,iss kavita ko padhke.
Sach mano dosto,mujhe ye saare ehsaas dikhe hai sabke dil-o me jhank-ke.
Mere pyare dosto ne agar ye padhke baas ek 'like' bhi kiya.
To mai samjhungii," dostii ke samundar" ko "ek bund salam" maine diya.
Bohot pyar bahari subhkamnaye sabko.😊
Tania (Tanzz)
comment:
p_commentcount