Originally posted by: -SH-
Zain
Aaliya ka laana mere liye haraam nahi hai.. Aapke iss ghar pe yahi baat kehne aaya hun.. Aapne jo kuch bhi kiya, mere sath, Aaliya ke sath, com ke sath.. bohot bada ehsaan kiya.. Ehsaan karna toh koi Suraiyya begum se seekhe.. Katal bhi karti hain aur jatati hain jaise jindagi de rahi hain... Vohi toh main keh raha hun.. ammi hai meri, paida kiya hai.. Agar manipulations ka itna hi shauk hai toh paida hi kyun kiya, kathputliyan hi paal leti naa.. Ek baat aap kaan kholkar sun lijiye Suraiyya begum, jitna hi aap Zain aur Aaliya ko dur karengi main uske utna hi kareeb aaunga.. Zain aur Aaliya ki mohabbat ko aap nahi hara sakti.. Naa yeh awaam.. naa yeh log.. naa yeh com.. aur naa hi shariyat.
Aaliya
Itni kamzor nahi hun main ki apne pyaar ko itni asaani se haar jaane dungi. Yeh Zain aur Aaliya ki mohabbat hai.. aapki nafarat se nahi haaregi.. com se nahi haaregi.. mazhab se nahi haaregi.. kisi niyam kisi kanoon kisi rasam se nahi haaregi. Aur naa hi shariyat se haaregi. Nahi! Kisi aur se shaadi ka khyal mere dil mein bhi laana maut ke barabar hai. Main nahi bhool sakti Zain ko ammi, namumkin hai yeh.. Yeh sab jaane ke baad bhi nahi.. halala ki iss aandhi ke baad bhi nahi.. Maariye ammi, jitna chahiye maariye kyunki main... Yeh yahan apni mohabbat ki khatir aaya hai ammi. Kuch tai karke aana isko aata nahi hai.. Apne mazhab ke baare mein bohot kam jaanta hai yeh, namaaz padhna bhi haal hi mein seekha hai.. Par jo pakheezgi khuda ke kalme mein hai, vohi pakheezgi Zain ki mohabbat mein bhi hai.. Chalo..
comment:
p_commentcount