Posted:
Episode-1 (part a)
-------------------------------
Somewhere in Mumbai
Girl: ye konsi jagah hai? Koi hai yaha?
Voice: shaitan chowki
Girl: kon ho tum? Saamne aao,kon hai yaha?
(Tabhi uski aankhen khulti hai and wo apne room me hoti hai)
Girl: ab shaitan chowki jana hi hoga,ab aur nahi saha jata
(Anjaan ka music and starting wala montage)
(Aditi ka ghar)
(Aditi ko Vikrant k gayab hone ka sapna aata hai and wo chauk ke uth jati hai)
Aditi: teen mahine se wahi sapna aa raha hai. Vikrant kaha chale gye tum mujhe yun chod kar.
(Tring tring)
Aditi: good morning sir Jay Hind.
Suresh: Aditi abhi mere office aao,bohot jaroori baat karni hai.
Aditi: Ji sir.
(Suresh ka office)
Aditi: may I come in sir?
Suresh: yes come in Aditi
Aditi: kya hua sir?
Suresh: sit Aditi. Aditi teen mahine ho gaye hai and abhi tak Vikrant ka kuch pata nahi chala. Na tumhe aur na hi humeri special team ko. I guess hume ab usse dead announce kar dena chahiye. Uppar se bohot pressure hai and tum bhi pichle teen mahino se Vikrant ko hi dhndhne me lagi ho,koi aur case nahi liya,chowki bhi nahi gayi ho,aisa kaise chal payega?
Aditi: sir Vanraj mere saamne Vikrant ko le gya,Vikrant mara nahi hai woh zinda hai and mujhe bas thoda waqt aur dijiye,mai usse dhundh laungi.
Suresh: Aditi ye faisla mai akele nahi le skta,uppar jawab dena padta hai mujhe bhi
Aditi: sir ye lijiye
Suresh: ye kya hai?
Aditi: mera isteefa. Maine pehle hi kaha tha sir ki mai ab force chod dungi,ab tak mai apni leave use kar rahi thi ab ek mahina hi bacha hai mere pass isi liye ye letter
Suresh: Aditi... Are u sure?
Aditi: yes sir
Suresh: thik hai. But ab bhi ek mahina hai tumhare pass,soch lo araam se,fir mujhe batana,and tum chutti pr ho toh karo use iska jaise chaho.
Aditi: ok sir,toh mai jau?
Suresh: ha nahi wait,ek baat thi. Do mahine se ek ladki ka tumhare liye headquarters me phone aa raha hai,har roz,but tumne koi lene se mana kar dia toh humne bhi inform ni kia. Lekin agar tum usse mil lo toh...
Aditi: no sir mujhe kisi se nahi milna,aap uska case kisi aur ko dijiye please
Suresh: fine. You may leave now.
(Aditi apni car ke pass jati hai aur turant Joshi ko call karti hai.)
Aditi: Joshi Vikrant ka kuch pata chala.
Joshi: nahi ma'am kuch bhi pata nahi chala.
Aditi: hmmm...and Ananya ka?
Joshi: nahi ma'am uska bhi kuch pata nahi chala.
Aditi: hmmm...but koshish karte raho
(Aditi call cut karke drive karne lagti hai)
(Usse pata nahi chalta kab uski car uske control se bahar ho jati hai,wo break lagane ki kafi koshish karti hai but kuch nahi hota. Wo darwaja kholne ki koshish karti hai but wo bhi nahi hota. Fir uski car apne aap ruk jati hai. Aditi car se nikalti hai aur khud ko Shaitan chowki k saamne khada paati hai)
Aditi: mai yaha? Mujhe yaha kon laya aur kyu? Andar jana toh nahi chahti but kuch toh wajah hogi joh mai yaha aayi.
(Aditi andar jati hai and Vikrant k desk k pass jate hi usse Vikrant k sath bitaye pal yaad ate hai,uske jokes,gussa,care,smile,aur kiss tarah Vanraj Vikrant ko uske saamne se le gya)
Aditi: mai tumhe wapas laake rahungi Vikrant, koi chahe kitna hi kahe mai janti hu ki tum zinda ho aur jald hi mere sath hoge.
(Tabhi usse ek awaaz sunayi deti hai. Wo ye awaaz janti hai aur janegi kyu nahi ladki hai toh heels ki awaaz ache se janegi)
Aditi: kon ho tum? Yaha kya kar rahi ho?
Girl: kya aap Aditi hai?
Aditi: kon ho tum pehle ye batao?
Girl: Aaina (mirror) naam hai mera,Aaina Gomez. Kya aap Aditi hai?
Aditi: ha mai hu Aditi
Aaina: kya aap kisi Siddhant ko janti hai?
Aditi: tum ye sab kyu puch rahi ho?
Aaina: sawaal ka jawaab plz jb sawaal se mat dijiye. Kya aap janti hai Siddhant ko?
Aditi: ha wo...wo mera bhai tha
Aaina: unhone mujhe yaha bheja hai aapki help k liye. Kisi Vikrant ko wapas laane ko kaha hai.
Aditi: tum kaise help kar sakti ho meri? Ho kon tum?
Aaina: maine abhi bataya ki mai Aaina Gomez hu. Mai apki help...ummm...samajh nahi aa raha kaise kahu,aap yakeen nahi karengi mera
Aditi: mai karungi,ye sab baat mai bohot ache se samajh sakti hu,daro mat aur batao.
Aaina: teen mahine pehle mera and mere parents ka accident hua tha,jisme mere parents mar gye. Mai kuch din behosh thi and jb se hosh aaya har raat mujhe sapne me ajeeb jagah dikhti hai,jaha log marte hai. Pehle mujhe laga ki bas sapna hai but baad me pata chala ki ye sapna nahi hai,wo log sach me mar chuke hote the and mujhe apni story batatate the. Maine kafi research ki tab maloom hua ki yeh aero projectionprojection kehte hai,mai kisi dead insaan ki ya wo jo dusri duniya me hai uski kisi azeez chiz ko chuke uss spirit se contact kar sakti hu,chahe wo uss duniya hi kyu na ho,uski death bhi dekh sakti hu. Aap samjh rahi hai na?
Aditi: ha mai samajh rahi hu. Tum Siddhant se kaise mili?
Aaina: do mahine pehle wo mere sapne me aye the,mujhe kaha ki Aditi ki help karo,Vikrant ko wapas lane me. Tabse maine aapko contact karne ki bohot koshish ki,do mahine se lagatar mai police department me caalcall karti thi but kuch ni hua. Fir kal ek ladki ki aatmandikhi mujhe,I mean shadow dikha,usne bola Shaitan chowki jao toh mai aa gyi. Vikrant gya haina dusri duniya me?
Aditi: chalo uske ghar chalte hai,waha uski kayi favorite chize hongi
Aaina: mujhe aisi koi chiz chahiye jo uske dil k sabse kareeb ho
Aditi: mil jayengi,chalo.
(Vikrant ka ghar)
Aditi: ye hai uska room,yaha sab uske liye bohot important hai.
(Aaina sab chiz pakad ke focus karti hai but kuch asar nahi hota)
Aaina: nahi yaha aisa kuch bhi nahi hai.
Aditi(sofe pr baith jati hai and rone lagti hai): ab kya kare? Isse bhi kuch nahi hua,ab kya hoga aisa jo uske dil k sabse kareeb ho??
(Aaina uske pass jati hai and bagal me baith ke uska hath pakadti hai aur tabhi kuch hota hai...Aaina jaise hi apni aankhe kholti hai woh dusri duniya me hoti hai)
_____________________________________________________________________________________
1. Thanks @angel500 for help and suggestsuggestions.
2. Aaina ek fictional character hai,jo ki 21 yrs old hai and college student hai. Mujhe laga ki Ananya k alawa koi aur bhi chahiye Aditi ki help ke liya and uska importance aage k parts me pata chalega.
3. Mai pehli baar ye episodes style me likh rahi hu,I hope show wali feeling aayi ho.
4. Read,like and comments.
comment:
p_commentcount