Thanks guys for positive feedback. Ok so do brackets me jo lines hongi wo Vikrant k thoughts honge.
...
(Aditi darwaja kholti hai aur samne ek lady hoti hai)
Aditi: ji aap kon?
Maa: Vikrant hai?
Aditi: ji,par aap?
Maa: mai uski maa
Aditi: oh auntie namaste,ayiye andar ayiye. Vikrant apne room me hai. Ye saman mujhe de dijiye mai dusre room me rakh deti hu.
Maa: ha,par beta tum?
Aditi: main Aditi, Vikrant ki partner. Ap usse miliye tab tak mai apke liye kuch chai nashte ka intezaam kar deti hu.
(Maa Vikrant k room me jati hai)
Maa: vikku kaisa hai beta? Apna dhyan ni rakhta na? Itni chot laga li, kaise case pr bhej dia tere department ne? Waha koi or nahu hai kya bs tu hi hai?...
Vikrant: maaa shant ho jao ate hi itni sari shikayate,ruk jao thodi-2 karo sunne or bolne me maza ayega
Maa: chup kar,chot lagi hai lekin faltu mazak karne se baaz ni ayega na tu vikku
Vikrant: maa ab to vikku mat bulao na,aur meri partner b hai yaha usne sun lia toh
Maa: are ha,mai mili Aditi se,badi sundar or pyari hai,tune kabhi bataya kyu ni uske bare me?
Vikrant: aap ko uska naam b pata chal gya
Maa: tujhe sach bohot chot lagi hai isi liye aisi bate kar raha hai,abhi darwaja usine to khola tha
Vikrant: oh ha
(( chalo maa ne entry maari bhi toh Aditi k hi samne,ab maa uski or meri shadi karwa k hi manegi,hey bhagwan bacha le,ab to vanraj kidnap kr le toh b khushi hogi))
Maa: kya hua? Kya soch raha hai? Dard ho raha hai?
Vikrant: ni maa aisa kuch ni hai mai thik hu
(Aditi apni hone wali saas k liye chai lati hai)
Aditi: auntie chai. Vikrant tumhare ghar pr cornflakes k alawa kuch ni rehta?
Vikrant: ni ni Maggie bhi rehti,tumne dhyan se dekha ni
Maa: tu sirf Maggie and cornflakes rakhta hai khane k liye?
Vikrant: are jadatar time to cases k chakkar me bahar hi rehta hu or bahar hi kha bhi leta hu.
Maa: tu har samay bahar ka hi kata hai?
Vikrant: nahi mai Mumbai k bahar jata hu bas tab hi varna Mumbai me jab Aditi k sath kaam shuru kia tb se wahi khana bana k lati hai...((kyu bola yeh maine,ni maa ni kuch mat bolna Aditi k samne plzzz))
Maa: acha, Aditi beta fir toh bohot pareshani hoti hogi tumhe,iss ka b khana banana padta hai,tumhara to kaam bhad jata hoga na?
Aditi: are ni auntie aisi baat ni hai,apne liye to khana banati hi hu to Vikrant k lie b banati leti hu,isme koi pareshani ni hoti
Maa: mai janti hu iss nakhrebaaz ko ache se,kahi namak kum kabhi namak jada iska yhi chalta rehta hai
Aditi: hahaaha...ha auntie wo toh hai
Maa: pata hai bachpan se hi vikku ki yhi adat rhi hai
Aditi: vikku?
Vikrant: ha ACP Vikrant singhal urf maa ka vikku
(Aditi apni hasi kisi tarah control kar leti hai or Vikrant apne sharam se laal hue gaal)
Aditi: are ha Vikrant wo thodi der pehle commissioner sir ka phone aya tha,ek case k liye jana hoga,mai sham ko ati hu. Ok bye, namaste auntie.
Vikrant: ok but case k bare me updated rakhna mujhe or kisi musibat me mat phasna please.
Aditi: yes sir.
Maa: beta sham ka khana yhi khana,thik hai
Aditi: arre auntie ap takleef mat lijiye
Maa: arre isme kya takleef,tum dinner yhi karogi bas
Auntie: thik hai auntie, namaste
Maa: namaste.
((Chalo maa ne apna kaam shuru kar dia,beta Vikrant taiyar ho ja maa Aditi ki puri kundali nikalengi tujhse))
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hi new member and jo member wapas ayi hai,hope apko b ye acha lage. Waise iska ek or part hai mere mind me,yeh kaisa laga batana k age likhna chahiye ya ni?
comment:
p_commentcount