Listen to this nice ghazal of Salma Agha with the urudu meanings.
http://www.youtube.com/watch?v=ZQtwgGtGHWM
fazaa bhii hai javaa.n javaa.n, havaa bhii hai ravaa.n ravaa.n
sunaa rahaa hai ye samaa sunii sunii sii daastaa.n
Fazaa: Atmosphere, Environment
Ravaan: Move, Flow, Soul, Life
Samaa: The heavens, sky, firmament; a canopy; height, altitude, meridian, highest or uppermost part (of anything), culminating point, prime, spring.
pukaarte hain duur se, vo kaafile bahaar ke
bikhar gae hai.n ra.ng se, kisii ke intazaar me.n
lahar lahar ke ho.nth par, vafaa kii hai.n kahaaniyaa.n
Qaafila: Caravan
Bikhar: Scatter
Wafa: Fulfilling A Promise, Fulfillment, Fidelity, Faithful, Sincerity, Sufficiency
bujhii magar bujhii nahii.n, na jaane kaisii pyaas hai
qaraar dil se aaj bhii na duur hai na paas hai
ye khel dhuup chhaao.n kaa, ye qurbate.n ye duuriyaa.n
Qurbatein: Closeness, Nearness, Together, (Plural of Qurbat)
Qaraar: Ease, Patience, Quietude, Repose, Residence Rest, Satisfaction, Stability
har ek pal ko dhuu.ndhataa har ek pal chalaa gayaa
har ek pal firaaq kaa, har ek pal visaal kaa
har ek pal guzar gayaa, banaake dil pe ik nishaa.n
Firaaq: Separation, Anxiety, Absence, Distance
Visaal: Death, Meeting, Union
vohii gha.dii vohii pahar, vohii havaa vohii lahar
na_ii hai.n ma.nzile.n magar, vohii safar vohii dagar
nazar ga_ii jidhar jidhar, milii vohii nishaaniyaa.n
Pahar: A division of time consisting of three hours, an eighth part of a day
Dagar: Path, Road, Track
comment:
p_commentcount