Chapter 14
jab room main koi na aya tau main nay bahir nikal k dekha..................bahir koi bhi na tha..........yahan tak k bachay bhi nahin.................kia yeh sab meray janay ka wait kar rahay thay..................meray room main jatay hi saray picnic ko chalay gaye.................kissi ko mera khayal nahin aya
mujhay sujal k janay ka bhi dukh tha.................jab k main nay unh say koi umeed nahin rakhi thi.......likin janay kyoun mera dil unh say bar bar koi umeed bhandh leta tha....................k shayad kabhi woh meray jazbaat samjh jain.................jo jagha sameera nay khali ki hai..........meray jazbaat........meri muhabbat shayad us jagha ko fill kar day..........main sameera ki place tau kabhi bhi nahin lay sakti thi..................likin haan...........sujal k dil main apnay liye aik jagha banana chahti thi...............woh mujhay itna ignore kyoun kartay hain.................main unh ko aik nazar dekh loon................meray dil ko chain aa jata hai............likin woh kyoun iss tarhan mujhay under estimate kartay hain...............sujal nay us aunty k samnay meri kitni insult ki thi.........mera dil kia k sab kuch choor k wapis mama k ghar chali jaoon.............main wahin bahir beth gaye..........or zoor zoor say roona shuru kar diya.............
"or bachoon ko dekho..........bewafa............mujhay choor gaye ..........us aunty k saath janay k liye"
"mama ...........app kyoun roo rahi hain".................sunny ki awaz mujh tak aaye tau main roona bhool gaye...........ankhain kholian(open kinn) tau donon meray samnay tense kharay thay
"tum donon papa k saath nahin gaye"................main nay poocha
"nahin.........humain kia zaroorat thi unh k saath janay ki............kia hum apni mama ko chor kar kahain ja saktay hain".......sameer nay phir say ignorant ban kar kaha
"or main soch rahi thi........k tum donon mujhay choor kar chalay gaye hoo".....................main khul k hansui
"likin app ko principals k mutabiq itna uncha(loud) nahin roona chahiye tha"........sunny nay apnay dada jii ki kahi howi advise suniye.............main nay jhat say usay dekha
"jiss tarhan dil karay..........waisay hi rona chahiye"
donon sad ho k meray pass beth gaye
"mama app papa say naraz hain"...................sameer nay poocha
"haan sameer............sunny..................main tumharay papa say naraz hoon..........tumharay papa k anay say pehay hi main apnay ghar jana chahti hoon............jab tumharay papa ko mera yahan rehna accha nahin lagta..........tau phir mujhay yahan say chalay jana chaiye................likin tum loog udaas(sad) na hona..............main tum loogon say milnay yahan atti rahoon gi.........tum donon mujhay bohut yaad aao gay"........main nay donon ko hug kia.............kitna mushkil(difficult) tha inh say door rehna
"nahin mama...............app abhi khain nahin jain gii.....................aunty ko saza milni hi chahiye........abh app bheech main maat ana"....................sameer k baat karnay k style same apnay papa jaisa tha
"likin sameer"..............main nay kuch kehna chaha tau sameer nay rook diya
"nahin mama.............app humain sirf aik din dain"
************************************************************ ************************************************************ **************************
agli subha ghar main dhamakay howay......................sunny dinning table par cheekh(screaming) raha tha..........k usay breakfast aunty k haathon ka bana howa chaiye............meray banaye howay brekfast ko haath bhi nahin laga raha tha.............sameer nay meray iron kiye uniform ko pehenay say bhi inkar kar diya..........
pehlay tau sujal nay unhain dantt k situation ko control karnay ki koshish ki...........likin jab koi faida na howa tau mujhay dantana shuru ho gaye k jab say main aaye hoon bachay bigar(chalak) ho gaye hain..........iss k baad tang aa k aunty ko call ki gaye
woh tau khushi say pagal ho gain.............k bachoon nay apni maa pay issay importance di hai....emergency make-up woh jaldi say ghar aain......likin.......yahan aa k khushi dhari ki dhari reh gaiye..............jaldi say sameer ka uniform press kia tau sunny ka shoor jari tha.........donon k liye egg fry kia tau omlete ki wish ki gaye...........jaldi jaldi main omlate jal gaya.........tau sandwich banaya gaya.............itnay main school bus aa gaye...........likin donon bachay abhi tak bhookay(hungry) thay.........so woh aisay hi school gaye..............sujal or aunty nay sar pakar kiya
main jaldi say wahan say uth gaye........patah tha k azab(gussa) abh us pay nazil ho ga(utray ga)
iss jaldii jaldi main sujal bhi late ho gaye.............so unhoon nay office say leave lay li..........or aunty jii..............bohut tired honay ki wajha say apnay ghar padhar gain(chali gaye)................lagta tha k ak hi din main hosh thikanay aa gaya hai
phir sara din sujal meri burayan kartay raha.................mujh main khamiyan dhoondtay rahay.......jo k main nay bohut mushkiloon say bardhaast kin............janti thi k abhi iss k bachay aa jain gain..........tau unh k papa chup ho jain gain....balkay apnay room amin hi bethay rahain gain................phir aglay din bachoon nay mujhay apni mama k ghar janay ko kaha.............k jab tak unh k papa na aaye............apologize na karain.............main wapis na aoon.............main nay ankhain jhuka k apnay bachoon k order ko mana...................or mama k ghar aa gai
2 weeks aisay hi guzar gaye.............magar koi na aya................udhar mama mujhay bolna shuru ho gain k bachoon ki muhabbat main pagal honay ki bajaye agar main nay itna time sujal ko diya hota..................ta aj yeh na hota................or bachay gahr say bahir hotay main nahin.................phir tang aa k poochtain..."tumhari saas kyoun nahin attin"
"woh kahan say aain..........woh bangalore apnay kuch relatives say milnay gain hain.........unhain tau iss baray main kuch patah bhi na hoga"............main unhain taal deti
main unh ki tension ko or bharati thi .................sach tau yeh hai k mujhay bhi kisi k anay ki umeed nahin thi............meri ankhain bachoon ko dekhnay k liye betaab theen......................or saath hi sujal ki dantt sunanay ko bhi dil kar raha tha.
raat ko main apni diary main apni diary likh rahi thi tau aik daam mujhay aik line sujal k liye likhnay ko dil kia
whenever i smile, i miss u
whenever i cry, i miss u
but
whenever i die, don't let me say that i miss u
b-coz i don't want to miss u at that time.............................(guys mujhay batana kaisi lagi..............main nay khud likha hai)
idher main apnay khayalat main gum thi...........udher mujhay baad main sujal nay bataya k us raat woh bhi apni diary main kuch likh rahay thay
miss me, as u miss cold air in the summer
miss me, as u miss (dhoop) in the winter (abh mujhay dhoop ki eng yaad nahin aa rahi)
miss me, as u miss flower in the autumn
but don't miss me in spring..........................because in that season....................we will be together(iss k baray main bhi batana)
its sunday(21 MARCH.....................bahar k mausam ka pehla din)(point to be noted................sujal or kashish ki shadi ko iss din do mahinay pooray howay hain)
mama sab ko dekh rahi theen.................bus aik main hi tanha or sad bethi thi...........................k humaray terrace main lagi swing per beth kar sad songs ganay ko dil kar raha tha
PAL PAL TERI YAAD MAIN YEH DIL ROOTA HAI
BIN TERA NA JAGAY YEH NA SOOTA HAI
AKSAR TANHAIN MAIN TUJHAY PUKARAY
NA ZOOR DIL PAY CHALAY
HARAY HARAY HARAY
HUM TAU DIL SAY HARAY
abhi main iss ganay ko ganay ka soch hi rahi thi......................the bell baji........................mujhay yoon laga k hawa nay meray saath shararat ki hai...............magar dil ko kaun samjhata.............main nay apni satisfaction k liye door open kia.............tau mujhay apni ankhon pay yaqeen nahin aya.........(apni ankhin badlwa loo.........meri lay lo) sujal meray samnay kharay thay.................main behosh honay k kareeb.....(k sujal nay mujhay sahara na diya..........or main phat say neechay...........just joking)..................jo khwab main nay kab say bhuna(sajaya) tha abh woh poora ho gaya tha..............
sujal nay jab dekha k mujh main nay koi movement nahi ki.............tau woh khudi ander aa gaye.
"kashish"............unhoon nay ahista say mujhay touch kia...............(aisay banday ko tau chutki katni chaiye)......"chalo......main tumhain lay janay aaya hoon"
meri ankhoon main ansoo aa gaye.........."abh meri kia zaroorat hai app ko....................AUNTY kahin chali gaye kia"
sujal meri baat sun kar gussay main aa gaye.............or zor say bolay..."kitni bar main tumhain samjhaya hai..............woh meri nahin balkay bachoon ki aunty hai....................(meri aunty tau tum ho..................kashish ka moun utar gaya..............just joking yaar)..........agar mujhay naina main koi intrest hota tau mujhay us say shadi karnay say koi nahin rokk sakta tha...............main apnay app say darr gaya tha..................tum meray dil main iss kadar samanay lagi k mujhay laga k main kahin sameera say bewafai na karnay lagoon..............phir main nay tumhain ignore karna shuru kia.................or is liye.............meray kadam naina ki taraf bharay..............k shayad main iss tarahn tumhain pyar k jadoo say azad ho jaoon.................likin jab tum nay woh ghar choor tau mujhay woh ghar khali khali laga.......................akhir main tumharay pyar k samnay haar gaya."
"kashish.." sujal nay pyar say mera haath pakra..............
"main tumharay bina adhora(incomplete) hoon"
"or sameera" ............main nay ahista say poocha
"iss main koi shak nahin k woh abh bhi meray dil k kissi konay main hai.....................likin kashish..............mera baqi ka dil sirf tumhara hai................mera yaqeen karo"
sujal nay pyar say meri taraf dekha tau main bhi muskura di
"haan..........mujhay tumhara yaqeen hai............................main mama ko abhi bata kar atti hoon"............main nay mama ko bataya or sujal k saath apnay ghar chal di............mujahy ghar janay ki bohut jaldi thi jahan khushiyan mera intezar kar rahin theen
main ghar poohnchi tau sara rasta phoolon say bhara howa tha.....................ghar aisa lag raha tha k jaisa phoolon ki barish howi hoo................ghar bhar main phoolon ki khushboo mehek rahi thi.......................bachay mujahy dekhtay hi meray pass aa gaye or main nay apni mamta ki pyaas bujhai.................
us raat pehli baar sujal nay mujh say apnay pyar ka izhaar kia.............................woh raat.................meri zindagi ki khoobsurat raat thi....................or usi raat say meri zindagi nay aik naya safar shuru kia tha
********************************************** FLASHBACK ENDS******************************************************** ***********
shukar hai kashish apni yaad say bahir nikli .........................kitni lambi yaad thi na
abh jaldi say comments dena
lol
ana
Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
Continue Reading next part >
Comments (5)
hey lovely part ana... plz cont soon....
18 years ago
Mindblowing part!! I love your fan-fic!! Continuee really really really really soon!!
18 years ago
..apka jawab nahi ana ji....great going.....and yeah the line were super...
18 years ago
hey saara how can i forget u u r very dear to me thanx 4 ur precious comments & welcome to my this thread lol ana
18 years ago
hi ana h r u i hope that u didnt forget me i read ur whole story and it awesome brilliant perfect excellent marvelous job yaar this is really cute story i thing u r the 1st 1 who wrote like this....... plzzzz send the next part soon i m dying to read the next part and the miss lines that u wrote it are awesome
18 years ago