Chapter 44
Recap: well bohat kuch hogaya..joh nahi hona chahiye tha..wohh bhi hogayaa..hehe…
There was a romantic scene in the rain…Jab Kashish ko ehsaas hua toh she ran inside…crying n all…
...
Heres the next part…
Sujal stood there confused …k ek dum se Kashish ko ho kya gaya…He was enjoying it too much…hehe…jus kidding…
He cudnt face her…so he got in his car and drove off to Sameer's apartment
Ting Tong…( bell hai..hehe)
Sameer opened the door…( itni der toh ho chuki thi k party was over and sameer was now at home)
He opened it…and found Sujal standin infront of him..all soaked up in water.
Sameer: Sujal….tuu…is waqt?
Sujal: ( he jus luked at him )
Sameer: kya baat hai….andar aajaa…
Sujal andar aata hai…and sits on the couch…while Sameer brings him a cup of coffee..
Sameer: ( hands over the mug to him ) yeh le…( sits on the couch ) ab bata…baat kya hai?
Sujal: ( puts the mug on the coffee table and then puts his hands on his head )
Sameer: kuch batayega k nahi…..Kashish ne tujhse kuch kaha? Tuney usse … baat ki?
Sujal: ( looks at him ) agar hum is waqt baat na hee kereinge toh acha hai….
Sameer gives him a confused look…
Sujal: Kya main tere yahan reh sakta hoon?
Sameer: yeh kaisa sawal hua….ofcourse….tera hii ghar hai…
Sujal: ( stands up ) theek hai….kal subah baat kereinge…( wlks off )
Sameer: ( to himself ) subah baat kereinge? Ajeeb aadmi hai…kabhi saaf baat nahi kerta…
Cut to Kashish…
She lay on her bed and was weeping…
Kashish: ( to herself ) yeh maine…kya kerdiya…(sobs) itni badi galti …kaise hogayee mujhse? Maine apni maryaada ( lolz ) kaise tor di…( glances at her engagement ring..and then recalls the scene when Tusshar put the ring into her finger ) Is anghuuti ( ring ) ki waja se…main ek rishtey mein bandh chuki thi…lekin aaj…aaj maine is rishtey k saath na insaafii ki hai….mujhe aisa nahi kerna chahiye tha….
Pata nahi…Sujal mere baarey mein kya sochraha hoga….Main usse aur dhokey mein nahi rakh sakti….mujhe Sujal ko sab kuch batana hoga….
Cut to Sujal…
He was standing near the window..as usual ..( uski favourite jagah hai..hehe ) while Sameer was having a nap..
Sujal: ( with crossed arms …talking to himself ) Jaaney anjaaney mein joh bhi hua…mujhe uski parwaah nahi…Hosakta hai k Kashish behak gayee ho ..lekin main toh hosh mein tha….mujhe apne aap par kaabuu paana chahiye tha…lekin…kyun…kyun maine aisa nahi kiya…Kyun jab bhi wohh mere paas ya mere kareeb hoti hai…main sab kuch bhool jaata hoon…
Kashish ko le kar..mere dil per aur khud per bass kyun nahi chalta………Wohh ek aisa kamzor lamha tha…jis mein maine apni zindagi ki saarei khushiyaan dhoond lii…lekin Kashish….uska kya….kya sochrahee hogi wohh mere baarey mein….Duniya k liye aur Kashish k liye main sirf uska dost hoon lekin…yeh baat sirf main jaanta hoon k Kashish mere liye kya hai…
Bass….ab bohat hogaya….main apni feelings ko aur nahi chupa sakta….bohat nibha li dosti…ab agla kadam mujhe hee barhana parega…Main Kal Kashish ko sab kuch bata doonga…sab kuch…( sorry kuch zyada hee dialogues the..hehhe..)
The next morning…
Sujal woke up and found himself alone in the room…
Sujal: yeh…Sameer kahan chala gaya…
Sameer: main yahaan hoon…
Sujal: oh…
Sameer: tere liye juice lene gaya tha…yeh le pii ley…
Sujal: ( takes the glass from him ) thanks…
Sameer: ( sits on the bed ) ab mujhe bata k tu raat ko itna pareshaan kyun tha? Koi baat huyee kya?
Sujal: Nahi….kuch nahi hua…
SameeR: toh phir …tu raat ko yahan achanak?
Sujal : kyun…..main apne dost k ghar per nahi rehsakta…?
Sameer: oo khottey…wohh toh tu kabhi bhi reh sakta hai…
Sujal: ( smirks )
Sameer: lekin….mera kehne ka matlab yeh tha k…tu……….Kashish ko………chor kar..yahan…..??
Sujal: ( glanced at him with a solemn look )
Sameer: hmmmm….theek hai agar tu nahi batana chahta tohh…
Sujal: aisee koi baat nahi hai….
SameeR: hmm..
Sujal: dekh Sameer….maine yeh socha hai k ab Kashish ko apne dil ki feelings bata doon…
Sameer: array waaaaah….yeh toh bohat hee nek kaam kerne jarahe hain aap…Dharam pa ji…( giggles)
Sujal: ( smiles ) wohh toh theek hai lekin Dharam pa jii?
Sameer: haan…kal raat ko jis tarah aap party mein dishum dishum ker rahe the…usse toh yehi sabit hota hai k aap Dharam paa jii nikle…hahahaha…
Sujal: shut up yaar….ab yeh mazaak bandh ker…aur yeh glass pakar…main jaraha hoon fresh honey…usk baad ghar bhi jaana hai…
Sameer: theek hai theek hai…..maine tere kapre laundry ko bhijwa diye hain..bohat bheeg chuke the…tu mere pehan le…
Sujal: thanks..
SameeR: friendship mein no thanks…and...
Sujal: ( cuts in btw ) and…no sorry….right…
Sameer: right…( they both hug each other and the scene ends…)
Sujal ready sheady ho ker nikalta hai….
First he buys a bouquet…full of red roses…and a card too…
He sits in the car and turns on the musik player…and wohee gaana laga hota hai… "Kya yehi pyaar hai…"
Sujal raises the volume level…and recalls the scene when Kashish tells him….
Kashish: actually…yeh mera favourite gaana hai…
Sujal had a very cute smile on his face….
Finally ghar aajata hai…
He gets out of the car…
Rings the door bell…
Romila opens it…
Sujal : Hii…..( he hid the bouquet at his back )
Romila: oye puttar tu….kahan gayab tha raat bhar….yeh toh acha hua k Sameer ne mujhe phone ker k bata diya..i was the too tensed….acha hua tu agaya…hum sab tera hee wait ker rahe the…
Sujal: mera wait..?!?!
Just then Kashish comes..
Kashish: aunty wohh…( and then glances at Sujal)
Sujal bhi Kashish ko dekhta hai….and passes her a smile..but Kashish looks away…
Sujal goes near to her…aur Kashish usse dekhrahee hoti hai…
Sujal: wohh…
Kashish: Sujal …( she was rely embarrassed …and was feeling helpless and cudnt look into his eyes)
Sujal : ( raised his hand in the air…signaling her to jus stop )
Kashish luked at him….helplessly…
Sujal: Kashish ……………….( finally spoke ) Main………………Main Tumse…
Kashish looked at him…
Sujal: I………..Kashish I lo…( bolne wala tha )
Ek dum peeche se awaaz aati hai….. : Kaun hai Kashish??
Kashish turns around…as well as Sujal….
Kashish: umm.. wohh….
Romila: ( peeche se aati hai ) puttar…yeh hai Sujal..mera bhatijaa…he has come from India…
Sujal looks at the person…
Romila: ( to Sujal ) aur puttar…yeh hai…
Person: ( cuts in btw ) Hi Main hoon Tusshar….Tusshar Bajaj…(smiles)
Tan tanaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa……..Scene khatam……at Tusshar's face!
It was a long part...hehehe...
Ab kya hoga….Tusshar agaya….jiska darr tha wohee hua…finally he came…
Ab kaise Sujal Kashish ko apne dil ki baat bata payega…
Bata payega k nahi…yeh jaanne k liye wait for the next part…!!!
Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
Continue Reading next part >
Comments (18)
sara please continue soon..me waiting for the next part..
18 years ago
yaar sara dear abhi tak cont nahi kiya.... socho sujal ki kya halat ho gayi hogi... plz post the next part soon....
18 years ago
jaldi post karo aap na cant wait for it.
18 years ago
oOoOoH..Wow!..Nice fic--Just caught up with teh last couple parts!..Oh Good!..Vo Tusharr Yahan Bee Paunch Gaya ..... I Wonder wat Sujal;z reaction will be!?! ..Poor Him ...N E Wayz...Greaaaaattt Fic..Continue Soon!
18 years ago
Ab...Sujal ka kya reaction hogaa...................i can't wait Yaar post next part i am going to die to know POOR MY SUJAL but it's ok I am with you sujal take kashish somewhere and marry OK i am going to help you just call me sosoo sorry
18 years ago
Sara the part is just fantastic but ye tushhhhhhhar kyu aagaya????? chup chap india main he pada rehta na chalo cont soon plz
18 years ago
[QUOTE=sara_16] Thnx alot..lekin yeh buhat hee buri baat hai k I dunno ur name... plzzz bata do..and I relly LUV ur Siggy as well as yur Avyy! Yaar ..plzzz yeh pics gallery mein post kerdoo...so i can save them..hehheehe..!! [/QUOTE] Sara my name is RS so u can call me RS bohat he chhota sa naam hai so that kisi ko yaad kerne main mushkil na ho aur agar koi bhoolna bhi chahe to usse bhi mushkil na ho to ek teer se do shikar & plz ab se dont thank me 4 comments ok? & thanx 4 liking my avi & siggy these pix are already posted in LRL gallery u can save them from there
18 years ago
another great part saara. Its just wonderful. Par Thushar kyon aagaya
18 years ago
sara please jaldi se continue karna..me waiting for the next part..
18 years ago
yeh kya huwa??? achi bhali romantic story chal rahi thi aur ek second bhi nahi laga aap ko tragedy banaane mein iss tushar ne bhi abhi entry marni thi! ab sujal zara samajhdaari se kaam le. ghusse mein kuch garbar na karde uss tushar ne zyada garbar ki na, to main usse chorne wali nahin hoon!!! but as always ur writing was wonderful! pleeeze jaldi continue karna, main ab bari mushkil main par gayi hun! aur pleeeze sujal aur kashish ko bhi milwaadain -Areej
18 years ago