Chapter 101
Last Part
Kehte hai waqt ko gujarte pata nahi chalta jis tarah se samundar ki reth haath se chut jati hai lekin aapko ehsaas tak nahi hota...........waise hi khushi ke itne pal Sujal aur Kashish ki zindagi me aaye ki kab ek saal gujar gaya pata hi nahi chala............aaj ghar ke her ek khone me itni khushi hai ki gum ke liye koi jagah hi nahi bachi...........aaj ek saal gujar jane ke bad bhi Sujal aur Kashish ki zindagi me pyaar ki to kami nahi lekin badhte dino ke saath woh bhi badhta gaya..............aaj ka din Sujal ke liye bahot khaas din hai............aaj Sujal ka sapna pura jane wala hai jise woh pichle ek saal se din raat ek kar ke kaam kar raha hai.............aaj uski khushi me sharif hone ke liye kashish ke saath pura Garewal khandan maujud hai................
****************************************************************************************
Kavya: Good Evening everyone.........I am Kavya Nanda........Welcome to the inogaton of the book that is written by none another my dear brother Sujal Garewal...........so ple welcome Sujal Garewal........
Sujal Stage pe aata hai jaha samne uske parivar ke saath Kashish ko dekhta hai aur saath me is moke ke liye India ke saath International News wale bhi maujud the..........
Sujal: Good Evening...........main Sujal Garewal jaisa aap sab muje jante hai.........aaj mere liye meri zindagi ke liye bahot khaas din hai aur is baat pe main sukhriya karna chahta hoon ki aap sab meri khushi me shariff hone aaye hai...........yeh meri kitab kitab nahi balke kisi ladki ki zindagi ki zindagi hai.............ek aisi ladki ki jiti jagti dastan jise maine aksharo me dhalne ki koshish ki hai..........ek aisi ladki jo khud se jyada dusro ke liye jiti hai..........ek aisi ladki jo dusro ko anjaane me dard bhi nahi de sakti............ek aisi ladki jo kisi bhi nafrat ko pyaar me badal sakti hai..............woh ladki ek aisi beti hai jo apne papa ki khushi ke liye khud ki khushi qurbaan karne ko taiyaar hoti hai............woh ladki ek aisi behen hai jo apni behno ki ek muskurahat ke liye kuch bhi kar sakti hai.................woh ladki ek aisi dost hai jo apne dost ka muskil se muskil ghadi me saath deti hai.............woh ladki ek aisi bahu hai jispe pure parivar ko garv hai...........woh ladki ek aisi patni hai jo apne pati ke liye kuch bhi kar sakti hai.................woh patni jo apne pati ko teen bar bhagwaan ke ghar se uski jaan wapas leke aayi..............woh ek aisi maa hai jo apne bache ko kho dene ke bad bhi aaj apni zindagi jii rahi hai............aaj bhi woh apni zindagi ko khushi se jiti hai apne pyaar ke liye apne pati ke liye......us pati ne apni patni ke roop me ek dost, ek humdard, ek humsafar, ek premika ko paya hai.............is kitab ki ladki aur koi ho hi nahi sakti kyunki yeh kahani meri Kashish ki hai...........meri patni Kashish Garewal ki hai.............aur is kitab ka naam maine bahot soch samaj ke rakha hai............."My Serendipity" ............Serendipity ka matlab hota hai kabhi kabhi jiski aapko talash bhi nahi hoti woh aapko aise hi mil jata hai.................jis tarah muje kabhi yakeen nahi tha ki main kabhi apne sapne ki us ladki se milunga lekin kehte hai ki upperwale ki likhi huyi taqdeer ko koi nahi badal sakta..........usi tarah usne meri taqdeer to hamesha se Kashish ke saath likh di thi to hume to milna hi tha...............jis din main Kashish se mila woh din muje meri serendipity mil gayi..............aasha karta hoon ki aap sabko main, meri Kashish aur hamari serendipity pasand aaye................Thank You all..........
****************************************************************************************
Yeh kehke Sujal stage se utar ke sabse pehle Kashish ke pass jata hai............
Kashish: bahot bahot achchi speech di tumne.........
Sujal: janta hoon aakhir thi to tumhare bare me............
Kashish; muje lagta hai yeh book is saal ki best book me se ek hogi..............kyunki isne tumhe likha hai........
Sujal: maine jo likha hai woh sahi to likha hai..............aur aaj kal ki duniya me log sach janna chahte hai..............
Kashish: haa............
Sujal: tum padogi na meri Serendipity..........
Kashish: hmmm.........
Sujal: Kashish tum thik to ho...........aise kyun jawaab de rahi ho........
Kashish: hmm..........
Sujal: aaj chalo na kahi akele dinner pe chalte hai.......
Kashish: nahiii.......
Sujal: kya kaha..........tum mere saath bahar nahi jana chahti..........
Kashish: hume kahi aur jana hoga...........
Sujal: yahi to main keh raha hoon.......aaj hum dono na candle light dinner pe chalte hai.......tumhari choice ki rastaurant me...........
Kashish: Sujallllll...........hume abhi isi waqt hospital nikalna hoga..........
Sujal: abhi............
kashish: Sujalllllllllllll.............jaldi karo.............my water is broken..........hurry up...........Sujallllllllll..............aaouchhhhhhhh
Sujal: sach kashish........
Kashish: sujal tum khush bad me hona...........muje abhi labor pain shuru honewala hai...................Sujalllllll...........
Sujal: OMG...............kya karoon........
Kashish: muje hospital..........
Sujal: oh ya........
Sujal Kashish ko god me uthake car se parivar ke saath Sanjeevani pahonchta hai............
****************************************************************************************
Sab log Sanjeevani ke andar hote hai..........
Kashish: Sujal kuch karo......muje bahot pain ho raha hai............
Sujal: kuch nahi bas abhi doctor aate hi honge........
Kashish: aahhhhhhh............Sujallll..........
Sujal: Nurse............Doctor..........
Doctor: yes Mr. Garewal..............
Sujal: Doctor............Kashish ka labor pain shuru ho gaya hai.................
Doctor: Nurse ,...........inki delivary ki taiyariyaan karo.........come on get fast.......................
Nurse Kashish ko leke room me jati hai..............panch minute ke bad woh nurse bahar aati hai............
Nurse: Excuse me...........aap me se Sujal garewal kaun hai...........
Sujal: jee main.............sab thik to hai.........
Nurse: haa sab thik hai.............lekin aapki wife bar bar aapka naam le rahi hai.............aap unke saath rahenge to unhe delivary me aasani hogi..............ple...........
Sujal: sure..........
Nurse Sujal ko leke andar jati hai.,...............
Kashish was in bed............Sujal comes and sits next to her holding her hand...............
Kashish: Sujal.......
Sujal: tum daro mat kuch nahi hoga............
Kashish: janti hoon...............tum yahi mere saath rehna.............
Sujal: main yahi hoon.......
jab doctor andar aate hai.........
Doctor: So Kashish ready..............
Kashish: hmm........
Doctor: 3.....2........1........push..........
Kashish: I am sorry lekin mujse nahi hoga...............
Doctor: thoda sa...........
Sujal: Kashish thodi koshish karo...........
Kashish: mujse nahi hoga..................
Doctor: kashish...........do it now.......
kashish: sorry lekin muje bahot dard ho raha hai..........Sujal kuch karo na..............
Sujal: main........
Doctor: ok.........kashish one last try...........
Kashish apni puri koshish karti hai lekin usse kuch nahi ota aur dard se chikhne ki waje se aankhoin se aanshu behne lagte hai..............aur yahi aanshu ko dekh ke sujal ko bahot dard hota hai................yeh sab dekh ke sujal bhi kamzor ho jata hai.................
Doctor: Mr. Garewal.............agar aap is tarah se........u know what never mind..............Nurse inhe OT me C section ki taiyariyaan karo..............hurry.......make it fast.......immedeiatly.............go.......
****************************************************************************************
Kashish ko OT me shift karte hai.............aur Sujal bahar aata hai........
Prerna: Kashish kaisi hai............kya hua.....sab thik to hai........
Sujal: haa........woh Kashish ko OT me le gaye hai...........
Anjali: OT lekin kyun............
Sujal: C section ke liye............
Prerna: kuch nahi hoga.............yeh to normal hai.............
Sujal: janta hoon..........
Angad: to tu ro kyun raha hai.........
Sujal: Angad muje nahi pata tha ki Kashish ko itna dard sehna padega...........
Kripa: ab pata chala na............bache paida karna koi aasan baat nahi.............
Angad: isme kaunsi badi baat hai..............
Kripa: ek bar labor pain aur delievery se hoke gujro..........aur tum to kuch kaho hi nahi pata hai na kya hua tha..........Ayan ke waqt muje smabhalne ki waje khud behosh hoke gir gaye the..............
Suajl: haa Kripa sahi hai..........ladkiyaan wake me humse bahot strong hoti hai................jo dard abhi maine Kashish ke chehre pe dekha woh to ............lekin maine pehle kabhi Kashish ko is tarah.........agar muje pehle pata hota to main kabhi......
Prerna: pagal agar sab tere jaisa sochenge to tum is duniya me kaise aate..........
Sujal: haa woh bhi hai...........lekin Kashish thik to hogi na....................use jyada dard to nahi hoga na...........mera bacha to thik hoga na.............
Anjali: tum kuch jyada hi pareshan ho...........sab thik hi ho raha hai............
Kripa: ab to kabhi bhi khushkhabri aati hi hogi..........
Jab doctor bahar aati hai.............
Sujal: Doctor.....kashish thik to hai.........
Doctor: haa Mr. Garewa; woh bilkul thik hai.........abhi use OT se unke room me shift karne ke bad sirf aap akele hi kuch waqt ke liye mil sakte hai uske bad aap sab....................
Sujal: aur mera bacha...............
Doctor: dugni khushi dugni mubarak...........
Sujal: main kuch samja nahi.......
Doctor: congratulations Mr,. Garewal aapko twins huye hai..............
Sujal: twins.........
Doctor: haa ek ladka aur ek ladki...............
Sujal: mama aapne suna muje ek ladka aur ek ladki...............
PrernaL haa beta maine suna..........bahot bahot mubarak ho...........
Sujal huges Angad........
Angad: congrats man............i am so happy..........
Sujal: thanks........
Anjali: bahot bahot badhai ho......
Sujal: thanks anjali.............
KripaL OMG.........Sujal tum do bache ke .........muje to yakeen hi nahi hota ki tum aur Kashish..............
Sujal: muej bhi...........Kashish ko pata chalega to kitni khush hogi............
Jab nurse bahar aati hai..............
Nurse: Patient ke pati ab unhe akele me mil sakte hai............
Angad: jao Sujal.................
****************************************************************************************
Sujal jab andar aata hai to Kashish bed pe so rahi hoti hai.............lekin itne dard ke sehne ke bad bhi uske chehre pe ek raunak si thi..................ek muskurahat thi chehre pe..............kehte hai ki bache ki khushi maa ke chehre ki badalti chamak ke saath dikhai deti hai..............Sujal Kashish ke pass jake uska haath apne haath me leta hai...........
Kashish: Sujal........
Sujal: kaisi ho.........
Kashish: thik hoon..........
Sujal: janta hoon..........bahot dard hua na.......
Kashish: mujse jyada to tumhe hua tha................aur isi dard me muje ek aurat se ek maa me banaya hai.............Sujal hamara bacha.........
Sujal; bache.........
Kashish: kya........
Sujal: hume twins huye hai...............ek ladka aur el ladki...........
Kashish: tum .........tum sach keh rahe ho............maine ek beta aur ek beti ko janam diya........
Sujal: haa.........kashish tum mom aur main dad ban gaya woh bhi do bache ka............tumne to anhoni ko honi me badal diya............
Kashish: Sujal muje mere bache ko dekhna hai...............
Sujal: haa Kashish mujse bhi ab intzaar nahi hota...........
Jab nurse aake bete ko Kashish ki god me aur beti ko sujal ki god me rakh ke chali jati hai...............
Sujal: Kashish...........meri beti ki aankhein to bilkul tumhare jaisi hai..............
Kashish: haa Sujal......mere bete ki nak bhi tumhare jaisi hai........
Sujal: kitne pyare hai...............
Kashish: pyare to honge hamare jo hai..............
Jab sab log andar aate hai..............
Kripa: kaisi ho.......
kashish; kaisi dikh rahi hoon..........
Kripa: bahot khush...........
Prerna: muje bhi to mere pote poti se milne do..............
Prerna aur Kripa ek ek bache ko lete hai........................
Prerna: dono bahot hi pyare hai.............
jab dono bache apni pehli kilkari nikalte hai...............
Sujal: Kashish.....tumne kuch suna............suna tumne...........
Kashish: haa Sujal............maine suna.................
sab log bache ko khelne me busy the jab Kashish rone lagti hai...........
Sujal: Kashish...........tum ro kyun rahi ho........sab thik to hai..........
Kashish: nahi sujal yeh to khushi ke aanshu hai...............muje to kabhi koi umeed hi nahi thi ki koi muje bhi maa kehne wala hoga........lekin kehte hai na upperwale ke gahr dair hai andher nahi...........aur dekho aaj unhone muje ek nahi do bache ki maa bana di.........sujal main tumhe bata nahi sakti ki aaj main kitni khush hoon...............
Sujal: khush to main bhi bahot hoon............lekin Kashish tumne socha hai ki tum apne bete ka kya naam rakhogi.........
Kashish: yeh meri zindagi ka armaan tha........is liye mere bete ka naam bhi ARMAAN hoga...........lekin tumhari beti ka..........
Sujal: Meri beti itni khubsurat hai to uska naam bhi khubsurat hona chahiye..............meri beti ka naam hoga SAHANA...............
Angad: ARMAAN AND SAHANA GAREWAL.....................welcome to the family...........
sab aise hi bache ke saath busy ho jate hai..........
****************************************************************************************
waqt ko gujarte kisi ko kya dair lagti hai................ab dekho na aaj us din ke bad panch saal bit gaye,,,,,,,,,,in paanch saaloin me bahot kuch hua...........Sujal ki Garewal Industries India ki numbar one indusrty ban gayi....................KnK bhi tarki ki uchchai chu raha hai...............Kavya aur Anjali ko aath saal ki Khushi aur char saal ka Sahil hai...............Kripa aur Angad ko che saal ki beta Ayan aur teen saal ka dusra beta Aarav.............Akshat aur Charu ko teen saal ki beti Aasma aur ek saal ka beta Ruhan................Neev aur Prachi ki char saal beti Aniha aur do saal ka beta Alay.........aur hamare Sujal aur Kashish ke panch saal ke Sahana aur Armaan............
ab aaj sunday ki morning hoti hai Kashish aaine ke samne taiyaar ho rahi hoti hai jab Sujal piche se aake use hug karta hai...........
Kashish; yeh subaah subaah kya kar rahe ho...........
Sujal: kal raat to tum mere saath thi nahi is liye raat ka abhi..............
Kashish: raat ko tum to aise keh rahe ho jaise main kisi party me gayi ho,,,,,,,,,,,,raat ko main bacho ke saath soyi thi..........bechare ko darr lag raha tha..........
Sujal: un shaitani se puri duniya darrti hai aur tum keh rahi ho.............
Kashish: khabardar mere bacho ko shaitan kaha to..........kitne masoom hai...........
Sujal: haa pata hai kitne masoom hai............jab bhi main romance ke mood me hota hoon to beech me aa jate hai...........
Kashish: ab aisi baatein nahi karte..........muje taiyaar hone do........
Sujal: main madad kar doon............
Kashish: haa,,,,,,,,,,,
Kashish Sujal ko apna mangalsutra deti hai...........Sujal Kashish ka bal ko side pe karta hai aur use mangalsutra pehnata hai.............Sujal kissed kashish's neck..........
Kashish: kya kar rahe ho,,,,,,,,,
Sujal: patni se pyaar,,,,,,,,,,
Kashish: bache hai..........
Sujal: main janta hoon mera ek panch saal ka beta aur beti hai........
Kashish: woh dekh lenge..........
Sujal: abhi to so rahe honge.........
Kashish: nahi............woh to kab ke taiyaar ho gaye honge...........aaj sunday jo hai.............
Sujal: yeh sunday kyun aata hai............
Kashish: ab bechare ko ek din to hafte me apne Dad ke liye chahiye...........ab jaldi karo......waran woh log chikhte abhi aayenge...........
Sujal: to thik hai na main jaldi me kar deta hoon..........
Sujal Kashish ko kiss karne wala hota hai jab Armaan aur Sahana aata hai.........
kashish: tum dono...........
Sujal: knock karke nahi aa sakte..........
Sahana: knock karke aate to hume kaise pata chalta.............
Kashish: kya...........
Armaan: yahi ki Papa mama ko kiss karne wale the........
Sujal: Kashish ab muje pura yakken hai ki yeh mere hi bache hai.......meri tarah besharm............ab batao yaha kya kar rahe hai..........
Armaan: aaj aap 10 min late ho...........neeche sab aa gaye hai...............aur aap jante hai.......main batting tabhi karta hoon jab aap balling aur Mom muje cheer karti hai................
Sahana: Dad.............chaliyena............dair ho rahi hai.............
Armaan: Dad.......
Sahana: Dad..........aaj pehle main batting karungi.........
Armaan: nahi Dad aaj meri bari hai...........
Sujal: pehle neeche to chalo...........
Sujal dono ko ek saath uthake neeche chala jata hai.............aur Kashish sirf apne Parivar ki badi si tasvir ko dekhti hai aur phir neeche jati hai to pura parivar haste khelte ek saath Cricket khel rahe hote hai kyunki yeh ban chuka tha Sunday Morning Program for every week..............
****************************************************************************************
aap logo ne dekha ki Sujal aur Kashish ki zindagi me kitni hi muskeliyaan aayi lekin Sujal aur Kashish ne kabhi ek dusre ka saath aur yakeen nahi choda............shayad isi neev pe unka rishta bana raha............unke ristey me jo pyaar tha uski koi seema hi nahi thi............saagar ki tarah gehra tha ................itne saalo bad do bache ke bad bhi unka pyaar nahi badla...........shayad ise hi sachcha pyaar kehte hai................aur jaisa hum sab ne dekha ki pyaar to bas ho jata hai kabhi bhi kahi bhi kisi se bhi................bas pyaar ko pehchanne ke liye sirf ek pal aur ek dil chahiye............Sujal aur Kashish ki zindagi me her din pyaar ek naye lamhe ki tarah aata hai aur ek meethi si yaad banke chala jata hai..............aur aise hi dono ki zindagi haste khelte ek dusre se pyaar karte aage badhti rahi........................
The End
Comments (15)
Hi!kashish you are too good i loved your story.
15 years ago
Now Kashish coming to the answers for your questions.. I want to Know how you feel about the story?The story is great.. i have developed a deep attachment with this fanfic.... which is ur most favorite romantic scene? My most favorite romantic scene.. yeh baat alag hai kii I love all sujal, kashish scenes.. lekin sabse zyada i like when sujal goes down on his knees during the shaddi ka time, the varmala time...that was just awesome... which is the scene that i made u cry? When sujal came back from being dead.. & sujal, kashish hug outside the house as others watch them, as shocked spectators.. this was a very emotional moment.. it bought tears in my eyes... even now if i think about this scene aankhein num ho jaathi hai... which is the scene that i made u laugh?The scene where kashish tells angad kii "Tumhe kitni baar kaha hai mujhe bhabhi matt bulao..." and how angad teases her with the bhabhi thing made me laugh very much... what is the best thing u like about Sujal and Kashish? Unka pyaar, which has withstood the toughest tests of life.. & their being together forever & ever...... ple write something that u want me to say something as we travelled so far togather?Kashish you are a awesome fanfic writer.. i thoroughly enjoyed all through my journey of "Serendipity"..... do tell me if you liked reading my comments on "Serendipity"... sun_4232008-11-17 12:03:27
16 years ago
kashish dear main aagayi with my comments on "Serendipity", 100th part & the last part.. sorry woh main thoda sa late hogayi.. hope you understand yaar the 100th part was ver good.. i really enjoyed it.. sujal, kashish kii shaddi ka time kareeb aa raha hai.. aur koi un dono ki milne hii nahii de raha hai.. is baat par main sabse kehna chahoongi, arre yaar samjha karo na, yeh sujal, kashish kii ek alag kii equation hai... unke shaddi ko itna waqt hogaya hai, aur ab woh dono dubara se shaddi karr rahe hai, lekin ab bhi un dono ka pyaar, un dono kii mohabbat parwaan chada hai..it is still at a very great height.... aur ab joh kashish ne zidd kii , ki agar usse koi shaddi ke liye taiyaar karega tho woh sujal hoga... and sab log is baat se waakif hai kii agar sujal, kashish ko milna hai tho woh kissi bhi haal mein milkar hii rahenge.. unhe milne se koi rokh hii nahii saktha.. isse behtar hai kii sujal ko kashish ke pass bheja jaye, kashish ko taiyaar karne ke liye... aur jab prerna ko kashish kii zidd ka patah chala tho she did exactly that.. aur prerna ne aise kiya kyunke woh sujal, kashish dono ko hii bohat hii achchi tarah se pehchaanthi hai... ab sujal ka kashish ke pass aana, first uska pareshaan hona kii kashish ko kya hua.. i'am sure sujal might a felt a huge relief jab usse patah chala why he was called there..then the scene of sujal, kashish's romance... sujal ka kashish ko taiyaar karna.. i'am sure sujal might be having immense pleasure apni sapno kii dulhan ko taiyaar karne mein.. bohat se couples mein dekha gaya hai kii shaddi ke kuch din baad the love the romance slowly vanishes in thin air.. but sujal, kashish ka tho koi jawaab nahii.. unke pyaar ke baare mein padthe-padthe unko meri hii nazar lag jayegi.. there love is just so special.. absolutely magical... sujal, kashish ka pyaar aisa hai joh kissi non believer of love ko bhi pyaar mein yakeen dila sakthi hai... the scene between kripa, anjali, prachi, charu & kashish where k
16 years ago
marvelous every story line.simply great
16 years ago
most gorgeous jodi rajeev aamna.lovely story
16 years ago
Mind blowing ending Dear.I am going to miss your this FF. I want to Know how you feel about the story? Is Eak kahani mein aap ne hum ko itne srae rishtey jeena sikhaya sath hi angad kripa ki nok jhok , armaan aur ridh ki shatart aur sujal kahsih ke atoot pyar ki tasveer diii its perfct and awesome. which is ur most favorite romantic scene? Iss FF mein mere Fav Romantic scene sk ke sare hai sath hi angad kripa ke bhi , ya yu khahe i love all Romantic scene . which is the scene that i made u cry? Jab Kashish sujal ko yaad kar ke roti thi sath hi sab ussko hasane ki kohshih karte they magar wo hamehs sujal ki yaad mein hi jeena cahti thi. which is the scene that i made u laugh? Last mein bacche bare shitaan ho gaye hahhaa tooo good . what is the best thing u like about Sujal and Kashish? I love thier Chemistry , love and Passion which they never going to loose in any cost.Thank you soo much dear for this FF i hope aap aage bhi aise hi likhti rahoge.
16 years ago
mindblowing ending kashish.............................. I want to Know how you feel about the story? the story was superb.....................eik he story mein sab kuch tha pyaar, fight aur bohat kuch.......................mindblowing which is ur most favorite romantic scene? buhat sareeeee hai.................all scenes of sk which is the scene that i made u cry? jab sujal kashish se dur tha.............. which is the scene that i made u laugh? last scene when their kids caught them............. what is the best thing u like about Sujal and Kashish? their passion of love...............
16 years ago
hey kashish i read ur story n it was fantastic i loved it n enjoyed it u r a great writer keep it up i appreciate ur hard work
16 years ago
vry nice part kashish..!!! the story was gr888 n i realli enjoyed reading it
16 years ago
thanks for the pm! Seriously I loved this whole story! I loved when the girls got drunk and the guys had to take care of them. The funniest was when Kashish's water broke and Sujal just stood there. Also loved how the kids barged in at the end. This story is a great example of how true love really is and how few people actually find it in the end! Keep up this writing because it gives others hope that someday they too will find true love!P.S I loved how they fell asleep together when they were supposed to sleep seperately before their second wedding!adventure_gurl2008-11-07 15:54:28
16 years ago