Chapter 94

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-94

Aaj ka suraj kaha se nikal ke kise kis aur le jayega woh to suraj ke nikalne ke bad hi pata chalega..........lekin is waqt to koi chain ki neend so rahe hai to woh hai apne Sujal aur Kashish..........in dono ko dekh ke aisa lagta hai ki jaise sari pareshani dur ho gayi ho..........jab khidki se bahar panchi ki aawaz aati hai aur Kashish ki neend khul jati hai.............woh khidki ki aur dekhti hai to waha pe ped pe panchi subaah me apni aawaz ko ghul rahe hote hai............Kashish Sujal ki aur dekhti hai jo kitni chain ki neend so raha hai........Kashish bistar se uthake khidki ke pass jake bahar dekhne lagti hai.........Kashish ke chehre pe ek ajeeb si muskurahat hoti hai...Sujal jab apni aankhein kholta hai to Kashish ko aise dekhke khud muskurata hai.............Sujal Jake Kashish ko piche se gale lagata hai........

Kashish: Good morning........

Sujal: good morning wify.......subaah subaah itni pyari muskurahat.............koi khaas baat.......

Kashish: nahi kyun main aise ab muskura bhi nahi sakti.........

Sujal: nahi tum to her waqt muskura sakti ho lekin aaj koi to baat hai kyunki yeh roj ki tarah nahi..........ab batao kya hua.....

Kashish: kuch nahi in panchi ki aawaz ko sunke mann khush ho gaya.........subaah subaah iski kalrav kitna meetha lagta hai...........

Sujal: panchi ka pata nahi lekin muje is waqt tumhari baatein bahot achchi lagti hai.......

Kashish: Sujal......main mazak nahi kar rahi........

Sujal: to tum kehna kya chahti ho tumhe chidiya ghar pasand hai..........

Kashish: maine aisa to nahi kaha.........lekin haa........muje bachpan me hamesha se koi panchi chahiye lekin papa ko bilkul pasand nahi tha is liye..........

Sujal: waise tumhare papa thik kehte hai..........kitna shor machate hai yeh.............

Kashish: tum rehne do.........tum na kabhi kisi khubsurati ko pehchanoge nahi..........

Sujal: jooth mat bola.....agar aisa hota to main tumse kyun pyaar karta........waise tum sahi keh rahi ho.........muje bhi lagta hai ki meri pasand itni kaise kharab ho gayi........shaadi ke pehle to main.......

Kashish: kya........kehna kya chahte ho............main khubsurat nahi.......

Sujal: lo achcha hai ab tumne hi keh diya to............aaj kal tum bahot achche se sab kuch samaj jati ho.........

Kashish: Sujal main aakhri bar keh rahi hoon.......kya yeh mazak hai.........

Sujal: kya maine kuch kaha aisa ki yeh mazak hai...........meri jaan yeh koi mazak nahi balke sach hai.........

Kashish: tum mujse jooth bol rahe ho........jao yaha se muje koi baat nahi karni..........aur mujse baat karne ki bhi koshish mat karna..........

Sujal: suno to.........

Kashish: muje tumhari koi baat sunni bhi nahi.............main ja rahi hoon.........

Sujal; ple Kashish yeh ghar ko chod ke mat jao..........

Kashish: main is ghar ko chod ke nahi.............tumhe chodke washroom me ja rahi hoon.........aur tumhe to main itni aasani se nahi jane dungi..........is liye ab kuch bhi ho jaye.....rahungi to main hi aapki patni.........so bye..........Mr. Khadus Garewal......

Sujal: khadus ki bachi ruk..........

lekin tab tak Kashish wash room chali gayi hoti hai................thodi dair bad Kashish bahar aati hai...........

Sujal; main office ke liye taiyaar ho raha hoon mere kapde nikal dena..........

Kashish: nahi meri pasand to bahot kharab hai is liye khud hi nikal lena.........

Sujal: lekin meri tie.............

kashish: khud hi bandh lena.......

Sujal: tum aisa nahi akr sakti yeh tumhara kaam hai...........

Kashish: sorry my dear husband.........agar abhi tak aapko pata na ho to main aapse naraz hoon aur is liye main aapka koi kaam nahi karnewali.............khud apna kaam karna sikho.......

yeh kehke Kashish neeche chali jati hai.........

Sujal; kya zaroorat thi subaah subaah kashish ko naraz karne ki......ab gussa ho gayi na..........ab to teri nikal gayi...........sujal aaj to tu gaya office bina tie ke..........ab kuch soch kaise Kashish ko manayega.............lekin pehle taiyaar to ho ja..........oh god aapne ladki ko itna complicated kyun banaya............

*******************************************************************************

Ab Kashish, Anjali, Charu aur Kripa milke Breakfast table taiyaar kar rahe hote hai......Prerna Khushi ko leke mandir gayi hoti hai.................jab Charu ghadi me dekhti hai..............

Charu: Kripa bhabhi........ple mere bal khichna.......

Kripa: kya..........

Charu: khichiyena.......

Kripa Charu ke bal zor se khuchti hai.......

Charu: ouch.............itna zor ka bhi nahi kaha tha..........lekin iska matlab main kisi sapne me nahi balke haqeeqat ko dekh rahi hoon..........

Anjali: kya anab sanab bol rahi hai..........kya kehna chahti hai.......

Charu: woh dekhiye ghadi me aadh bajke ek minute ho gayi..............

Anjali: to kya ghadi me waqt aage nahi badh sakta.........

Charu: Anjali Bhabhi.........aath baj gaye........mera matlab abhi tak Sujalbhaiyaa ka bulava nahi aaya aur Kashishbhabhi abhi bhi yahi Kitchen me hai.......

Kripa:kuch to gadbad hai............

Anjali: main puch ke aau.........

Kripa: koi zarorat nahi.....shayad kuch aise hi naraz hogi..........aur tum to Kashish ko janti ho..........

Anjali: to ab ise suljaya kaise jaye........

Kripa: kashish ko koi aur mana sakta hai to sirf Sujal...hum to kuch nahi kar sakte to..........

Anjali: yeh Kashish bhi na choti choti baat pe..........

Charu: woh dekhiye Bhabhi..charo bhai aa gaye...........

sab log table pe beth jate hai..............jab Anjali aur Kashish sab ka nasta lati hai..........lekin Kashish Sujal ke badle Kripa ke pass beth jati hai.........

Kavya: kya baat hai Kashish aaj tum apni roz ki jaga pe nahi..........koi problem hai........

Kashish: nahi waje jo hai woh koi achche se janta hai....

Kashish Sujal ki aur dekhti hai........

Angad: kya kaha.......meri to kuch samaj me nahi aaya.........

kashish: kyunki uske liye bhi dimaag chahiye...........aur waise aaj mama nahi aur unhone muje Kripa ka khayal rakhne ko kaha tha is liye............

Anjali, Kripa aur Charu ek dusre ki aur dekhte hai jaise kuch to gadbad hai..............

Akshat: Bhaiyaa........i hope aap ko yaad ho aaj hamari meeting hai...............

Sujal: haa muje yaad hai aaj hamari ek baje meeting hai...........

Akshat: to aap ........mera matlab aapki tie kaha hai..........aap to kabhi bina tie ke office nahi aaye.........

Sujal: woh aaj kal koi apna kaam karna bhul gaya hai.........

Kashish: haa aaj kal koi kaam is liye nahi karta kyunki jiske liye kaam karna hai woh insaan hi uske layak nahi.........

Sujal: agar aisa hota to woh insaan us insaan ko pasand kyun karta..........

Kashish: taki apne sare kaam aasani se kara sake.........lekin woh insaan bhi bewfuk nahi......ab woh us insaan ki baatoin me nahi aanewala...........

Sujal: us insaan se kaho ki gussa thuk de kyunki woh us insaan ko nahi janta...........

Kashish: are us insaan ko woh nahi to kaun aur samjega...........aur ab jab puri tarah se samaj gaya hai to woh ab us insaan ki koi nahi sunnewala...........

Sujal: use sunna hoga kyunki woh nahi janta ki woh insaan kuch bhi kar sakta hai.........

Kashish: karke to dikhaye.........

Sujal: soch lo.........

Kashish: soch liya..........kyunki uske liye bhi kuch baat honi chahiye lekin woh baat us insaan me nahi...........

Sujal: tum use challage kar rahi ho........

kashish: haa.........

Sujal: thik hai.........

Kavya: stop it...........yeh kya ho raha hai aur kis bare me baat ho rahi hai......

Sujal: jane do na Kavya woh bahot choti baat hai..............

Angad: anything serious........

Kashish: nahi aisa kuch nahi.........bas aise hi hum to baat kar rahe the..........

jab sabka nasta khatam ho jata hai aur sab office ke liye nikal jate hai...........

*******************************************************************************

Akshat jane hi wala hota hai ki Kashish use rokti hai.........

Kashish: Akshat ek minute........

Akshat: kuch kaam tha Bhabhi............

Kashish: main bas ek minute me aayi.........tum yahi rukna..........

Kashish apne kamre me se Sujal ki tie leke aati hai..........

Kashish: ise apne bhaiyaa ko de dena...............

Akshat: kya baat hai bhabhi.......aap me koi zagda hua..............

Kashish: tumhe kya lagta hai.........

Akshat: muje to aaj tak yahi pata tha ki aap dono ek dusre se beimtihaan pyaar karte hai lekin aaj pata chala ki aap dono ke zagde me bhi ek dusre ke liye pyaar chupa hai........kyun karti hai aap Bhaiyaa ki itni fikar.........

Kashish: jawab to tuje pata hi hai.........tumhare bhaiyaa me meri jaan basti hai.....shayad isi liye.........kya karoon main bahot swarthi hoon..........khud ka swarth dekhti hoon.........

Akshat: to yeh tie deke aap kya sabit karna chahti hai.........

Kashish: kuch nahi.........main unse naraz hoon iska matlab yeh to nahi ki main unka khayal na rakhu............aaj meeting me Sujal ki jo baatein hogi woh mujse bardast nahi hogi............is liye yeh tumhara kaam hai un tak pahuchana.........aur agar kuch kahe to sirf itna kehna ki yeh tie maine bheji hai lekin iska yeh matlab nahi ki maine Sujal ko maff kiya...............

Akshat: bhabhi aapse ek baat kahu..........aap dono bilkul unki tarah hai jo naye naye pyaar karte hai..........

Kashish: ek baat kahoon........her subaah se hum dono ke naye pyaar ki shuruaat hoti hai.......jante ho tumhare Bhaiyaa kya kehte hai...........shaadi ke saal badhte ki tarah unme pyaar aur vishwas bhi badhna chahiye...........main tumhe keh nahi sakti ki tumhare bhaiyaa kitne achche hai...........shayad kalyug me ek farishtey ne janam le liya...........

Akshat: maine apne maa-baap ko to nahi dekha..........lekin aaj unki kami nahi mehsoos hoti ........kyunki main janta hoon ki woh aaj hote to bilkul aapki aur bhaiyaa ki tarah hote...........main bahot khusnaseeb hoon ki aap meri bhabhi aur Sujalbhaiyaa mere bhai hai..........

 
yeh kehte hi Akshat ki aankh bhar aati hai...........

Kashish: yeh kya tu rone laga..........pata hai tere Bhaiyaa hamesha tumhari aankhoin me khushi dekhna chahte hai aur tu hai ki.........

Akshat: aap itne achche kyun hai.........

Kashish: kyunki tumhare bhaiyaa mujse bhi jyada achche hai.......ab tu baatein karna chod aur nikal...........tere bhaiyaa tera intzaar kar rahe honge...........ab ja nikal.......

Akshat jane lagta hai lekin wapas mudke aake Kashish pair chuke nikal jata hai.........

Kashish: pagal kahi ka.............

Kashish bhi KnK ke liye nikal jati hai.........

*******************************************************************************

Tushar, Swayam dono naye project ki site pe pahunchte hai.............

Tushar: hey suno...........yeh kaam kyun ruka pada hai.......

Worker: are saab yeh kaam to pichle kuch dino se aise hi hai.......

Tushar: kya aur itna batana tune muje zaroori nahi samja.............lekin yeh kaam ruka kyun hai.........

Worker: woh saab abhi hume paise kaha mile hai..........

Tushar: lekin maine bank se to baat ki thi...........dus carod to maine advance bhi diya tha........

Worker: saab aap jis bank ki baat kar rahe hai uska to divara nikal gaya..........

Tushar: WHATTTTTTTTT...........kya kaha.........

Worker: haa saab woh bank to sab ke rupee leke nikal gayi..........aapke dus carod gaye............

Swayam: yeh baat aur kaun kaun janta hai........

Worker: haa saab maine kal sham ko Sujal saab aur Angad saab ko bataya tha...........

Swayam: dekha Tushar.......itna ho gaya aur Sujal ne tumhe kuch nahi kaha...........ab soch kya rahe ho .........chalo uski office......

Swayam aur Tushar Sujal ki office jate hai..........lekin tab tak us worker ne Sujal ko phone karke sab bata diya hota hai..............

Sujal: achcha hua tum yaha aa gaye abhi abhi main aur Angad tumhe hi milne aa rahe the.........tumhe pata hai hume jis bank se loan mila woh ab nahi rahi........

Swayam aur Tushar dono ek dusre ko dekhte hi reh jate hai..........

Sujal: kya hua .........aap log muje aise kyun dekh rahe hai............aap logo ko vishwas nahi............Tushar tumhe agar aisa lag raha hai to main tumhe abhi panch karod dene ko taiyaar hoon......lekin tum bhul rahe ho ki loan mere naam pe tha to mera kitna nuksan hua hoga............

Tushar: main samaj sakta hoon........lekin ab hume kya karna hoga..............

Swayam: kisi aur ke pass jake loan lena hoga............

Sujal: thik hai main apne aur se paise judne ki koshish karta hoon.........tum apni aur se koshish karke dekho.......

Tushar: thik hai main tumhe kal tak jawab deta hoon.........chalo swayam...............

Tushar aur Swayam nikal jate hai................aur Sujal piche akela has raha hota hai................Jab Akshat aata hai...........

Akshat: bhaiyaa.....meeting ke liye taiyaar.........

Sujal: haa chalo.........

Akshat: ek minute yeh aapki tie..........

Sujal: tere pass kaise.........

Akshat: bhabhi ne bheji hai aur ek messege bhi.........woh aapko tie bhej rahi iska matlab yeh nahi ki woh aapse naraz nahi..............

Sujal: sab samaj gaya.......

Sujal tie pehen ke meeting ke liye chala jata hai............

*******************************************************************************

Kashish apni office me kaam kar rahi hoti hai................jab Sujal ka phone aata hai...........

Sujal: hello Kashish..........

Kashish: jee aap kaun.........

Sujal; Kashish chodo na main Sujal........

Kashish: jee kaun Sujal............main to kisi Sujal ko nahi janti........

Yeh kehke Kashish phone kat deti hai.............lekin phir se Sujal ka phone aata hai........

Sujal: Kashish.........

Kashish: aapko ek baat samaj nahi aati...........kyun akeli ladki ko pareshan kar rahe hai........muje aapse baat karne me koi dilchaspi nahi............aap hamara waqt barbad kar rahe hai...........

Sujal: i am sorry..........

Kashish: aap ajnabi hoke humse kyun mafi mang rahe hai..............

Sujal: Kashish.........ab itna bhi kya gussa.........ab chodo na..........

Kashish: yahi to main keh rahi hoon.........aap hume pareshan mat kariye...........

yeh kehke Kashish apna phone switch off kar deti hai lekin uske chehre pe ek hasi aa jati hai............Sujal bar bar Kashish ko phone karne ki koshish karta hai.........ab thodi dair bad Kashish ki office me koi roses leke aata hai.........

Kashish: come in ple........

Person: mam.........yeh roses aapke liye.............Sujal Garewal ki aur se.........

Kashish: jee muje nahi chahiye......aap unhe wapas de dijiye..........rukiye..........yeh bhi saath me de dena........

Kashish us person ko ek note deti hai...........woh person waapas Sujal ki office jata hai.........

Person: sir........mam ne roses lene se inkar kar diya...........aur yeh note diya hai.........

Sujal: thik hai unhe yaha rakho aur tum jao............

Sujal woh note kholta hai aur kholte hi hasne lagta hai...............

" Ruthe Huye ko Manana koi Aapse Sikhe,

Lekin Hum bhi us Ruthnewalo me se hai,

Jo ek bar Naraz ho gaye to phir aasani se nahi mante,

Lekin Koshish karna aapka kaam hai aur

Hum aapke is Koshish ka besabri se intzaar karte hai"

 
Sujal market jake lal rang ki chudiyaan leke aata hai aur ek note ke saath wapas use bhejta hai........

Person: Mam............Sir ne aapke liye yeh parsal bheja hai...........

Kashish: thik hai tum bahar intzaar karo ........main tumhe kuch dair me bulati hoon............

Person ke jane ke bad Kashish parsal kholti hai to usme Sujal ki favorite lal chudiyaan aur ek note hoti hai..........jis padke Kashish ke chehre pe ek muskaan aur aankh sharam se juk jati hai...........

" Yeh rang yeh chudiyaan hamare pyaar ka pehla kadam hai,

Inki aawaz me basti hai tumhare aane ki aahat,

Use mera pyaar samaj ke apni kalai pe saza dena,

Intzaar rahega aaj shaam ka tumpe apne pyaar ko dekhne ka"

 
Kashish woh chudiyaan pehen ke wapas ek note likh ke us person ke saath Sujal ke pass bhej deti hai........

Person: Sir yeh aapke liye..........aur mam ne kaha hai ki ab aur kuch bhejne ki zaroorat nahi............

Sujal; thik hai tum jao............

Sujal woh note ko padta hai aur phir khud kisi sapne me kho jata hai.........

" Pyaar karna aur use nibhana maine tumse sikha.

Tumse naraz hoke main kaise apne dil ko samja sakti hoon.

Kyunki yeh jo mera dil hai woh to sirf tumhari baat sunta hai,

Aaj apne pyaar ke rang me phir se tumne muje rag diya,

Kal aaj aur kal kuch bhi ho lekin na hamara pyaar kam hua na kabhi hoga

Kyunki Sujal aur Kashish do jism ek jaan hai"

*******************************************************************************

Ab Swayam aur Tushar Tushar ki company pahunchte hai...............aur Manager ko andar bulate hai........

Tushar: Mr.Shah..........aap bank jaiye aur waha se panch karod rupee ka draft banake laiye.........

Mr. Shah: sorry sir.........ab aapka is company aur is company ke paiso pe koi hakk nahi........

Tushar: Mr. Shah.........aap hosh me to hai..........yeh mat bhuliye ki main aapka boss hoon.........aap apni had me rahiye.........

Mr. Shah: sorry sir........lekin aap ab hamare boss nahi..........yeh company Khanna & Kapoor Industries ne kharid li hai.................

Tushar: WHATTTTTTTTTT...........

Mr. Shah: abhi abhi Market se Share ki report aayi aur us company ne hamare 70% shares kharid liye hai...........aaj se yeh company Raheja nahi balke Khanna & Kapoor ka hissa hai.........

Tushar: yeh sab kya ho raha hai meri kuch samaj me nahi aa raha..........

Swayam: hai kaun yeh log.........aaj se pehle kabhi koi naam nahi suna...........

Mr. Shah: Mumbai ki koi company hai..............aaj tak kisi ne nahi dekha unhe na koi janta hai use..........bas itna pata hai ki yeh Khanna & Kapoor industries ka kaam hai..........

Tushar: main to barbad ho gaya...........main to sadak pe aa gaya...........

Swayam: aisa kuch nahi..........tu pareshan mat ho.......tuje yaha se koi nahi nikal sakta............Khanna & Kapoor ko hum dekh lenge...........

Tushar: nahi Swayam...........pehle mere dus karod ka dubna phir........mere company ka kisi aur ko kharid lena............ab main Sujal ke saath ke naye projecr ke paise kaha se launga..........agar yeh project bhi mere kaam se gaya to mere pass kuch nahi bachega..............

Swayam: tu fikar mat kar Sujal se main baat karunga............aur meri aur teri company alag alag thode hi hai..........tu kyun pareshan ho raha hai .......main hoon na..........sab thik ho jayega,,,,,,,,

Tushar: thanks Swayam..........

Swayam: bhai kehte ho aur thanks bhi............ab chal main chalta hoon kuch pata karke aata hoon Khanna & kapoor ke bare me............

Swayam waha se chala jata hai...............

*******************************************************************************

Ab sham ko sab log dinner karke hall me bethe huye hote hai............

Charu: Bhabhi..........aapki chudiyaan bahot hi pyari hai......aaj se pehle nahi dekhi.........

Kashish: woh Charu.........

Sujal: aakhir pasand kiski hai.........

Akshat: iska matlab aap aur Bhabhi me sula ho gayi..........

Sujal: Akshat.......teri bhabhi ko manana bahot aasan hai..............

 
Kashish: haa .......kyunki tumse achchi tarah muje aur kaun samaj sakta hai.........haa Charu aaj yeh chudiyaan Sujal mere liye laya hai..........aur itne pyaar se laya hai to pyari to hogi........

Kripa: kya baat hai...........kuch sikho Angad Sujal se...........

Angad: Kripa..........chudiyaan pehenne ke liye bhi Kashish ki tarah nazuk kalai chahiye.........tumhari tarah sakt haath nahi jo kisi ko pade to do din tak behosh ho jaye............

Kripa: aur uda lo mazak......tum to yahi chahte ho...........

Sujal: bas bas......ab tum dono shuru mat ho jao.............ab aur kitna ladoge..........muje lagta hai kal bacha hone ke bad bhi tum dono.........

Tringgggg...........Tringgggg..........

Kashish: main jake dekhti hoon.........

Kashish jake darwaza kholti hai........

Person: jee Kashish Garewal hai........

Kashish: jee main hi hoon..........bataiye..........

Person: aapke liye ek parcel hai......

Kashish: thik hai dijiye.........

Person: woh parsal itna bada hai ki humne bahar hi chod diya........aap inpe sign kar dijiye...........

Kashish sign kar deti hai aur woh person chala jata hai.................

Anjali; kaun hai.........

Kashish: mere liye koi parcel hai.......aur bahar hi chod ke chala gaya hai...........

Kavya: parcel..........is waqt.....aur woh bhi bahar..........kahi yeh koi Tushar ki nayi chal to nahi...........

*******************************************************************************

Sab log bahar aate hai...........to dekhte hai ki garden me ek khubsurat sa bahot hi bada Bird House hota hai jisme bahot se panchi hote hai..........kashish daud ke us pinjre ko chuti hai aur uske chehre se saaf saaf khushi chalak rahi hai............kashish mud ke Sujal ko dekhti hai jo sirf uski aur dekh raha hota hai.............Kashish daud ke Khushi ke mare Sujal ke gale lag jati hai..........

Sujal: pasand aaya...........

Kashish Sujal se alag hoti hai..........

Kashish: bahot.....bahot pasand aaya.........thank u so much.........

Sujal: ab muje bhi thanks kahogi............

Kashish: tumne mere liye.........
 
Sujal: kabhi aisa ho sakta hai ki meri Kashish kisi ki khawaish kare aur main use pura na kar sakun.............tumhari her khawaish meri sir aankhoin pe...........
 

Kashish: meri ek aur khawaish puri karoge.........

Sujal: haa...........kaho........

Kashish: vaada karo ki tum us din ke adhure saat phere mere saath pura karoge...........

Sujal: main vaada karta hoon ki us din ke hi nahi balke shaadi ki her saal girah pe main tumhare saaath saat phere lunga.............
 

Kashish: main yeh tohfa kabhi nahi bhul sakti..........aajka yeh tohfa mere liye sabse khass hoga...........

Sujal: mujse bhi............

Kashish: tumse khass bhala mere liye kuch aur sakta hai,...........tum ek aur aur dusri aur sari duniya ki khushi..........tumhari jagah koi aur le hi nahi sakta..........lekin aaj tumne muje ehsaas dila diya ki tum mujse kitna pyaar karte ho...........tumhare pyaar ki koi seema hi nahi.........I love You Sujal............

Sujal: i love you too Kashish...........

Both are lost in each others eyes............

Kripa: ahmmmmmm...........ahmmmmmm............

Kashish: Kripa woh............woh..........

Kripa: woh woh kya.......humne sab sun liya...........kuch kehne ki zaroorat nahi...........

Charu: bhabhi so lucky...........bhaiyaa aapke liye kuch bhi kar sakte hai...........

Sujal: haa woh sach hai...........ab kya kare itna khubsurat chehre pe mayusi nahi dekh sakta...............

Kashish: iska matlab ab mante ho ki main khubsurat hoon...........

Sujal: woh to pehle din jab tumhe dekha tab se ehsaas hua ki khubsurati kya hoti hai...........yeh sab to tumhe aise hi pareshan karne ke liye............

kashish: kyun.......aur yeh sab karke tumhe kya mila........

Sujal: abhi jo mila woh.......

Kashish sharmake andar chali jati hai.........

Angad + Akshat: oye hoye.......kya baat hai kudiye.........

sab log andar chale jate hai...............

*******************************************************************************

ab raat ko sab apne apne kamre me hote hai.............jab kaka Sujal ke kamre me aake unhe batate hai ki neeche koi unse milne aaya hai..........Sujal neeche jakar dekta hai to Swayam hota hai...........

Sujal: Swayam..........tum itni raat ko yaha..........

Swayam: woh Tushar ke bare me kuch baat karni hai..........

Sujal: Tushar ke bare me..........

Swayam: abhi abhi pata chala............Tushar ki company bik gayi hai .........ab uske pass kuch nahi raha...........woh sadak pe aa gaya hai.........

Sujal: kya.....lekin kab .........

Swayam: woh aaj hi pata chala kisi Khanna & Kapoor industriy ne Tushar ki company ko kharid liya...........ab woh tumhare koi kaam ka nahi..................

Sujal: main kuch samja nahi.............

Swayam: main tumhare liye ek deal leke aaya hoon.........jo project tum Tushar ke saath kar rahe ho use tum mere saath.........kyunki uske pass to kuch nahi bacha............

Sujal: tumhara praposal to bahot achcha hai lekin muje kisi ko dhoka dena meri fidrat me nahi.........

Swayam: tum baat ko samaj nahi rahe.........

Sujal: baat ko tum samaj nahi rahe..........tum pe yakeen karoon.....jo bhai bhai ko dhoka de sake un par yakeen karoon..........jis waqt Tushar ko tumhari zaroorat hai waha pe tum apne fide ki baat karne aa gaye.........sharam aati hai muje tumpe aur tumhari soch pe...........

Sujal ki aawaz sunke Kashish daudti bahar aati hai.............

Swayam: shayad tum business ke rules nahi jante.........

Sujal; muje aisa koi business nahi chahiye jaha muje apne rishoto ko chod ke paise ko chunna pade..........is liye aaj ke bad mere pass mat aana samaj gaye............aur main chahu to yeh baat Tushar ko bata sakta hoon lekin main nahi chahta ki tum dono ke beech kabhi koi rishta tute...........is liye yahi behtar ho ki tum is baat ko bhul jao aur us waqt yaha se jao............

Swayam: main ja raha hoon lekin yeh baat tumhare liye achchi nahi..........yaad rakhna bahot badi keemat tumhe chukani hogi...........

yeh kehke Swayam waha se chala jata hai............

*******************************************************************************

Kashish apne kamre me bethi huyi hoti hai.........

Kashish (to herself): swayam ki baatoin se nazane kyun dil khabra raha hai......aisa lag raha hai ki kuch sahi nahi ho raha .........kya ho raha hai kuch bhi kehna muskil hai..........

Jab Sujal kamre me wapas aata hai.........

Sujal: woh apne aap ko samajta kya hai............apne bhai ki barbadi pe apni kamyabi ki imarat banana chahta hai...........

Kashish: Sujal main samaj sakti hoon tumhe is waqt kaisa mehsoos ho raha hai..........kyunki tum kabhi nahi chahoge ki ek bhai ka dusre bhai se vishwas uthe.........aur yaha to ek bhai dusre bhai ko tabah karna chahta hai...........
 

Sujal: aise bhai hone se achcha hai ki koi bhai hi na ho..........bhagwan kare muje kabhi zindagi me aise din na dekhne pade kyunki main nahi dekh paunga ..............kyunki mere bhai mera vishwas aur taqat hai......

Kashish: kisne kaha ki tumhare bhai aise hai..........jante ho woh tumhe Bhagwan Ram samajte hai..........aur tumhe khush hona chahiye ki Bhagwan Ram ke pass to ek hi lakshmanjee the lekin tumhare pass teen teen hai..........jo tumhare liye kuch bhi kar sakte hai............jinke pass Kavya, Angad aur Akshat jaise bhai ho use kabhi darr ne ki zaroorat hi nahi.........kyunki agar tum rasta bhul gaye to her waqt Kavya tumhare saath hoga ek bade bhai ki tarah...........tumpe kabhi koi aanch na aaye is liye bhagwan ne tumhe do angrakshak diye hai.........Angad aur Akshat ke haath me jab tak kuch ho sakta hai woh tumhe kuch nahi hone denge...........hum kismatwale hai jo hume aise pyaar karnewale teen bhai mile..........
 

Sujal: tum thik keh rahi ho...........rishtey khoon ke nahi dil ke dekhe jate hai.........hum me se kisi ka khoon ka rishta nahi lekin jo dor hum ek dusre ki dil se bandh chuke hai use ab koi nahi badal sakta..........agar bhagwan bhi aake muje kahe ki mere bhai aise hai to main nahi manunga...........yeh mere hai........mere apne.............

Kashish: hamare hai............hamare apne............

Sujal: pata nahi tum mere saath nahi hoti to mera kya hota.........pata nahi main aise muskil daur me kaise apne aap ko sambhal pata.............

Kashish: main kal bhi tumhare saath thi aaj bhi hoon aur kal bhi rahungi..........hamara rishta itna kamzor to nahi ki itni aasani se tut jaye.........aur zindagi ke un dor se hum gujar chuke hai jaha se hamara rishta aur bhi gehra hoke nikla hai.........is liye muje koi darr nahi kyunki ab koi bhi tufan aa jaye tab bhi hamare rishtey pe koi aanch nahi aa sakti.............

Sujal: bahot manti ho apne is rishtey ko..........

Kashish: yeh shaadi ka rishta jo tumhare aur mere beech hai woh sabse pavitra hai.........ise humne pyaar se vishwas se bandha hai.........aur rishta upperwale ne banaya hai to use nibhana hamara farz hai......aur hamara yeh rishta to upperwala hi chahta tha............ab tum hi batao itna hone ke bad bhi koi hume alag nahi kar paya to socho hum ek dusre se kitna jude huye hai..............

Sujal; tum aisi kyun ho Kashish........

Kashish: kaisi hoon......

Sujal: tum muje hasati ho..........rulati ho..........mujse naraz hoti ho to muje manati ho...........muje pyaar karti ho aur pyaar karana sikhati ho...........zindagi se ladna sikhati ho to apno pe yakeen karna bhi..........pata nahi lekin main nahi janta ki tum mere liye kya mayne rakhti ho.......tum mere liye sab kuch ho...........meri dost.....mera pyaar.......meri patni.........meri humsafar..........

Kashish: tumne to muje bahot se naam de diye..........tumhare liye main dost pyaar patni humsafar hoon lekin mere liye...........mere liye tum mere bhagwan ho...........
 

yeh khehte hi Kashish Sujal ke gale lag jati hai.......

Sujal: main tumhare bigar nahi reh sakta...........bahot pyaar karta hoon........

Kashish: main bhi tumse bahot pyaar karti hoon..........hum hamesha aise hi saath rahenge..............

 

 

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (11)

plzzz continue soon kashish..!!

16 years ago

kashish firstly thankx for this lovely , cute n long part...........its was avery well written part i luved it completely........specially jo aajkal tushar ki din khrab chal rahe hain wo.bichara ka kya haal hogaya.waise jaisi krni waise bharni....................ab sadak par aagya.bahut bahut acha hai.ab pata chaega bure kam ka bura natiza
chalo ab sk ki baat karte hain...............oh all scenes b/w tthem were so lovely......u wrote them so beautifully.chahae wo unki lari ho ya pyar sab khuch aur inke to laraiye bhi pyar jaise hai ab wala tie scene hi dekh lo..aur sujal how cute he is kitne sare birds lakar deta hai...........plzzzzzzzzzz akshish ab inki life me aur koi problem na aaye....coz ab mujhe lag raha ye sawayam khuch garbar karega............i hope sab acha ho.plz continue soon

16 years ago

Hi Kashish
Nice, nice, very nice; Nice, nice, very nice; Nice, nice, very nice, lovely and awsome part yaar well done.. very well-written and intelligently created the scenes....I loved reading every word of it......I like the cute fight between Sujal and Kashish ..
Tushar ki barbadi par dil karta hai party kare..bure kaam ka bura natezza yeh to hona he tha..aur Sawyam to bhai ke naam par Kalank hai...ek bhai barabd horaha hai aur woh apne fayede ki baat soch raha hai..I cant beleive...

Sujal.......tum mere liye sab kuch ho...........meri dost.....mera pyaar.......meri patni.........meri humsafar..........kitna pyar hai dono ke beech ..just love bird they are so caring..

thanks for nice part

I can't wait for next part..please keep up the good work and continue soon

Take care

16 years ago

awesome & lovely part............................i liked the fight between sujal and kashish................................and who sujal make her happy....................nice con't soon

16 years ago

very nice part kashish....uff!! yeh sujal aur kashish bhi na bache hai donon...kitna ladthe hai...but it was too cute....and unka pyar bhi dikhtha hai...very beautifully expressed...i liked all their dialogues...aur yeh kya...abhi tushaar ka musibat tala nahi ki swayam aagaya...pls don't let him create any trouble....the last seen was too good....keep up the good work....

16 years ago

kashish dear i'am here with my comments on the part..hope you like my comments.. well the parts starting was very nice... so beautiful.. such a nice shuruwaat with our dearest sujal,kashish... unki subah kii shuruwaat itne ache se hui.... kashish ke chehre kii woh muskurahat...ab sujal aur kashish kii subah kii shuruwaat itne pyaare,romantic tarike se hui..really very sweettt....waise dekha jaye tho sujal ka din bohat hii achche se jayega kyunke uske subah kii shuruwaat itne achche se hui hai... ek dum mast tarike se...i really liked the start which you have given to this part... aur main kashish kii baat se sehmat hoon..what she said about the bird house.... aur humare hero sahab ko tho mazaak sooj raha hai, he just wants to irritate kashish tho woh kashish kii baat se sehmath nahii hai... yeh sujal bhi na... waise sujal joh karr raha hai woh theek hii hai, kyunke kehthe hai na bina takaar pyaar nahii badtha.. jab thak do logon ke beech takraar no ho, un dono ko yeh ehsaas nahii hoga kii woh ek dusare ke liye kya mayine rakhthe hai... the importance of one person is best known when he is away from you..jab woh naraaz hotha hai....yeh sujal tho mere khayal se jaan-bhoochkar kashish se aisi baatein karr raha hai... lekin yahaan tho sujal,kashish ke beech baat bohat agge badh gayi....ab kashish sujal se ruth gayi.. ufffoo.. sujal yeh kya kar diya tumne.. naraaz kar diya na kashish ko.. ab jao manao usse.... waise i liked kashish's attitude.. aur mujhko sujal, kashish ke ladayi par hasi aa rahii thi.. there meeti si nokh-jhokh brought a smile on my face....tum jaanthi ho why it bought a smile on my face, woh isliye kyunke yeh main bhi jaanthi hoon aur sab yeh jaanthe hai kii the nokh-jhonk between sujal,kashish is nothing serious... woh bas aise hii ek dusare ko chida rahe hai aur ek doosre se ruthe hue hai.... waise the next scene jahaan par charu, anjali , kripa ne yeh observe kiya kii sujal , kashish ko bula nahii raha hai.... ohhh... i hope kuch serious na ho j

16 years ago

hey
gr8 part..
cont.soon

16 years ago

nice part kashish.....swyam's so bad.....but sk are cute..........plz continue soon...!!

16 years ago

Hey that was a very cute part !! I luvd the cute fight and the cute manaoing way of sujal...........he is just the best !!!Tushar ki to watt lag gayi.........hahaha!!Continue soon !!

16 years ago

amazing part
i really enjoyed the small fights between sujal and kashish and the way sujal made kashish talk to him was really good.
the gifts were amazing.
finally tushar is gettin what he deserved.
also i really enjoyed the scene between kashish and akshat the way u potrayed the emotions in that scene were truly amazing.
Iqbal Neha12008-09-24 04:25:12

16 years ago

Top